Thursday, 27 April 2017

SHIRK IMPOSSIBLE

Kya Musalman Bhi Shirk Kar Sakta hai

بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَنِ الرَّحِيم

Kya Huzoor Rasool E Karim Ki Ummat Shirk Me Mubtela Hosakti Hai ? Kya Musalman Ummah Shirk Kar Sakta Hai ? Huzoor Ki Ummat Shirk Nahi Karegi.
Humne Wahabi Shaykho Kay Aqsar khitab sune unki likhi Tehreer padhi padhne sun ne kay baad is baad ka mukammal andaza hogaya hai kay unka pura jor bas is baat pe laga huwa hai kay kisi naa kisi tarah bas ummat e muslima ko jo Puri Dunya me Ahle Sunnah Wa Jamaat hai jo Milad Manati hai Awliya Allah ki Mazarat Pe Haazri dete hai Huzoor Ka Awliya ka waseela pakadte hai Mazarat pe Imarat Gumbad tameer karte hai ye sab Mushrik Hai kaafir Hai Shirk Me Mubtela hai.
Goya kay wo baar baar batane ki koshish karte hai kay siwaye Wahabi Ahle Hadees Salafi vichardhara ko chodke puri ummat SHIRK me mubtela hai inki biwiyan, Auratein sab Laundi banaye jaa sakti hai inhe qatl karo aurato ko Laundi banalo.
Lihaja ye Yahudi Kutte khwarij ne Pure Arab Mumalik Syria, Iraq, Libya, aur ab is toofan me bahot se mulk aane ko hai haal hi apni taqat dikhane ki garz se Saudi Arabia jo Wahabiyo Ka Sabse bada markaz finance center hai usne Yemen bhi hamla kiya hai Khair ab hum aate hai Mauzu ki taraf.
Sabse Pahle Aaye Inke Sabse Bade Aalim jinko Ye log Mujadid apne firqe ka baani tasleem karte hai Muhammad Ibn Abdul Wahab Nazdi uski kitab ki kuch jhalkiyan Scan page kay saath taaki maloom ho aur Issi Shakhs Ki bunyaad pe is firqe kay maan ne waalo ko Wahabi Kaha Jata hai.

Muhammad Ibn Adbul Wahab Nazdi Founder of Wahabi Sects
Apni kitab jo kay Wahabiyo Kay yahan ka Bible Hai KITABUT TAWHEED me Hazrat Adam Wa Hawwa Alaihisalam Radiallahu anha kay mutallik likhte hai kay wo bhi SHIRK kar chuke hai. Astagfirullah
(Muhammad Ibn Abdul Wahab Nazdi, Kitabut Tawheed, Chapter : 49 - Naam Rakhne Kay Baab Me Shirk Karne Ka Bayan, Pg : 122)
Me Likhte Hai Kay Hazrat Adam Alaihsalam Ne Bhi Apne bete kaa Naam Rakhne Me Shirk Kiya.
Scan Page






Ye kitabein Base Miyaa’nr bani un baad me aane waale Wahabi Shaykh logo kay liye jinhone Shirk Tawheed wagairah pe kitab likhi hai sabne jo kuch likha wo sab inhi kitabo se liya hai chunanche
Wahabiyo kay Bade Shaykh Muhammad bin Salih Uthaymeen 2001 Me Maut Huwi unki kitab me likhte hai

“Agarche Tauheed ka Akeeda Rasool Allah ne bada Bayan Kiya Magar Aaj Bhi Dunya Shirk Se Bhari Padi Hai”
(Shaykh Muhammad bin Salih Uthaymeen : Tohfatul Muslim Pg : 30)

“Hamare Jamane k Mushrik pahle jamane k mushrik se double shirk karne waale hai ”
(Abdur Rehman bin Abdul Aziz , Al Majmuatul Mufida ,  pg :  40 )  

Aur aage Dalil di k Abu Zahel, Utba, Shayba etc aam haal me buth ko pukarte magar mushkil me Allah ko pukarte the aur ye log khusi me gam me har haal me Ya Rasoolullah Pukarte hai.  

“Pehle kay Mushriko ne kalme kay maane ko inse behtar samjha”
(Hakikatut Tauhid Pg 27, - Shaykh Saleh bin Fawzan)

Upar bayan ki gayi inki tahreer se ye baat bilkul saaf hai kay inka maksad kya hai Abu Zahel Kay baare me aqeedah rakhte hai Usko Tawheed Ki Thodi samajh thi wo Single Shirk karne wala tha lekin Sawad E Aazam Ahle Sunnat Double Shirk karne waale hai aur puri dunya me yehi shirk horaha hai.

