Tuesday, 17 April 2012

Roman Urdu: Najdyo ka jhoot


NAJDIYAON KA JHOOT ( Must Read & Must Share )

♥ Al Quran ♥

"Aur ussey badhkar Gumraah kaun hai jo ALLAH ke siwa aisaon ko Pooje jo Qayaamat tak uski na soone aur unhe unki Pooja ki Khabar tak nahi".

"And who is more astray than one who worships those instead of ALLAH who cannot listen to their prayer until the Day of Resurrection and who do not even know of their worship". ( Will never listen )

[ Sura-e-Ahkaf , Aayat No : 5 , Tarjama: Kanzool Imaan ]

Ees Aayat se pehle waali yaani 4 no. ki Aayat me ALLAH TA'ALA hamaare PYAARE ♥ AAQA ♥ se farmaata hai ki tum farmaao ( yaani un logaon ko jo ALLAH ke siwa bootaon { Murti } ko Poojte hain ) aur ye Aayat bhi uss hi 4 no. ki Aayat ke saath saath hi hai. Ees se saaf zaahir hota hai ki ye Aayat bootaon ko Poojne waale Kuffar logaon ke baare me Naazil huwi aur is Aayat me Pooja Lafz hai yaani jo ALLAH ke siwa doosraon ko Poojte hain aur aap aur hum achchi taraah jaante hain ki Bootaon ki Pooja koi nahi karta.

HADEES-E-SHAREEF:

HAZRAT IBNE UMAR RADI ALLAHU ANHU FARMAATE HAIN:

"Logaon me sabse boore log wo hain jo Kaafiraon ke baare me Naazil hone waali Aayat ko Musalmanaon par Chispan karte hain".

[ Bukhari Shareef , Jild : 2 , Page No : 1024 ]

( Aur agar wo yun kehte hai ki Madad ke liye pukaara to wo Qabr waala soon nahi sakta to phir ye Hadees kya yun hi bayaan ki gayi hai ),

HADEES-E-SHAREEF:

"Jab koi aisi Qabr se Guzre jisey Duniya me jaanta tha aur uspar Salaam karey to wo Murda isey Pehchaanta hai aur iske Salaam ka Jawaab deta hai".

[ Taarikh Baghdaad , Jild : 6 , Page No : 135 , Hadees No : 3175 ]

( Issey saaf zaahir huwa ki Qabr waale humey Pehchaante bhi hain aur hamaari Soonte bhi hain aur is Aayat se Saabit bhi yehi huwa ki wo Boot ( Murti ) naa hi kisika soon sakti hai aur naa hi kisi ka Jawaab de sakti hai).

No comments:

Post a Comment