Tuesday, 17 April 2012

Roman Urdu:: Tauheed ke Meaning:


Tauheed ke Meaning:

ALLAH TA'ALA ki Zaat-e-paak ko uski zaat o siffaat main shareek se Paak maanna, Yaani jesa ALLAH TA'ALA hai, wesa hum kisi ko ALLAH TA'ALA na maanen, agar koiALLAH TA'ALA k hote huwe, kisi dusre ko ALLAH TA'ALA Tassawwur karta hai, to woh Zaat-e-Bari TA'ALA main Shirk karta hai..

SHIRK kise kehte hain:

ALLAMA Taftaazaani (Rehmatullah) apni kitaab Sharah Aqaid-e-Nasfiyah main Shirk ki Taareef is tarah farmate hain,

"Kisi ko Shareek therane se murad yeh hai k, Majoosiyon ki tarah kisi ko Khuda aur Waajib ul Wajood samjha jae, ya But Paraston ki tarah kisi ko ALLAH k siwa Ibadat k laek samjha hae"

SHIRK ki taareef se maaloom huwa k 2 Khudaon k Maanne waale jese, Majoosi (AAG PARAST), mushrik hain, isi tarah ALLAH k siwae Ibadat k laek samajhne waala Mushrik hoga..

E.g Jese But Parast jo Buton ko mustahik-E-ibadat samajhte hain..

SHIRK ki QISMEN (types or Kinds):

Shirk ki 3 qismen (types or kinds) hain,

1) Shirk-FiL-IBADAT

2) Shirk-Fiz-ZAAT

3) Shirk-Fis-SIFFAAT

1)   Shirk-FiL-IBADAT:
 Is se murad hai, k ALLAH TA'ALA k ilawa kisi aur zaat ko Ibadat k Laek samjha jae..

2)   Shirk-Fiz-ZAAT:

Is se murad hai k kisi zaat ko ALLAH TA'ALA jesa maanna, jesa k Majoosi 2 khuda ko maante the..

3)   Shirk-Fis-SIFFAAT:

Kisi Zaat o shakhsiyat wagera main ALLAH TA'ALA jesi Siffaat maanna (ALLAH TA'ALA ki Ata k bager), SHIRK-FIS-SIFFAAT kehlata hai..

SHETAAN SHIRK-FIS-SIFFAT ki haqeeqt ko samajhne se rokta hai, aur yahaan Ummat main wiswisay peda karta hai.. ab main aap ko QURA'AN ki Aayat k zariye SHIRK-FIS-SIFFAAT samjhata hun.. Gor se parhiya ga

1) * ALLAH TA'ALA RAOUF AUR RAHEEM HAI:

Tarjuma: "Beshak ALLAH TA'ALA Logon par RAOUF AUR RAHEEM hai".
(Surah Bakara, Aayat 143)

* SARKAR (ALEH SALAAM) Bhi RAOUF Aur RAHEEM hain:
 Tarjuma: "Beshak tumhare pas tashreef lae, tum main se woh Rasool jin par tumhara Mushkat parna, Giraan(bhari) hai, tumhari Bhalai k nihayat chahne waale, Mominon par RAOUF AUR RAHEEM hain".
(Surah Toba, Ayat 128, Para 10)

NOTE: Pehli Aayat par Gor karen to sawaal peda hota hai k RAOUUF aur RAHEEM,ALLAH TA'ALA ki Siffat hain, phir Dusri Aayat main Huzoor (Aleh Salaam) ko RAOUFaur RAHEEM farmaya gaya, to kiya yeh SHIRK hogaya????

Is main Tatbee yun Qaem hogi, k ALLAH TA'ALA haqeeqi tor par RAOUF aur RAHEEMhai, jab k Huzoor (Aleh Salaam), ALLAH TA'ALA ki Ata se RAOUF aur RAHEEM hain, Lihaza jahaan Zaati aur Ataai ka Faraq waazeh hojae, wahaan SHIRK ka Hukum nahin lagta.