Huzoor Ko Apni Ummat Pe Shirk Ka Khauf Nahi Tha
Hadees 01 :
“Hazrat Uqba bin Aamir رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabi E Akram ﷺ Ne Shuhada E Uhad Par (Dobaara) Aath-08 Saal Baad Is Tareh Namaz Padhi Goya Zindon Aur Murdon Ko Alwida Kah Rahe Hain.
Phir Aap ﷺ Mimbar Par Jalwa Afroz Huwe Aur Farmaya :
Mein Tumhara Peshraw Hoo’n, Mein Tumhare Upar Gawaah Hoo’n, Hamaari Mulakat Kee Jagah Hawz E Kawsar Hai Aur Mein Is Jagah Se Hawz E Kawsar Ko Dekh Raha Hoo’n Aur Mujhe Tumhare Mut’alliq Is Baat Ka Dar Nahin Ki Tum (Mere Baad) Shirk Me Mubtila Ho Jao’ge Balki Tumhare Mut’alliq Mujhe Duniyadaari Ki Muhabbat Me Mubtila Ho Jaane Ka Andesha Hai.
Hazrat Uqaba ibn Aamir رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه Farmate Hain Ki Yeh Mera Huzoor Nabi E Akram ﷺ Ka Aakhiri Deedaar Tha (Ya’ni Us Ke Baad Jald Hee Aap ﷺ)”
References :
(Sahih Bukhari, Pg : 993, Kitabul Maghazi, Baab : Ghazwat E Uhud, Hadees : 4042, 4085)
(Sahih Muslim, Kitabul Fazail, Baab:  isbati Hauzin Nabiyana Wa Sifatihi, Hadees :5689)
(Sunan Abu Dawood, Vol : 03, Pg : 216, Hadees : 3324)
(Musnad Ahmad ibn Hanbal Vol : 04, Pg : 154, Hadees : 17532)
(Imam Tabarani Al Mujam Ul Kabeer Vol : 17, Pg : 279, Hadees : 768)
(Imam Bayhaqi Sunan Kubra Vol : 04, Pg : 14, Hadees : 6601)
Scan Page Front Cover Sahih Bukhari


Hadees 02:
Hazrat Uqba bin Aamir  رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه Riwayat Krte Hain Ki Huzoor Nabi E Akram Ne Farmaya :
Beshak Mein Tumhara Peshraw Aur Tum Par Gawaah Hoo’n.
Beshak Khuda Kee Qasam!
Mein Apne Hawz (Kawsar) Ko Is Waqt Bhi Dekh Raha Hoo’n Aur Beshak Mujhe Zameen Ke Khazaanon Kee Kunjiya’n (Ya Farmaya : ) Zmaeen Kee Kunjiya’n Ata Kar Dee Gayi Hain Aur Khuda Kee Qasam!
Mujhe Dar Nahin Ki Mere Baad Tum Shirk Karne Lagoge Balki Mujhe Dar Is Baat Ka Hai Ki Tum Duniya Kee Muhabbat Me Mubtila Ho Jaoge.”
References :
(Sahih Bukhari, Pg : Kitab Al Manakib, Baab : Alamat E Nabuwat Fi Islamihi, Hadees : 3596)
(Sahih Bukhari,Kitab Ar Riqaak, Hadees : 6426, 6590)
(Sahih Muslim, Kitabul Fazail, Baab:  isbati Hauzin Nabiyana Wa Sifatihi, Hadees :2296)

Scan Page Sahih Bukhari


Hadees 03 :
“Hazrat Uqba Bin Aamir رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه  Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabi E Akram Ne Farmaya :
Mujhe Tumhare Mut’alliq Is Baat Ka To Dar Hee Nahin Hai Ki Tum Mere Baad Shirk Karoge Balki Mujhe Dar Hai Ki Tum Duniya Kee Muhabbat Me Giraftar Ho Jaawoge Aur Ladoge Aur Halaak Hoge Jaisa Ki Tum Se Pehle Log Huwe.
Hazrat Uqba رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه Farmate Hain Ki Yeh Aakhiri Baar Thi Jab Mein Ne Huzoor Nabi E Akram Ko Mimbar Par Jalwa Afroz Dekha (Ya’ni Us Ke Baad Jald Hee Aap Ka Wisaal Ho Gaya).”
References :
(Sahih Muslim, Kitabul Fazail, Baab :  Baab:  isbati Hauzin Nabiyana Wa Sifatihi, Hadees : 2296 (B))
(Imam Tabarani Mujam Ul Kabeer, Vol : 17, Pg : 279 , Hadees : 769)

Scan Page & Front Cover Sahih Muslim



Ye Upar humne 03 Sahih Mustanad Muttafaque Alaih Rivayatein Siha Sitta Se Bayan ki wo bhi un kitab se Bukhari Wa Muslim jiska naam sabse zyada liya jaata hai par awaam ko ye batayi nahi jaati jaante hai bayan hogayi to Saudi Riyal Petrol band hojayga .
In hadeeso se kayi baat maloom huwi
01) Jisme Rasoolullah ALLAH Taa’la ki kasam khaa kay farma rahe hai Mujhe Meri Ummat me Shirk Ka Koi Khatra nahi hai bas dunya talabi me aapas me ek dusre se lad jaane ka khatra hai.
02) Jo Baat Nabi E Karim Allah Taa’la ki kasam khaa kay kahe to samajh sakte hai usme kitni mazbooti hai lekin daur e Hazir me mukhalifeen ki janib se is hadh tak shadeed shirk kay hamle horhe hai kay baat baat pe banda mushrik declare kiya jaa raha hai.
Hadh to ye hai Kay Mukhalifeen kay Hindustan Me Bahot Bade peshwa Shaykh Ismail Dahelvi ne apni kitab Tazkiratul Ikhwaan me Eid Ki Sawayi Khana Shirk likh diya hai.
Aur Deobandi Firqe kay bade Mujadid Ashraf Ali Thanvi Sahab ne apni kitab Behasti Zevar Me Dulhe Ka Nikaah Kay Waqt Sahra pahen na Shirk Aur Kufr kay baab me daal diya hai.
03) Is se Rasool E Akram Ka Ilm E Ghaib ki jahir hai kay Huzoor Apni Ummat kay aane waale halaat ki bhi khabar de rahe hai kay Shirk kabarpasti buthparasti wala to nahi karoge lekin aapas me ladoge aaj ummat e muslimah kaa haal hamare saamne hai.
04) Nigaah E Nabuwat Kaa Aalam Dekhe kya hai Mauzood Huzoor Makam E Uhad me hai par saamne apna Hauz E Kausar Dekh rahe hai lekin kuch log kahte hai Deewar kay piche ka Ilm Huzoor Ko nahi Huzoor Deewar kay piche nahi dekh sakte.

