Tuesday, 17 April 2012

Roman Urdu:: Hazir aur nazir ka jawaab


Haazir O Naazir k saboot Aayaat ki roshni main


Haazir k Mainey (Meaning) hain saamney Mojood hona,
Yaani Gayab na hona,

Naazir k chand mainey (Meaning) hain,
Dekhney waala,
Aankh ka Til,
Nazar,
Naak ki Rag,
Aankh ka Paani,

Jahaan tak hamari Nazar kaam karey wahaan tak Naazir hain,
aur jis jagah tak hamari Dastaras ho k Tasarruf karlen, wahaan tak hum Haaazir hain,

Aasmaan tak Nazar kaam karti hai wahan tak hum Naazir yaani dekhney waaley hain, Magar wahaan hum Haaazir nahin, q k wahaan hamari Dastaras nahin, aur jis Hujrey ya ghar main hum Mojood hain, wahaan Haazir hain, q k wahaan tak Hamari Puhanch hai,

Aalam main HAAZIR O NAAZIR k Sharai Maeney (Meaning) yeh hain k Qoowat-e-Qudsiyah waala ek hi jagah reh kar tamaam Aalam ko apney Kaf-E-Dast ki tarah dekhey aur Door-o-Qareeb ki Aawaazen suney ya ek Aan main tamaam Aalam ki ser karey, aur Sadha kos par Haajatmandon ki Haajat Rawai karey, yeh Raftar sirf Roohaani ho ya jism Misaali k saath ho, ya isi jism se ho jo Qabar main Madfoon ya kisi Jagah Mojood hai, in sab Maeney ka Saboot Buzurgaaney Deen k liye Quran O Hadees O Aqwaal-E-Ulama se hai..

Aayat#1:

Tarjuma: " Ae GAIB ki khabren Bataney waaley beshak hum ne tum ko bheja Haazir O Naazir aur khushkhabri deta aur Dar sunata, aur ALLAH ki taraf us k hukum se bulaata aur chamka deney waala Aaftaab"..
(Parah: 22, Surah Al Ahzaab, Aayat: 46)


Shaahid k Maeney (Meaning) Gawah k bhi hosaktey hain aur Haazir O Naazir bhi,

Gawah ko shaahid is liye kehtey hain q k woh Mohqay pe Haazir tha,

HUZOOR (ALEH SALAAM) ko shaahid ya to is liye Farmaya gaya, k Aap Dunya main Aalim E GAIB ko dekh kar Gawahi de rahey hain, warna Saarey Ambiya Gawah the, ya is liye k Qayamat main tamaam Ambiya ki Aeni Gawahi denge, yeh Gawahi bager dekhey nahin hosakti, isi tarah Aap ka Mubashir Aur Nazeer aur Daa'i Ali-ULLAH hona hai, k saarey Peghambaron ne yeh kaam kiye, Magar sun k kiye, aur HUZOOR (ALEH SALAAM) ne dekh kar kiye, isi liye Mairaaj bhi HUZOOR (ALEH SALAAM) ko huwi,

Siraaj Muneer Aftab ko kehtey hain, woh bhi Aalam main har jagah hota hai, ghar ghar main Mojood,

AAP (ALEH SALAAM) bhi har jagah mojood hain, Is Aayat k har Kalmey se HUZOOR (ALEH SALAM) ka Hazir O Nazir hona Saabit hai..



Aayat# 2:

Tarjuma: " Aur baat yun hi hai k hum ne tum ko sab Ummatiyon main afzal kiya, k tum logon par Gawah ho, aur yeh RASOOL tumharey Nigehbaan aur Gawah"..
(Parah#2, Surah Baqarah, Aayat# 143)


Aayat# 3:

Tarjuma: " To kesi hogi jab hum har Ummat se ek Gawah laaen aur Ae Mehboob tum ko un sab par Gawah O Nigehbaan bana kar laaen"..
(Parah#5, Surah#4, Aayat#41)