2) * ILM-E-GAIB, ALLAH TA'ALA K SIWA KISI K PASS NAHIN:
Tarjuma: "Tum farmao ALLAH k siwa Gaib nahin jante, jo koi Aasmanon aur zameenon main hai".
(Surah Namal, Aayat 65, Parah 20)

* RASOOLON KO BHI ILM-E-GAIB ATA KIYA GAYA:
 Tarjuma: "Gaib ka jaanne wala, apne Gaib par sirf apne Pasandeeda RASOOLON hi ko Aagah farmata hai, har kisi ko Yeh ILM nahin deta".
(Surah JIN, Aayat 26/27, Parah 29)

NOTE: Pehli Aayat se saabit huwa k ILM-E-GAIB ALLAH TA'ALA ki Siffat hai, magar Dusri Aayat se maaloom huwa k ILM-E-GAIB, ALLAH TA'ALA ne apne pasandeedaRASOOLON ko bhi Ata kiya hai, to kiya yeh SHIRK hogaya??

Is ki Tatbee yun Qaem hogi k ALLAH TA'ALA ZAATI tor par AALIM-E-GAIB hai, jab kALLAH TA'ALA k tamaam RASOOLON ko ALLAH TA'ALA ki Ata se ILM-E-GAIB par Aagahi haasil hai, Lihaza jahaan ZAATI aur ATAAI ka faraq waazeh hojae, wahaanSHIRK ka hukum nahin lagta.

3) * MADADGAAR SIRF ALLAH TA'ALA HAI:
Tarjuma: "Yeh is liya k Musalmaanon ka madadgaar ALLAH hai"
(Surah Muhammad, Aayat 11, Parah 26)

* JIBRAEL (ALEH SALAAM) AUR OLIYA-E-KARAM BHI MADADGAAR HAIN:
Tarjuma: "Beshak ALLAH un ka madadgaar hai, aur Jibrael, aur Naik Momineen madadgaar hain".
(Surah Tehreem, Aayat 4, Parah 28)

NOTE: Pehli Aayat par Gor karen to yeh Sawaal peda hoga, k Madad karna ALLAH TA'ALA ki siffat hai, phir dusri Aayat main Hazrat Jibrael (Aleh Salaam) aur Oliya-E-Karam ko madadgaar farmaya, to kiya yeh SHIRK huwa???

Is main Tatbee yun Qaem hogi, k ALLAH Haqeeqi madadgaar hai, Aur Jibrael (Aleh Salaam), aur Oliya-E-Karam, ALLAH TA'ALA ki Ata se madadgaar hain, jo Zaat-E-Baari TA'ALA Ata farma rahi hai, us main aur jis ko Ata kiya ja raha hai, un Hazraat main barabri ka Tassawwur bhi nahin kiya jasakta, aur jab barabri nahin to SHIRK kahaan se hoga??

4) * Bager ALLAH TA'ALA ki Ijazat k kon hai jo SHAFA'AT Kare:
Tarjuma: "Kon hai jo Shafa'at kare bager Izn-E-KUDAWANDI k". (Suarh Bakarah, AaytalKursi, Parah 3)

* HAZRAT EESAA (Aleh Salaam) ka ALLAH TA'ALA k hukum se Shifa dena:
 Tarjuma: "Aur main Acha karta hun Andhay aur Korhi ko, aur Murday zinda karta hun, ALLAH k hukum se".
(Surah Al-Imran, Aayat 49, Para 3)
 NOTE: Pehli Aayat se maaloom huwa k Bager ALLAH TA'ALA ki Ata k kisi k liye Shafa'at ka Aqeedah rakhna SHIRK hai magar ALLAH TA'ALA ki Ata se Shifa'at ka Aqeedah rakhna "TAUHEED" hai, isi tarah dusri Aayat se maaloom huwa, k murdon ko chalana, shifa dena, yeh ALLAH TA'ALA ki Siffaat hain, magar ALLAH TA'ALA kisi ko ata karden, to ALLAH k khazane main koi kami nahin, Lihaza Ahle-ALLAH k muta'alliq yeh Aqeedah rakhna k woh ALLAH TA'ALA ki Ata se murdon ko chala sakte hain, yeh SHIRK nahin hai, Q k ZAATI aur Ataai kaam baraabar nahin hosakte, aur jab Baraabari nahin to SHIRK b na huwa.

Aur ALHAMDULILLAH, AHL-E-SUNNAT (BARELVI, AHL-E-HAQ) ka bhi yahi Aqeedah hai.