Aap Andaza Laga Sakte hai kay Jis Firqe kay yahan Allah kay Masoom Nabi Hazrat Aadam Alaihsalam ko Shirk karne waala likh kay baqayda us se result natiza nikala jaata ho wo kya badi baat kay aam musalman ko Mushrik naa kahe aur jab Sawayin khana Dulhe ka Sahra pahen na sab Shirk hai to samjha jaa sakt hai kay inke yahan kya Shirk kay fatwo ki Machinery tez hai aur aaj ka padha likha musalman SAUDI jhubbe kay chakkar me mutassir hojata hai.  
ALLAH SUNNI MUSALMANO KO INSE MEHFOOZ RAKHE.

Hissa 02 : Wahabiyo Kay Kuch Ahmakana Dalail
Jab In Hadeeso ko pesh kiya gaya to kuch wahabi Hazraat Ne Isko ye kahke raddh kar diya kay yahan khitab sirf Sahaba Kay liye hai naaki isme Puri ummat murad hai.
Al Jawab : Chalo bil farz maanle’n Sahaba Murad Hai to bhi isme Hamare Aaka Ka Ilm E Ghaib Saabit hai kay Sahaba kay liye bhi Shirk naa karne ki jamaat de rahe hai.
Khair Yahan Sirf Baqaul Wahabi kay sahaba Murad hai ab hum wo ahadees bataur e dalil pesh karte hai jisme Sahaba Nahi Puri ummat murad hai. Huzoor Ko Sirf Sahaba E kiram Rizwanullahim Azmayeen Ki Nahi Balki Ummat E Muslimah Kay Shirk E Akbar Me Mubtela Hone Ka Khauf Naa Tha
Hadees 04 :
Hazrat Ubada bin Nusai رَضِیَ اللّٰهُ تَعَالیٰ عَنْهُ kahte hain, mein Hazrat Shaddad bin Aus رَضِیَ اللّٰهُ تَعَالیٰ عَنْهُ ke paas gaya woh apni jae namaz par baithe ro rahe the Maine puchha aye Shaddad kyu rote ho
Unhone kaha Ubada suno
Ek hadees Maine Rasoolullah ﷺ se suni hai uski wajah se ro raha hu,
Mene puchha woh hadees konsi hai
Kaha,
"Mein sarkaar ﷺ ke paas baitha tha sarkaar ﷺ ghamgheen the,
Meine puchha Ya RASOOLALLAH ﷺ MERE MAA BAAP AAP ﷺ PAR QURBAN  ghamgheen kyu hain ?
To Aaqa ﷺ ne farmaya
'Mujhe meri ummat pe MERE BAAD 2 cheez ka khatra hai,  (Is wajah se ghamgheen hu )'
Meine Arz ki kis cheez ka khatra ?
SHIRK aur KHUFIYA SHAHWAT ka Khauf hai.
Shaddad ne Pucha Kya Sarkar ﷺ Aapke baad Aapki Ummat Mushrik Hojaygi ?
Sarkaar ﷺ ne irshad farmaya,
Khabardaar MERI UMMAT NA CHAAND KO PUJEGI NA SURAJ KO PUJEGI NA BUTT KO PUJEGI NA DARAKHT ( tree) KO PUJEGI NA PATTHAR KO PUJEGI.
(Aye shaddad mene jise shirk kaha woh riyakari /dikhawe ke aamaal hain )
Mene arz ki ya rasool Allah, kya riyakari (dikhawe ke aamaal bhi shirk hai
Farmaya, haan."
References :
(Hakim  Al Mustadrak Vol : 05, Pg : 470, Hadees : 8010)   
(Sunan Ibn Majah,Kitab Uz Zuhad, Hadees : 4204)
(Musnad E Ahmad Ibn Hambal Vol : 05 , Hadees : 17250)
(Imam Bayhaki Shoebul Imaan Vol : 5, pg :333, Hadees : 6830)
(Hilyatul Aulia Vol 1 pg 466 Hadees : 899)
Scan Page Mustadraq Al Hakim
Imam Hakim Jo Imam Bayhaqi kay ustaad hai farmate hai ye hadees Sahi ul Isnaad hai.
Is hadees se wajahat huwi kay Huzoor ko Apni ummat pe 02 Chiz ka khatra sabse zyada tha wo ek SHIRK dusra Shahwat E Khafiya yaani nafsani khwaish.
Yahan issi hadees me SHIRK ki wajahat bhi ki gayi Ummat Naa to Patthar Pujegi naa chand naa suraj wagairah balki jis chiz ko Shirk kaha gaya wo RIYAKARI hai DIKHAWE Ka amal jisko Shirk E Asgar Kaha jaata hai is amal se banda Mushrik Kaafir nahi hota lekin Sakht gunahgaar jarur hota hai.
Mumkin ho yahan ye kahde wahabi shirk to shirk hai banda mushrik hojayga to yahan hum ek aur hadees pesh karte hai jo inke is dalil ka raddh karti hai.


