Thursday, 12 April 2012

(roman urdu) bidah- inovation


Bid'at
@01

Q.Bid'at ka Mafhum Bataen?

A.
Har Wo Kaam Jiski Koi Asal Bilwasta Ya Bilawasta Na
Quran Me Ho Na Sunnate Rasul Me Ho,
Aur Ise Zaruryat e Deen
{Jiska Inkar Kufr He}
Me Shumar Karte Huey Shamil e Deen Kar Dya Jaye

Mutlaqan Har Naye Kaam Ko Az Roo e Shara Is Lye Bid'at Kehna
K Wo Naya He To Is Se Shariat Ki Taalimat Me Kam o Besh 80% Kaam Najaaiz Ho Jaayenge
Agar Kisi Ko Ikhtilaf He To Challenge He K Bid'at Ki Koi Tareef Likh Den

Bid'at
@02

Q.Agar Deen Me Koi Naya Acha Kaam Ho Jo Shariat Se Na Takraye To Uske Lye Kya Fazeelat He, Misaal Bhi Den?

A.Sarkar sallallahu alehi wasallam :
Mere Baad Koi Aisa Amal Jaari Kare Jo Deen Ki Asal Se Mutazad Na Ho Qayamat Tak Us Pe Amal Karne Walon Ka Bi Sawab Paye Ga
(MUSLIM)
E.g:
QURAN ki Mojuda Tartib
Kitabi Surat
Earab o Tarajim
Ahadees,Uski Asnaad o Usool
Tiraweeh
Jumey Ki Azaan e Saani
Jalsey, Juloos
Masajid Ki Mojuda Surat

Bid'at
@03

Aetraz Hota He K Tarif To Yun He
"Jo Hamare Is Deen Main Koi Aisi Baat Nikale Jo Deen Me Se Nhe, To Wo MARDOOD He"

A.
Jis Tarah Hadis e Paak Samaj Kar Suwal Qaaim Kya Gaya
Is Aetbaar Se To Unka Mobile Par Deen Ki Tablig K Lye SMS Karna Bi Bid'at Hua.
Mazid Inki Bidaten Agle Msgs Me Btayenge

Bid'at
@04

Jo Deen Me Acha Kaam Ejaad Karey Usko Aur
Jo Is Par Amal Karenge
Unko Bhi Sawab Jbke Ejaad Krne Wale Ko Inke Barabar Sawab Milega
Jo Deen Me Bura Kaam Ejaad Kare Usey Gunah Hoga
Aur Jitne Log Isko Karenge Unko Aur Unke Barabr Isey Gunah Hoga
(Muslim V#1, P#327)
(Tirmizi V#2, H#872, P#239)

Bid'at
@05

Nayi Baat Ko Bid'at Kehte Hen.
Iski Do (2) Qismen Hen:

1. Bid'at e Hasana (Jaiz, Mustahab Bulke Baaz Martaba Wajib) Wo Bid'at He Jo Kisi Sunnat Ke Mukhalif Na Ho.
Jese Ba Jama'at Tarawih

2. Bid'at e Sayyi'a (Mazmuma w Qabeeha) Wo Bid'at He Jo Sunnat Ke Mukhalif Ho. Ye Makrooh o Haraam He

Bid'at
@06

Umer RadiyALLAHu anhu Ne Masjid e Nabwi Ke Sutoon Dubara Lagaye
Hazrt Usman Ne Bi Is Me Tabdili Aur Izafa Kya,
Deewaren Tarashey Hue Patharo Aur Choone Se Banayi
Jbke Rasoolullah AlehisalatuWasslaam Ke Dour Me Aisa Kuch Na Hua Tha
(Bukhari V#1, H#430, P#240)
(Abu Dawood V#1, P#448, P#213)

Bid'at
@07

#Pichi Hadis Par Aimma Ke Aqwaal#

*Wo Kaam Jisey Ulama Aur Aarifin Ejaad Karen, Sunnat Ke Khilaf Na Ho To Acha Kaam He
(Roohul Bayan)

*Jo Amal Logo Me Mash'hur Hojaye Aur Shariat Ke Mutabiq Ho Uski Itteba Zaruri He
(Badiyul Sanaya By Imaam Kaasani)

*Jo Kaam Shariat Ke Mukhalif Na Ho Wo Bid'at e Hasana He
(Umdatul Qari By Allama Badruddin Aini)

*Agar Ye Kaha Jaye Ke Bid'at e Hasana Koi Chiz Nhe To Ye Baat Hadis Ke Khilaf He
(Allama Shaami)