In Aayaton main ek Waqiyeh ki taraf Ishaara hai,

k Qayaamat k din degar Ambiya Karaam ki Ummaten Arz karengi, k hum tak TEray Peghambaron ne Teray Ehkaam na Puhnchaey they,

Ambiya E Karaam Arz karenge k Hum ne  Ehkaaam Puhncha diye,

In ki Gawahi par Etaraaz hoga,

k tum ne in Peghambaron ka Zamana na paaya, tum Bager dekhay kesay Gawahi de rahey ho??,

yeh Arz karenge k hum se HUZOOR (ALEH SALAAM) ne Farmaya tha,

tab HUZOOR (ALEH SALAAM) ki Gawahi li jaegi,

AAP (ALEH SALAAM) 2 Gawahiyan denge,

ek to yeh k NABIYON ne Tableegh ki thi,

dusri yeh k yeh meri Ummat waaley Qaabil-E-Gawahi hain,

Pas Muqadma khatam,

Ambiya-E-Karaam k Haq main Degree,

Agar HUZOOR (ALEH SALAAM) ne Guzishta Ambiya ki Tableegh aur aaendah Apni Ummat k Haalaat ko khud chasham-E-Haq been se Mulaahizah na farmaya tha, to AAP ki Gawahi par Jarah q na huwi?? jesay k Ummat ki Gawahi par Jarah huwi thi,

Maaloom huwa yeh Gawahi dekhi huwi thi, aur Ummat ne jo Gawahi di thi, woh sun k di hi, Is se AAP (ALEH SALAAM) ka Haazir O Naazir hona Saabit hai..



Aayat#4:

Tarjuma: " Beshak tumharey pass tashreef lae, tum main se woh RASOOL jin par tumhara Mushqat parna Giraa'n hai"..

(Parah#11, Surah#9, Aayat#128)


Is Aayat se 3 tarah HUZOOR (ALEH SALAAM) ka Haazir O Naazir saabit hai,

ek yeh k Aayat ki Arabi main hai (Jaa'Qum), jis se muraad hai k yeh baat Qayamat tak k Musalmaanon se khitaab ki gai hai, k tum sab k Pass HUZOOR (ALEH SALAAM) tashreeef lae, jis se Maaloom huwa k HUZOOR (ALEH SALAM)har Musalmaan k pass hain, aur Musalmaan to Aalam main har Jagah hain, aur yaani phir HUZOOR (ALEH SALAAM) bhi har Jgah mojood huwe..


Dusra yeh Farmaya gaya Aayat ki Arabi main ( Min'An'Fusi'Qum ), Yaani, Tumhari Nafson main se hain, yaani In ka Aana tum main aesa hai, jesay jaan ka Qaalib main aana, k Qaalib ki Rag Rag aur Rongtey main Mojood auur har ek se Khabar daar rehti hai, aesay hi HUZOOR (ALEH SALAAM) har ek k Fa'el se Khabar daar hain..


Acha aksar log kehtey hain k Upar waali baat ka matlab yeh hai k HUZOOR (ALEH SALAAM) tum main se ek Insaaan hain, to janaab agar yahaan yeh Muraad hoti to sirf (Min'Qum) bhi kaafi tha, par yahaan ALLAH TA'ALA ne Irshaad farmaya, (Min'An'Fusi'Qum)...


Teesra yeh k Farmaya gaya, In par tumhara Mushqat main parna Giraa'n hai, jis se Maaloom huwa, k hamari Raahat O Takleef ki har Waqt HUZOOR (ALEH SALAAM) ko khabar hai, tab hi to hamari Takleef se Qalb Mubarak ko takleef hoti hai, warna agar hmaari khabar hi na ho to Takleeef kesi, Yeh baat bhi Dar-asal pichli baat ka bayaan hi hai, k jis tarah jism k kisi Hissay ko dukh ho to ROOH ko takleeef hoti hai, isi tarah tum ko dukh dard ho to AAQA ko Giraani, is Karam k Qurbaan (Sallalaho Alehe Wassallam)..