Ye ek nuqta yaad rakhe jab aage Shirk e khafi akbar jali wagairah lafz aaynge to pareshani naa ho.
SHIRK E JALI = SHIRK E AKBAR (yaani Khula Shirk jisme Buth, Chand, Suraj Makhlook ki ibadat karna jis amal se banda MUSHRIK hojata hai Islam Se kharij hojata hai)
Ye Is ummat ki bimari nahi hai Ye Ummat E Muslimah Shirk E JALI SHIRK E AKBAR me mullawis nahi hogi ek do aadmi to khuda hone ka Nabi Hone ka dawa bhi kar dete hai lekin puri ummat isme mulawwis ho aisa nahi hoga.
SHIRK E KHAFI = SHIRK E ASGAR (Yaani Wo Amal Jo Banda Dusre bande ko dikhane kay liye karta hai misal kay taur pe ek banda namaz padhte ho aur niyat ye ho kay mujhe log namaz padhta dekhe issi tarah se dusre amal roza hajj zakat wagairah banda amal ALLAH Taala Kay liye nahi balki Makhlook ko dikhane kay liye kare isko kahte hai SHIRK E KHAFI jiska Huzoor Nabi E Karim Ko Ummat pe sabse zyada khatra tha is se banda kaafir naa hoga lekin wo sakht gunahgaar jarur hoga.
Iski Dalil me ek hadees e paak padhe  

Hadees 05 :
Hazrat Abu Saeed Khudri رَضِیَ اللّٰهُ تَعَالیٰ عَنْهُ se rivayat hai Farmate hai
“Hum Log Dajjal k Muttalik Guftgu kar Rahe The Nabi E Karim Tashreef Laaye Aur Farmaya Kya Mai Tumhe Us Baare Me Na Batao Jo Jiska Mujhe Tum Par Dajjal Se Zyada Khatra Hai ?
Humne Kaha Haan Rasool Allah
Farmaya CHHUPA SHIRK (Hidden Shirk), Jab Banda Namaz K Liye Khada Ho aur Ye Khayal Kare K Log Usse Dekh Rahe Hai”
References :
(Sunan Ibn Majah, Pg : 698, kitab Uz Zuhd, Baab 21 : Hadees : 4204)
(Mishkal Al Masabih, Kitabur Riqak, Pg : 1466, Hadees : 5333)
Scan Page & Front Cover Sunan Ibn Majah



Is Se Maloom Huwa Kay Dikhawe ka amal Usko Shirk E Khafi Kaha gaya hai.
Shahwat e khafiya aur Shirk E Khafi Pe ek aur hadees e paak mulahiza karen.
Hadees 06 :
Hazrat Ubada bin Nusayi رَضِیَ اللّٰهُ تَعَالیٰ عَنْهُ Farmate Hai Mai Hazrat Sayyidna Shaddad bin Aws رَضِیَ اللّٰهُ تَعَالیٰ عَنْهُ Ki Khidmat Me Hazir Huwa To Unhe Rota Paa Kar Sabab E Girya Daryaft Kiya To Unhone Farmaya Mujhe Us Hadees Ne Rula Diya Jo Maine Huzoor Rehmat E Aalameen Se Suni Thi Ki Aap Ne Irshad Farmaya Mujhe Apni Ummat Par Shirk Aur Khufya Shahwat Ka Khauf hai.
Khufya Shahwat Ye Hai Ki Aadmi Subah Roze Ki Halaat Me Karega Lekin Jab Nafs Ko Marghoob Chiz Uske Saamne Aaygi To WO Us Me Pad Jayga Aur Roza Chod Dega.
Aur Shirk (khafi) Ye Hai Ki Log Ne Patthar Ko Pujenge Na Butho Ko Lekin Dikhlawe Kay Liye Amal Karenge.
References :
(Imam Abu Nuaym Ahmad Isfahani Hilyatul Awliya Wa Tabqatul Asfiya Vol : 01, Pg : 477, Hadees : 900)
(Imam Tabarani Al Mujam Ul Kabeer Vol : 07, Pg : 341-42, Hadees : 7145)
Scan Page Tabarani Al Mujam Ul Kabeer


