5) * ALLAH TA'ALA jise Chahe Aulaad de:
 Tarjuma: " ALLAH jise chahay Betiyan Ata farmae, aur Jise chahay Betay de".
(Surah Shooraa, Aayat 49, Parah 25)

* HAZRAT JIBRAEL (Aleh Salaam) ne kaha main tujhe Beta dun:
Tarjuma: "(Hazrat Jibrael (Aleh Salaam) ne BIBI MARYUM se kaha) Kaha main tere RAB ka Bheja huwa hun, Taa k main tjhe ek Suthra Beta dun"
(Surah Mariyum, Aayat 19, Parah 16)
NOTE: Pehli Aayat main hai, k Aulaad sirf ALLAH TA'ALA Ata farmata hai, magar is k Bar'aqs HAZRAT JIBRAEL (Aleh SALAAM), Hazrat Mariyum se farmate hain, k main tujhe ek suthra beta dun, to kiya yeh SHIRK hogaya???
 Is main Tatbee yun Qaem hogi, K ALLAH TA'ALA khud Aulaad Ata farmata hai, aur JIBRAEL (Aleh Salaam), ALLAH TA'ALA ki Ata se BIBI MARIYUM ko Beta de Rahe hain, Lihaza in Aayat main Barabri ka koi Pehlu nahin, Q k ZAATI aur ATAAI barabar nahin hosakte, Jab barabri nahin paai gai, to SHIRK b na huwa.

6) * ALLAH TA'ALA Mout deta hai:
Tarjuma: " ALLAH jaanon ko Mout deta hai".
(Surah Zamr, Aayat 42, Parah 24)

* Tumhen MOUT deta hai, MOUT ka farishta:
Tarjuma: "Tum farmao, tumhen WAFAAT deta hai MOUT ka FARISHTA, jo tum par Muqarrar hai".
(Surah Sajda, Aayat 11, Parah 21)

NOTE: Pehli Aayat main hai k, ALAH TA'ALA, MOUT deta hai, magar is k Bar'Aqs, Dusri Aayat main hai k, Tumhen MOUT ka Farishta MOUT deta hai, to Kiya yeh SHIRK hogaya????

Is main Tatbee yun Qaem hogi k ALLAH TA'ALA, MOUT dene main kisi ka Mohtaaj nahin, magar Malakul MOUT (Farishtay) ROOH Qabz karne main ALLAH k hukum k mohtaaj hain, Lihaza Is main Bhi Barabari nahin Paai gai, to jab Barabari nahin, Is liye SHIRK b na huwa.

7) * ALLAH TA'ALA Zinda hai:
Tarjuma: "ALLAH hai jis k siwa kisi ki Puja nahin ki jaati, Aap Zindah, Auronka Qaem rakhne Waale"
(Aaytal Kursi)

* Banday bhi Zinda hain:
ALLAH TA'ALA ki Hayaat (zinda hone par) par to hum sab ka Eemaan hai, aur jin logon ko ALLAH TA'ALA ne Siffat-e-Hayaat di hai, woh sab is Siffat k Haamil hain, Pas hum ne apne liye bhi Hayaat ki Sifat ko Jaana, aur ALLAH TA'ALA k Liye bhi Sifat-e-Hayaat ko maana, is ki wajah yeh hai k jo Hayaat hum ALLAH TA'ALA k Liye maante hain, woh Hayaat na hum apne liye maante hain, aur na kisi aur k liye, Q k ALLAH TA'ALA humen Zindagi dene waala hai, ALLAH TA'ALA ko koi Hayaat dene waala nahin, Hamari Hayaat (Zindagi) Aarzi hai aur ALLAH TA'ALA ki Ata karda hai aur Mehdood aur Faani (Khatam hone waali) hai, Jab k ALLAH TA'ALA ki Hayaat (Zindagi) Aarzi nahin, Ataai nahin, aur Mehdood bhi nahin, ALLAH TA'ALA to Lazawaal, Baaqi aur Hamesha rehne waala hai, jab k Hum Faani hain. Lihaza hamari Hayaat aur ALLAH TA'ALA ki Hayaat barabar nahin, Jab barabri Nahin huwi, to Shirk bhi na huwa..