Bid'at
@08

Hazrat Abubakar Ke Dour Me Jang Me Kayi Huffaaz Shaheed Hogaye,
To Hazrt Umar Ne Kaha K Agar Isi Tarah Shahadaten Hui To Buht Sa Quran Chala Jayega
Aap Qur'an Ke Jama Krne Ka Hukum Frmaen
Farmaya;
Wo Kaam Me Kise Karun Jisey Rasoolullah Ne Na Kya Ho?
Arz Ki;
"ALLAH Ki Qasam, Ye Acha He"
Phr Wo Israar Krte Rahey, Yahan Tak Ke Siddique Akbar Ne Farmaya;
"ALLAH ne Mera Seene Ka Khol Dya Jese Umer Ka Seena Khola"...
(Tirmizi V#2, H#1027, P#427)

Bid'at
@09

Sahaba e Ko Ba Jama'at Namaz e Taravih Parhtey Dekh ker Hazrat Umar RadiyALLAH Ne Farmaya:
"..Kitni Achi Bida'at He..."
(Bukhari V2, H#1906, P#707)

Bid'at
@10

#Bid'at Kabhi Wajib Bhi Hoti He#

Mulla Ali Qari
Bid'at Ki Iqsaam Bayan Farmatey Hue Likhte Hen:

*. Bid'at e Wajiba :
Jese Ilm e Nehw Aur Qur'an Samajney K Lye Usool e Fiqh Ka Jama Karna

Isi Tarah
Bid'at e Haram,
Mustahabba,
Makroh,
Mubaha,
Ye Sab Bi Bid'at Ki Iqsaam Hen
<Mirqat V1, P#337>

Bid'at
@11

Natija Ye Nikla Ke Achey Kaam,
Meelad,
Esaal e Sawab,
Urs Ki Taqarib,
Khaas Raato Me Shab e Bedari,
Azaan Se Pehle Aur Jummah Me Salat o Salam,
Chehlum o Barsi Wgera
Na Ye Kaam Shariat Se Takrate Hen, Na Shariat Ne In Se Mana Kya
LIHAZA
Sawab Ki Niyyat Se In Kaamo Ka Karna Bid'at e Hasana He

Bid'at
@12

Aaye!
Ab Baat Baat Par SHIRK Aur Bid'at Ke Fatwey Lagane Walo Ki "Bidat Ki Tareef" Ki Roshni Me Inki Kuch Bid'aat Mulahiza Hon
Faisla Kijye Ga K..

Bid'at
@13

AETRAAZ:
Aaj Kal Buhot Si Masajid Me Buland Aawaz Se Zikr o Durud Jata He
Sahaba Ke Dour Me Masajid Theen, Kya Unko Is Tarah Zikar Krna Nhe Ata Tha?

A.
Afsos He Un Par Jo Is Tarah Ke Suwal Karte Hen.
Actually Baat Ye He Inke Nasib Me Huzoor Se Bugz He
Aur Jis Dil Me Ishq e Rasool Nae Us Dil Me Imaan Jata Hi Nhe

Sharyi Jawab To Pichle Msgs Me Dya Jaa Chuka He

LEKIN
Ab Suwal Qaim Ye Hota He
Ke

Q. Kya Inke Dil Me Sahaba Se Zyada Muhabbat He K Kabhi Ramzan Me Tarawih Ke Baad Kisi Sahabi Ne Tarjuma w Tafsir Bayan Ki?

Q. Kisi Sahabi Ka Naam To Batayen Jisne Apne Bacho Ko 6 Kalmey Yad Karaye?

Bid'at
@14

#Wah Rey Munafiqat#

Kabhi To Deoband K Nazdik
Bi Rasoolullah Ki Wiladat Ka Zikar Karna Biddat Nahi.

Aqwaal:
>: Haji Imdadullah
>: Mehmoodul Hasan
>: Ashraf Ali Thanvi
>: Abdul Wahab Najdi
>: Rasheed Ahmed Ldhyanvi

Book Ref:
(Al Mohind Alal Mufnid)

Milad Agar Biddat To Ye Sab Kya Hue?

Bid'at
@15

#KAMAAL HOGAYA#

DeoBandion Ne Apne
Hakimul Ummat Thanvi Ko Bid'ati Aur Mushrik Qarar Dey Diya

Kisi Deobandi Se Puchen
Qabristan Jana Kesa He?
Kahe Ga: Shirk o Bid'at

To Thanvi Bhi Hogaye Mushrik o Bid'ati

"15ween Shab Ko Qabristan Jana Sunnat He"
(Behashti Zewar Part#6 P#508 Az Thanvi)

Bid'at
@16

Shariat Ka Usool He Ke
Fazail Wali Ahadis Agar Chey Zaeef Hon
A'amaal Par Foqiat Di Jasakti He.
Wahabiyo Ke Mutabiq 27 Rajab Wagera Ko Ibaadat Bid'at He To Kya Ye Aelan Kya Jaye K Us Din Koi Ibaadat Na Karey?
Ya Nafil Rozey Haraam Hojayen Ge?

Bulke Inse Puchen K Jin Buzurgo Ka Tazkira Kr Ke Wo Isey Zaef Btate Hen
Unki Deegar Riwayaat Jo Meelad Aur Istimdad Se Muta'lliq Hen Unhe Kahan Tak Taslim Krtey Hen?
Ya Sirf ManPasand Riwayaat Btate Hn?