Hadees 07 :
وَعَنْ مَحْمُودِ بْنِ لَبِيدٍ ‏- رضى الله عنه ‏- قَالَ: قَالَ رَسُولُ اَللَّهِ ‏- صلى الله عليه وسلم ‏-{ إِنَّ أَخْوَفَ مَا أَخَافُ عَلَيْكُمْ اَلشِّرْكُ اَلْأَصْغَرُ: اَلرِّيَاءُ
أَخْرَجَهُ أَحْمَدُ بِسَنَدٍ حَسَنٍ
Hazrat Mahmud Bin Labid Se Rivayat Hai Rasulullah Ne Farmaya Jis Cheez Ka Mujhe Tum par sabse zyada Khauf hai Wo hai SHIRK E ASGAR jo dikhawe ka amal hai.
References :
(Imam Ibn Hajar Asqalani Bulug Al Maram Pg : 544, Hadees : 1484)
(Imam Bayhaqi Shoebul Imaan Vol : 09, Pg : 154, Hadees : 6412)
Scan Page & Front Cover Balagh Ul Maram Ibn Hajar Asqalani


Aage Ibn Hajar Farmate Hai isko rivayat kiya Imam Ahmad Ne Hasan Sanad Se.
Imam Bayhaqi ne bhi Is rivayat ko Hasan kaha.

Upar humne 07 hadees e paak se wajahat ki hai aur bhi hai par jo haq parast hai unke liye itna kaafi hai aur jo sirf takfeeri hai unke liye hazaro dalail bhi kam hai.
01) Is Ummat E Muslimah Me kabhi bhi Izmai Taur Pe SHIRK E AKBAR nahi aayega jaisa kay Rasoolullah Ne farmaya hai SHIRK Ka khatra nahi hai.
02) Dusri rivayato me jisko SHIRK kaha gaya wo khud hadees me mauzood hai SHIRK E ASGAR hai jisko Dikhawe ka amal kaha jaata hai RIYAKARI wo is ummat ka asal marz hai aur har maktaba e fiqr iski jadh hai dikhawe ka amal ummat e muslimah me ab bahot zyada hai.
ALLAH Taala Hum Sabko RIYAKARI SE MEHFOOZ RAKHE
Ab kuch aise bhi hai jo phir bhi baat baat pe shirk shirk ka fatwa dete hai ek hadees unke liye bhi pesh e khidmat hai mulahiza kare.
Jo Shirk Ka Fatwa Dega Wo Khud Hi Mushrik Hoga
Hadees 08 :
أن حذيفة يعني ابن اليمان رضي الله عنه حدثه قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلّم  إن مما أتخوف عليكم رجل قرأ القرآن حتى إذا رؤيت بهجته عليه وكان رداؤه الإسلام اعتراه إلى ما شاء الله انسلخ منه ونبذه وراء ظهره وسعى على جاره بالسيف ورماه بالشرك» قال قلت يانبي الله أيهما أولى بالشرك المرمي أو الرامي ؟ قال «بل الرامي»
إسناد جيد
Hazrat Huzaifa ibn Al Yaman Radi Allahu Anhu Se Rivayat Hai Huzoor Nabi E Karim Ne Farmaya Mujhe us shakhs ka Khauf hai jo Quran  padhega aur us par Quran ki Raunaq Dekhi Jaegi aur Usne Islam ki chadar odh li hogi Phir ALLAH jidhar chahega Usko le Jayga ,woh Islam ki chadar se nikal jaega Aur Apne (Musalman) padosi par Talwar chalaega or us par SHIRK KI TOHMAT LAGAEGA"
"Sahabi ne pucha dono mein se Mushrik kaun hoga"? Farmaya;"SHIRK KI TOHMAT LAGANE WALA" References : (Imam Ibn Hibban Sahi Ibn Hibban Vol : 01, Pg :281/82, Hadees : 81) Albani Ne Isko Hasan Likha (Ibn Kathir Tafseer Ul Quran Vol : 02, Pg : 245, Surah Aaraf Ayat : 175)
Ibn Kathir Ne Kaha Iski Sanad Jay’yad Hai Imam Yaha Ibn Moin Aur Imam Ahmad Ibn Hambal Ne iski tahkeek ki aur Kaha Iske raavi tamam Siqah Hai.
(Imam Bukhari Fi Tarikh ul Kabir, Vol : 04, Pg : 301, Hadees :  2907)
(Wahabiyo Ka Muhadis E Azam Saudi Arabia Albani Ne Silsila Al Hadees Al Sahihah Vol : 07, pg : 605, Hadees : 3201)
(Imam Bazzar Al Musnad Vol : 01, Pg : 99, Hadees : 175)
(Imam Tahawi Mushkil Al Aath’ar Vol :02, Pg : 324, Hadees : 865)
(Kashful Irshad Vol : 01,  Pg  : 99, Hadees : 175)
(Musnad Al Shameen Vol : 02, Pg : 254, Hadees : 1291)
(Imam Tabrani Maj’ma Ul Kabeer  Vol : 20, Pg : 88,  Hadees : 169)
Imam Tabrani Ye Hadees ko Hazrat Maa’z bin Jabal Radi Allahu Anhu Se Nakl Kiya Hai.
Scan Page & Front Cover Sahih Ibn Hibban


Is tamam Rivayat Se ye saabit hai Kay Rasoolullah Ki Ummat Shirk E Akbar Me Mullawis nahi hogi aur jo kaum e wahabiya khwarij baat baat pe shirk ka fatwa dete hai dar asal ye khud hi Shirk kay haqdar hai.
Post By Shaikh Sher Ali Hanfi