8) * ALLAH TA'ALA sunta, dekhta hai:
Tarjuma: "Aur is liye k ALLAH sunta dekhta hai".
(Surah Haj, Aayat 61, Parah 17)

* Banday bhi Suntay aur Dekhte hain:
ALLAH TA'ALA sunne aur dekhne waala yaani Sami o Baseer hai, aur farmata hai, k hum ne Insaan ko bhi Sami O Baseer banaya, Haalaankay Sami O Baseer hona to ALLAH TA'ALA ki Sifat hai, ALLAH TA'ALA bhi Sami O Baseer, aur Insaan bhi Sami O Baseer, To kiya yeh SHIRK huwa??

ALLAH TA'ALA ki Siffat Sami O Baseer us ki zaati sifat hai, aur hamara sunna aur dekhna, ALLAH TA'ALA ki Ata se hai, Lihaza jahaan ZAATI aur ATAAI ka Faraq waazih hojae, wahaan SHIRK nahin hosakta..

Mene aap ko 8 alag alag tarah ki misalon, (EXAMPLES) se samjhaya k JIS BAAT main ZAATI aur ATAAI ki baat aajae, wahaan SHIRK nahin hota. aesi Be hisaab misalen (EXAMPLES) aur b hain, par woh baad k topicx main clear hongi.. JAZAK ALLAH

ab kuch aur baaten b sunlen, jin ko BAD AQEEDAH, SHIRK kehte hain, par woh SHIRK nahin hain.

1) ALLAH TA'ALA ka ILM-E-GAIB, ZAATI hai
PAR
HUZOOR (ALEH SALAAM) ka ILM-E-GAIB, ATAAI..

2) ALLAH TA'ALA ka NOOR, ZAATI hai
PAR
HUZOOR (ALEH SALAAM) ki NOORANIYAT, AATAI hai.

3) ALLAH TA'ALA, HAQEEQI MADADGAAR hai
PAR
AMBIYA KARAM, aur OLIYA KARAM, ALLAH TA'ALA ki Ata se MADADGAAR hain.

4) ALLAH TA'ALA, HAQEEQI RAOUF O RAHEEM hai
PAR
HUZOOR (ALEH SALAAM), ALLAH TA'ALA ki Ata se RAOUF O RAHEEM hain.
5) ALLAH TA'ALA, HAQEEQI MUKHTAR E KUL hai
PAR
HUZOOR (ALEH SALAAM), ALLAH TA'ALA ki Ata se MUKHTAR E KUL hain.
6) ALLAH TA'ALA, ZAATI tor par ZINDAH hain.
PAR
HUZOOR (Sallalaho Alehe Wasallam), AMBIYA (Aleh Salaam) aur OLIYA KARAM, ALLAH ki Ata se Baad Az Wisaal ZINDAH hain.
7) ALLAH TA'ALA, Bazzat-e-khud, Murdon ko ZINDAH Karta hai.
PAR
AMBIYA KARAAM, OLIYA KARAAM, ALLAH TA'ALA ki Ata se Murdon ko ZINDAH karte hain..
8) MUSHRIKEEN BUTON ko ALLAH TA'ALA ki Ata k bager Sahib-E-EKHTIYAR maante the.
PAR
Hum AMBIYA KARAAM, aur OLIYA KARAAM ko ALLAH TA'ALA ki Ata se Sahib-E-Ekhtiyar maante hain.
9) MUSRIKEEN, Buton ko Apna MA'ABOOD, maante The.
PAR
Hum ALLAH TA'ALA hi ko MA'ABOOD maante hain, aur ALLAH k Naik Bandon ko, ALLAH TA'ALA k KHAS banday maante hain.


NATEEJAH (RESULT):


Puray Kalaam ka Nateejah yeh Nikla k ISLAMI Aqaid aur MUSHRIKEEN k Aqaid main Kahin B Barabri nahin, To Phir SHIRK bhi na Huwa, LIHAZA MUSALMAANON k AQAID ko MUSHRIKEEN k AQAID se milana ZULM hai..
 BAHAWALA: Sahi Muslim, Kitaab-Ul-Fazail,Hadees 30, Matbuwa Istambol Turkey

UMMAT E MUHAMMADIYA SHIRK NAHI KAR SAKTI

TARJUMA:
Hazrat Uqba bin Aamir (REHMATULLAH ALEH) se Riwayat hai k, SARKAR-E-AAZAM (ALEH SALAAM) ne Shohda-e-Uhad k Pass tashreef le kar NAMAZ-E-JANAZA parhi, phir Mimbar par tashreef farma huwe, aur farmaya,

"MAIN tumhara SAHARA aur tum par GAWAH hun. ALLAH TA'ALA ki Kasam main apne Hoz-E-Qausar ko is waqt bhi dekh raha hun, aur beshak mujhe Zameen k khazanon ki Kunjiyyaan ata ki gai hain, aur Beshak mujhe yeh khatra nahin k tum mere baad SHIRK karne Lago ge, mujhe is baat ka dar hai k tum Dunya k JAAL main Phans jao ge".