Bid'at
@17

15 Shaban Ko Qabristan Jana BidDat Ha Baqoul. . . .

Hamara Suwal:
Koi Aisi Riwayat Paish Karain Jis Me Is Raat Me Ibaadat Ya Qabrastan Jane Ki Mumaniat Aayi Ho?
Umar Bhar Suwal Hi Rahega

#Free Advice#

Ab Agar 14 Shaban Ko Koi Wahabi Mar Jaye To Usey Qabrastan Le Ja Kar Bid'at Mat Kar Bethna
Bulke Koi Bara NAALA Dekh K....

Aur Dafnaney Ke Lye 16 Shaban Ka Intezar Karo
To Taakhir Ki Dalil Bhi Paish Karna

Har Cheez Bid'at
Kya Cheez Hen Ye?

Bid'at
@18

#WAHABI OR BIDDAT#

Jab Denmark K Kafiro Ne
Huzoor Ki Shaan Me Gustakhi Ki To Wahabiyon Ne Inke Khilaf Ralliyan Nikali

Hamara Suwal Ye He Ke Sahaba Ke Dour Me Bi Kafiro Ne Huzoor Ki Shaan Me Gustakhyan Ki Magar Kisi Sahabi Ne Rally Nahi Nikali

Kya Wahabi Sahaba Se Zyada Aashiq e Rasool Hen?

Agar Hum Jashn e Wiladat Ka Juloos Nikale To Kehte Hen Sahaba Ne Aisa Nahi Kya,
Magr Apna Haal Nahi Dekhte

Sirf Julus e Meelad Se Taklif Kyun?
4wd it

Bid'at
@19

Darul Uloom Karachi:
5000 Lights
2000 Sevrs
500 Fox Lights
150 Speakrs
300 Fanus
12 Paani Ki Motors
600 Computrs
3000 Fans

Ye Sb Bi Bid'at Hui Na?

Bidat
@20

Agar Yahi Usool He K Jo Kaam HUZOOR Ya Sahaba Ne Na Kya Ho Wo Najayez Aur Bid'at He
To Phir Ye Kaam Kya Hue?

1) Masjid ki Mehraben
2) Minaar
3) 6 Kalmey
4) Iman-e-Mujmal or Mufassal
5) Mike par Azaan Bulke Namaz
6) KAABE Ka Sone Ka Darwaaza
7) Gunbad -e- Khazara
8) Masajid k Gunbad
9) Masjid Me Fans, Lights
10) Imam, Moazzin Ki Salaries

Phir B In Kaamon Ko Jaaiz Samajh K Karne Wala
Milad Ya Ache Kaamo Se Jalta Hey To Usey Doob Marna Chahye

Bidat
@21

#Chand Mazid Bid'aat e Wahabiyya#

1: Raiwond Aur Mureedke Ke Ijtema

2: Shab e Jumma Ke Ijtema

3: Masjidon Me Jamaten Aur Lotey Lye Phirna

4: Tabligi Nisab Ka Dars

5: Youm e Siddiq e Akbar Par Juloos Nikaalna

6: Khatm e Bukhari

7: Jashn e Daar ul Uloom Deyoband Manana
Aur
8: Us Me Hinduon Ko Bulana

9: Indra Gandhi Ko Mimber Par Bithana

10: Gair Muqallid Wahabio Ka Bi Mukhtalif Mawaqe Par Ralliyan Nikaalna

11: Junaid Jamshed Ki Music Pr Naatein

12: Wahabi Molwio Ka T.V Par Aana

13: Cricket Khelna

Sunniyo Ke Ache A'amaal Par Aitraaz Karne Walo Ko Chahye K Ye Saari Bid'aten Band Karen

Bid'at
@22

AuliyaALLAH Ke Urs Mubarak
Ko Bid'at Aur Haram Kehne
Waley
Saudi Farmaan Rawa
Shah FaisaL
ki 35ween BARSI
Mana Rahey Hain

GeoTv 10:25am 25|3|10

Bid'at
@23

#12Ween Walo Sey Hi Jalan Kyun?#

Rasheed Deobandi:
Khatam e Bukhari
Quran o Hadis Sey To Sabit Nahi Magar Karna Sahi He
Kyun Ke
Zikr e Khair Ke Baad Dua Qubool Hoti He, Ye Bid'at Nahi
(Fatawa Rasheediya P#102)

Kya Milad, Barsi, Soyam Wgera Me Zikr e Khair Nhe Hota K Inhe Bid'at Kehte Ho?

Bidat
@24

Ye To Wahabi Aur Deobandi Hazraat Ki Sirf Kuch Bid'aat Ginwayi Hen.
Akhbaarat, Rasail Aur Inki Apni Kitaben Bid'aat Se Bhari Pari Hn
ALLAH Samaj Dey



No comments:

Post a Comment