Aayat#5:

Tarjuma: " Aur agar jab woh apni jaanon par Zulum karen to Ae Mehboob tumharey Huzoor haazir hon, phir ALLAH se Maafi chahen aur RASOOL in ki Shafa'at farma den, to Zarur ALLAH ko bohat Tobah karney waala Meherbaan paaen"..
(Parah#5, Surah#4, Aayat#64)


Is se Maaloom huwa k Gunahgaaron ki Bakhsish ki sabeel sirf yeh hai k HUZOOR (ALEH SALAAM) ki Bargah main Haazir ho kar Shifa'at maangen, aur HUZOOR Karam Kareemaana se Shifaa'at farma den, aur is ka yeh to Matlab hosakta nahin k Madiney PAk main Haazir hon, warna phir hum Faqeer Pardesi Gunahgaaron ki Magfirat ki kiya Sabeel hogi, aur Maaldaar bhi Umar main ek Do Baar Puhanchtey hain, aur Gunah din raat kartey hain, Lihaazah Takleef Ma Foq'ul'Taaqat hogi, Lihaaza Matlab yeh huwa, k tumharey pass mojood hain, tum Gayab ho, to tum bhi Haazir hojao, k Mut'tawwaj'jah hojao..
Maaloom huwa k HUZOOR (ALEH SALAAM) har jagah Haazir hain..



Aayat#:6:

Tarjuma: " Aur hum ne tum ko bheja magar Rehmat Saarey jahaan k liye"..
(Surah Al Hajj, Aayat#107)

Phir farmaata hai:

Tarjuma: " Aur meri Rehmat har cheez ko gheray hai "..
(Parah#9, Surah#7, Aayat#33)

Maaloom huwa k HUZOOR (ALEH SALAAM) jahaanon k liye Rehmat hain, aur Rehmat Jahaanon ko Gheray huwe hain, Lihaazah HUZOOR (ALEH SALAM) Jahaanon ko Gheray huwey hain, Khayaal rahey, RAB ki shaan hai RAB'BUL'AALAMEEN, HABEEB ki Shaan hai REHMAT'Ul'LIL'AALAMEEN, Maaloom huwa k ALLAH jis ka RAB hai, HUZOOR (ALEH SALAM) us k liye REHMAT hain..


Aayat#7: 

Tarjuma: " Aur ALLAH ka kaam nahin k Azaab karey, jab tak Ae Mehboob tum in main Tashreef farma ho "..
(Parah#9, Surah#8, Aayat#33)

Yaani Azaab-E-ILAAHI is liye nahin aata k in main AAP (ALEH SALAM) Mojood hain, aur Aam Azaab to Qayaamt tak kisi jagah bhi na Aawey ga, is se maaloom huwa k HUZOOR (ALEH SALAAM) Qayaamat tak har jagah Mojood hain, Balkey ROOH-Ul-Bayaan main Faramya hai k HUZOOR (ALEH SALAM) Har Saeed O Shaki k saath rehtey hain..



Aayat#8: 

Tarjuma: " Jaan lo tum sab main RASOOL ALLAH (ALEH SALAAM) Tashreef farma hain "..
(Parah#26, Surah#49, Aayat#7)

Yeh khitaab tamaam Sahaba-E-Karaam se kiya gaya tha, aur Sahaba-E-Karaam to Mukhtalif jagah rehtey the, Maaloom huwa k HUZOOR (ALEH SALAAM) sab jagah in k Pass the..



Aayat#9:

Tarjuma: " Aur isi tarah hum Ibrahim ko dihkatey hain, Saari Baadshahi Aasmanon aur Zameenon ki"
(Parah#7, Surah#6, Aayat#75)

Is se Maaloom huwa k Hazrat Ibrahim (Aleh Salam) ko Rab ne tamaam Aalam Ba Chashm-E-Sir (Yaani Sir ki aankhon se)Mulaahizah kara diya, HUZOOR (ALEH SALAM) ka Darjah in se Aala hai, Lihaazah Zauri hai k AAP (Sallalaho Alehe Wassallam) ne bhi Aalam ko Mushaahidah farmaya ho, is Aayat ki Tehkeek Behes-E-ILM-E-GAIB main Guzar chuki..