NATEEJAH (RESULT):
SARKAR-E-AZAM (ALEH SALAAM) ne apni Zaat par ALLAH TA'ALA k diye huwe INAAMAAT aur INAAYAAT ka Zikar karte huwe, ALLAH TA'ALA ki Ata kardah ILM k Zariye sadiyon ka NAQAAB ulat diya, k MAIN dekh raha hun k tum SHIRK se mehfooz raho ge.

Jab SARKAAR (ALEH SALAAM) mutmaeen hain, K UMMAT, SHIRK se mehfooz rahe gi, magar MUSALMAANON par SHIRK k fatway lagane waale BECHAIN hain,

In ZAALIMON ko har dusra MUSALMAAN MUSHRIK nazar ata hai,

ALLAH TA'ALA aese logon ko Hidayat naseeb kare.. Aameen


DOOSRE KO MUSHRIK KAHNE WALA KHUD HI MUSHRIK KA HAQDAAR

Bad Qismati se Is UMMAT main, aese Log bhi Pae Jate hain, Jin ka kaam apne Siwa sab MUSALMAANON ko MUSHRIK AUR BIDDATI kehna aur samjhna hai.

Zulum yeh hai, k Yeh Aawaaz Masaajid aur Madaris, donon se Suni jaati hai, Yeh Log yeh samajhte hain k Hum Dusrun ko MUSHRIK aur BIDDATI keh kar, TAUHEED ki Khidmat kar rahe hain.
Haalankay yeh woh log hain, Jo UMMAT-E-MUSLIMA main, Fitnah O Fasaad ka Beej Bo Rahe hain,
Inhon ne JAAN BOOJH kar SHIRK ki Itni IQSAAM (TYPES) bana lin hain, k In k Siwa koi Bhi Aadmi MUSALMAAN na Kehelwa sake.
Khair Jo Dusron ko MUSHRIK kehte hain, In k Baaray main HUZOOR (ALEH SALAAM) ki Hadees Mulaahiza ho:
ALHADEES: Bahawala: Rawah Abu Ya'ala Ao Jaz At'Tafaseer Man Tafseer, Ibn-e-Kaseer, Page:183, Tafseer Ibn-E-Kaseer, JILD:6, PAGE:265)
TARJUMA: "HAZRAT HUZEFA BIN YAMAN (REHMATULLAH) bayaan karte hain k, HUZOOR (ALEH SALAAM) ne farmaya k ,
"Woh UMOOR jin k baaray main tum par Andesha rakhta hun, Khof Zada hun, aur un main se ek yeh hai k, Ek SHAKHS QURA'AN parhe ga, Hat'ta k jab uski RONAQ us par RONUMA hogi, aur us par ISLAM ki Chadar Lipti hogi, to ALLAH TA'ALA us ko Jidhar chahe ga, Le jae ga, aur WOH us ko PAS-E-PUSHT phenk de ga, aur Apne PAROSI par TALWAAR k Saath Hamlay karega, aur Apne PAROSI ko MUSHRIK kahe ga".
HAZRAT HUZEFA (REHMATULLAH) kehte hain k main ne Arz kiya k, "Undonon main MUSHRIK kon hoga??"
1) WOH jo dusre ko MUSHRIK kehne waala hai??
YA
2) WOH jise MUSHRIK kaha gaya??
  AAP (ALEH SALAAM) ne farmaya..
" Dusre ko MUSHRIK kehne waala khud hi MUSHRIK hone ka HAQDAAR hoga"

NATEEJAH (RESULT):

Is HADEES ko PARH kar un logon ko Hosh main aana chahiye, jo MUSALMAANON Par SHIRK O BIDDAT k fatway lagate hain, Q K Aese log khud hi MUSHRIK hain, AUR IN k LIYE AZAAB TAYYAR hai..

No comments:

Post a Comment