Monday, 24 April 2017

Meraj Un Nabi ﷺ


Meraj Un Nabi ﷺ
Mozezat Seerat E Ambiya Alaihimusalam ka Bahot hi numaya aur Roshan Baab Hai, Inki Hakkaniat ka inkaar nahi kiya jaa sakta hai. Allah عزوجل Ne Har Nabi Alaihumsalam ko koi na koi Mozeza deke bheja. Pyare Nabi ﷺ k La Tadaad Mozeze me se ek bahot hi Munfarid Mumtaz Mozeza hai MERAJ.
Jiska Zikr Quran e Karim me Rab  عزوجل ne Surah Bani Israel /Isra  aur Surah Nazm Kiya Hai
“Paaki Hai Usse Jo Raato Raat Apne Bande Ko Le Gaya Masjid e Haraam (Khana E Kaaba) Se Masjid e Aksa (Baitul Mukaddas) Tak Jiske Ird Gird Humne Barkat Rakhi Ki Hum Usse Apni Azeem Nishaniya Dikhaye Beshak Wo Sunta Dekhta Hai”
(Surah Bani Israel Ayat 01)
Nabi e Karim ﷺ ne raat k kuch hisso me Haram Sharif se Masjid E Aqsa Baitul Muqaddas phr Saatho Aasman Arsh o Kursi se Sidratul Munteha se laa Maka phir Deedar e Allah عزوجل kiya aur wapas Jamin par jalwagar Huwe. Subhan Allah Rajjab ul Murazzab ka Mahina aate hi Aashikan e Mustafa k chehre khil jaate hai aur Ahle Sunnah Wa Jamaat ki Mazaliso me Nabi e Akram ﷺ k Meraj ka Tazkira safar e Meraj Falsafa e Meraj ka bayan hota hai Shan e Risalat pe khitabat hote hai Alhamdullilah
Par ab Musalmano me ek aisa badeen firqa na ahel kam akal logo ka aaya hai jo khud ko AHLE HADEES kehte hai jo Aqaid me Wahabi hai inke naam nihad QURAN HADEES waale muballig aisi mehfilo ka munakkid karna bhi biddat kehte hai Halanki TAZKIRA E MERAJ kisi Surat me Biddat nahi hai balki Meraj Ka Tazkira karna to khud Sunnat e Ilahiya Sunnat e Mustafa Sunnat e Sahaba hai aur unse hi buzurgan e din ne tazkira kiya aur Alhumdullilah aaj bhi ye amal jaari o saari hai.
Aur dusra is baat ko leke bhi kaafi shor o gul machaya jaata hai k MERAJ Jismani hui ya Roohani. Meraj Ki Raat me Nabi E Akram ﷺ ne Allah عزوجل  ka Deedar kiya ya nahi in tamam chiz ka jawab motebar dalilo se hum yaha saabit karenge. Yu to Meraj Un Nabi  ﷺ  pe likha jaaye to jildo me kitabe likhi jaaygi par yaha hum fakat article k taur pe kuch ahem baat likh rahe hai.