Aayat#10:

Tarjuma: " Ae Mehboob kiya tum ne na dekha k tumharey RAB ne in Haathi waalon ka kiya haal kiya"..
(Parah#30, Surah Feel, Aayat#1)

Aayat#11:


Tarjuma: "Kiya tum ne na dekha k tumharey RAB ne Qom-E-Aad k saath kiya kiya"..
(Parah#30, Surah#9,Aayat#6)

Qom-E-Aad aur Ashaab-E-Feel ka Waqiyah Wilaadat-E-PAK se Pehlay ka hai,

magar Farmaya jaata hai, Kiya Aap ne na dekha, yaani dekha hai,

agar koi kahey k QURA'AN-E-KAREEM Kufaar k baarey main Farmaata hai:

Tarjuma: " Kiya Unhon ne yeh na dekha k hum ne in se Pehlay kitni Qoowaten Halaak karden"..
(Parah#7, Surah Al-Ina'am, Aayat#6)

Kuffaar ne apney se Pehlay Kuffaar ko Halaak hotey na dekha tha.. Magar Farmaya gaya k kiya na dekha Inhon ne,

to is ka Jawaab yeh hai k is Aayat main in Kaffaar k Ujrey huwe Mulk aur Tabah Shudah Makaanaat ka Dekhna Muraad hai, aur Chunkay Kuffaar-E-MAKKAH apney Safaron main in Muqaamaat se Guzartey the, is Liye Farmaya Gaya, k yeh log in Cheezon ko dekh kar Ibrat q nahin pakartey, HUZOOR (ALEH SALAAM) ne na to Zaahir main Duniyah ki Siyaahat farmai aur na Qoam-E-Aad wagera k Ujrey huwe Mulkon ko Bazaahir dekha, is liye Maanna hoga k yahaan NOOR-E-NABUWWAT se dekhna Muraad hai..


QURA'AN-E-KAREEM Jagah Jagah Az Farmaata hai,

(Parah#1, Surah#2, Aayat#30), Jab k AAP k RAB ne Farishton se kaha..

is tarah ek aur jagah

(Parah#1, Surah#2, Aayat#67) Jab k Moosa (aleh Salaam) ne Apni Qoam se kaha

wagera wagera..

is jagah Muffassireen Mehzoof nikaaltey hain, az kar, Yaani is Waqiyey ko yaad karo, aur yaad woh cheez dilai jaati hai, jo pehley se dekhi bhaali ho, udhar tawajjah na ho, jis se Maaloom hota hai k tamaam Guzishta Waqi'aat HUZOOR (ALEH SALAAM) k Dekhey huwey hain.. Rooh-Ul-Bayaan ne Likha hai k Hazrat Aadam (Aleh Salaam) k Saarey Waqi'yaat HUZOOR (ALEH SALAAM) Mushaahidah Farma rahey the, is ka Zikar Aagey Aata hai, agar koi kahey k Bani Israel se bhi Khitaab hai (Parah#1, Surah#2, Aayat#49) Us Waqt ko yaad karo, jab k hum ne tum ko Aal-E-Fir'On se nijaat di thi, HUZOOR (ALEH SALAAM) k Zamaaney k Yahoodi us Zamaaney main kahaan the, Magar Muffassireen yahaan bhi Az Kar O Mehzoof nikaaltey hain, jawaab diya jaega k na Bani Israel ko Taareekhi Waaqiyaat maaloom the, Kutub Tawaareekh Parhi thin, is taraf un ko Mut'taw'waj'jah (Muttawwajah) kiya gaya, HUZOOR (ALEH SALAAM) ne na kisi Kitab se Parha na Kutub Tawaaareekh ka Muta'alla Farmaya, aur na kisi Moorkh ki sohbat main rahey, na Taaleem Yaafta Qoam main Parwarish Paai, ab AAP ko Behez-Noor-E-NABUWWAT Alm ka Zariyah kiya tha..

No comments:

Post a Comment