Meraj Un Nabi  ﷺ Par Kuch Jaruri Masail
Hizrat se 2 Saal Pehle Makkah e Muazama Me Nabi e Akram ﷺ Ko Meraj Hui. Meraj ka dusra Naam  “ASRA”  bhi hai jiske maane Raat ko Chalana ya Raat ko le Jaana Bhi Hota hai. Shah Abdul Haq Muhaddis Dahelvi Shara e Mishkat me likhte hai “Makkah E Mukkarama se Masjide Aksa tak ka Safar ‘ISRA’ hai jo Qurani aayat se saabit hai aur iska Munkir “KAAFIR” hai. Masjide Aksa se Sidratul Muntaha wa lamaka tak jaana hadees e paak se saabit hai iska MUNKIR GUMRAAH AUR BAD’DEEN HAI” Reference : (Ashi'atul-Lamat Vol : 04 Pg: 526 by Shykh Abdul Hak Muhaddis Dahelvi) “Hadees aur Seerat Ki kitab me Kasrat se Meraj un Nabi  ﷺ  ka zikr hai Allama Zurqani رَحْمَةُ اللهِ عَلَيْه  ne 45 Sahaba e Kiram Rizwanullahi Azmain k naam ginwaye jinhone hadees e Meraj ko rivayat kiya hai” Reference : (Al-Muwahib al-Ladunniyyah Shara e Zurqani Vol : 08, Pg : 27/28) Meraj Ki Tariqh ko leke kuch ektelafat hai par ispe sabka ittefak hai k Meraj Hizrat se Pehle ka waqya hai jo Makkah e Muazama me Pesh Aaya. “Ibn Katibi Dinnuri رَحْمَةُ اللهِ عَلَيْه  (Al Mutawafa 267 Hizri) Aur ibn Abdul Barr Al Maliki  رَحْمَةُ اللهِ عَلَيْه  (Al Mutawafa 463 Hizri), Imam Rafayi aur Imam Nawawi As Shafai ne tehreer farmaya k wakya e meraj Rajjab al Murazzab k mahine me pesh aaya aur Muhaddis Abdul Gani رَحْمَةُ اللهِ عَلَيْه  ne 27 Rajjab Bayan ki hai aur Allama Zurqani ne tehreer farmaya hai k muharikeen ka isi par amal raha hai aur yehi sabse kavi rivayat hai”
References :
(Zurqani Vol : 01, Pg : 355/358)
( Al-Muwahib al-Ladunniyyah Shara e Zurqani Vol : 02, Baab : Waktal Asra,Pg : 80/81)
Sayyadul Fukaha Hazrat Mulla Ali Jeewan رَحْمَةُ اللهِ عَلَيْه  (Ustad e Huzur Badshaah Aurangzeb Alamgir Alaihi Rehma) apni kitab Tafsire Ahmadiya me likhte hai "i) Makkah E Mukkarama se Masjide Aksa tak Jaana Meraj E Katai hai jo Quran Se Saabit Hai. (ii) Masjide Aksa se Aasmane Dunya tak jaana Mashoor hadis e paak se saabit Hai (iii) Aasmano se upar tak jaana Aahadh Se saabit hai. To pehle ko naa maan ne waala Kaafir hai, Dusre ko na maan ne waala Bad’deen hai, teesre ko na maan ne waala Fasik hai.” References : (Tafseer Ul Quran fi Tafseer e Ahmadiya, Pg : 328) Meraj Kitni Baar Aur Kaise Huwi Shykh Abdul Hak Muhaddis Dahelvi رَحْمَةُ اللهِ عَلَيْه  Shara E Mishkat Ashi'atul-Lamat Huzoor ko jaagte ki Halat me Meraj Ek Baar aur Sapne Me Kayi Baar Meraj Huwi Thi. Reference : (Ashi'atul-Lamat, Vol : 04, Pg : 527) Zamhoor (majority) Ulema e Millat ka sahi mazhab ye hai k BA HALAAT E BEDARI JISM WA ROOH K SAATH MERAJ EK BAAR HUI. Jamhoor Sahaba, Fukaha, Sufiya e Kiram Radi Allahu Anho Azmain ka yehi mazhab hai. Allama Hazrat Mullah Ahmad Jivan رَحْمَةُ اللهِ عَلَيْه (Ustad e Badshah Aurangzeb Aalamgir Alaihi Rehma) ne tehreer farmaya
“Aur Sabse Zyada Sahi Kaul ye Hai Meraj Halaat e Bedari Jism wa Rooh K Saath Hui Yehi Ahle Sunnat Wa Jamaat Hai Mazhab Hai
Me Hui. Lihaja Jo shaks kahe Meraj Fakat Khwab me hui ya Roohani hui wo Biddati, Gumraah, Gumraah Kun Wa Fasiq hai”
References :
(Tafseer Ul Quran fi Tafseer e Ahmad, Surah Bani Israel Ayat 01 pg : 505 )
Safar e Meraj Un Nabi ﷺ
Bis’aat k 11 ve saal hizrat se 2 saal pehle 27 Rajjabul Murajjab Peer Sharif k din Nabi e Karim ﷺ Namaz e Isha Ada karne k baad Apni Chacha Jaad behan Umme Hani Radi Allahu Anha k ghar aaram farma rahe the k Daulat Khana e Aqdas ki Chhat khuli aur Hazrat Jibril Alaihi Salam ne Huzoor e Akram ﷺ ko Umme Haani Radi Allaho Anha k ghar se Masjid e Haram me laake Hatim e Kaaba Me Leta Diya”
References :
(Miratul Manajih Shara E Mishkatul Masabih, Meraj Ka bayan, Pehli Fasl Baab 08 Pg : 135)
(Siratun Nabi Lil Ibn Hissham  Vol : 02, Zikre Asra Wal Meraj, Pg : 38)
(Futuhool Baari Shara e Sahi Bukhari, Kitabul Manakib, Baab Meraj Un Nabi ﷺ, Vol : 07, Pg : 256, Hadees : 3887)
Safar e Meraj k Har Stages ko yaha article me likhna kaafi mushkil hai warna ye bahot pages me chala jayga isliye yaha ab hum sirf wo baato ko likh k jawab bhi denge jin baato pe kuch kam akal aitraaz karte hai. 

Hazrat Moosa عليه السلام Ka Apni Kabr E Mubarak Pe Namaz Padhna
Hadees :
Hazrat Anas Bin Malik رَضِیَ اللهُ عَنْهُ Se rivayat hai k Nabi e Karim ﷺ ne Farmaya Jab Safar e Meraj Me Gujar Hazrat e Moosa عليه السلام Ki Kabr e Mubarak K Pass Se Jo Raith K Surkh Teele K Paas Wakay Hai Huwa To Wo Apni Kabr Me Khade Namaz Padh Rahe The”
References :
(Sahi Muslim, Kitab No 43 Kitabul Fazail, Baab : Fazail E Moosa عليه السلام, Pg : 966, Hadees : 2375)
(Sunan Nasai,  Vol : 2, pg : 237, Kitab No 20, Kiyam Al Lail, Baab : Zikr Salat NABI ALLAH MOSA عليه السلام Hadis: 1630/1636)
Gair Mukallid k Idara Darusalam ne bhi Is hadees ko Sahi Likha Hai.  
(Imam Nasai, Sunan Al Kubra, Vol : 02, Kitabus Salat, Baab : Zikr Salat NABI ALLAH MOSA Bil-Laiyl , Hadis: 1330)
(Imam Ahmad Bin Hanbal ne : Al-Musnad,  Vol : 03, Pg-148, Hadith-12526, 13618)
Subhan Allah is se ye bhi saabit hua k Ambiya عليه السلام Na Sirf Kabr me Zinda Hai balki Namaz bhi ada karte hai aur Namaz to Zinda hi padhte hai ya murda padhte hai ?
Pata Chala Namaz padhna to Jism e Haqiki k saath hai.

Tamam Ambiya Alaihimusalam Ki Imamat Baitul Mukaddas Me
“Nabi e Karim ki aamad Baitul Mukkadas me Hui Jaha Tamam Ambiya Alaihi Salam ko pehle se hi Jama kiya gaya tha Huzoor e Akram ﷺ Ko dekh Sabne khushaamdeed Kaha aur Namaz k wakt sabne Aap Huzoor  ﷺ ko Imamat k Liye aage hone ko Kaha aur Phir Jibrail E Ameen عليه السلام ne Aaka ﷺ ka Dasta Mubarak Pakad kar aage Badha Diya aur Aap ﷺ ne Tamam Ambiya Alaihi Salam ki Imamat Farmayi”
Reference :
(Sunan Nasai, Kitab No 05 Kitabus Salah, Baab : Faraiz E Salat Vol : 01, Pg : 81, Hadees : 448)  
(Imam Tabrani Al Majmaul Ausaat, Vol : 3, Pg : 160, Hadees : 3879)
Imam Busairi رَحْمَةُ اللهِ عَلَيْه  farmate Hai
Baitul Muqaddas Me Tamam Ambiya Wa Rasool Ne Aapko Aage Kiya
Jaise Makdoom Apne Khadimo K Aage Hote Hai Aala Hazrat Imam  Ahmad Raza Khan  رَحْمَةُ اللهِ عَلَيْه  iski Tashreeh karte hai
NAMAZ E AKSA ME YE THA YEHI SIRR, I’YAA HO MANIYE AWAAL AAKHIR
KI DAST BASTA HAI PICHE HAAZIR, JO SALTANAT AAGE KAR GAYE THE.. 
Aasmano Me Deegar Ambiya Alaihumsalam Se Mulakat
Baitul Mukaddas me tamam  Mamlaat se faarig hoke Nabi E Karim ne Aasmano k Taraf Safar Shuru Kiya jaha Mukhtalif Aasmano me Deegar Ambiya Alaihiumusalam se Mulakat bhi Ki jiska zikr hum yaha kar rahe hai.
Pehle Aasman me Hazrat Adam
عليه السلام Se Mulakat Ki.
Dusre Aasman me Hazrat Yahya 
عليه السلام Aur Isaa عليه السلام Se Mulakat Ki.
Teesre Aasman Me Hazrat Yusuf عليه السلام Se Mulakat Ki  
Forth Aasman me Hazrat Idrees
عليه السلام Se Mulakat Ki
Panchwe Aasman me Hazrat Haroon
عليه السلام Se Mulakat Ki
Chatte Aasman Hazrat Moosa Kalimullah
عليه السلام Se Mulakat Ki Satwe Aasman Me Hazrat Ibrahim Khalilullah عليه السلام Se Mulakat Ki.
References :
(Sahi Bukhari, Kitab No 63, Kitabul Manakib Al Ansaar, Baab Al Meraj, Hadees : 3887)
(Sunan Nasai, Kitab No 05 Kitabus Salah, Baab : Faraiz E Salat Vol : 01, Pg : 81, Hadees : 448) 
Sidratul Muntaha Ka Safar
Satwe Aasman pe Hazrat Khalilullah
عليه السلام se Mulakat k baad Safar aage rawa Huwa Huzoor Nabi e Karim  SIDRATUL MUNTAHA k pass tashreef laaye. Ye ek BAIRI ka PED (tree) Hai jiski Jadd (root) Sixth Aasman Par aur Shakein (Branches) Satwe Aasman k  upar hai iske FAL (Fruits) Makam e Hazr k Matko Ki Tarah Hai Patthe Hathi K Kaano Ki Tarah Hai.
Hazrat Zibril عليه السلام ne Arz Kiya YE SIDRATUL MUNTAHA HAI Pyare Aaka ne Yaha 4 Nahren Mulahiza Farmayi jo SIDRATUL MUNTAHA ki Jadd (Root) Se Nikli Thi Inme se 02 Jaahir Aur 02 Khufiya Thi.
Aap Nabi E Karim Ne Arz Kiya Aye Zibril
عليه السلام ye Nehre’n Kaisi Hai. Farmaya k inme se jo 02 Khufiya Nehre Hai Wo Jannat Ki Hai aur Jo Do Jahir Hai wo Jahiri Nahrein NEEL aur Furat Hai.
Reference :
(Sahi Bukhari, Kitab No 63, Kitabul Manakib Al Ansaar, Baab Al Meraj, Hadees : 3887)
(Sahi Muslim, Vol 01, Kitabul Imaan, Baab : Al Isra, Hadees : 164)

Imam Mullah Ali Qari Al Hanfi رَحْمَةُ اللهِ عَلَيْه  Ne yaha Jannati NEHRO k muttalik likha Hai
“Ye Jannati Nahren Kausar Aur Salsbeel Hai ya Kausar aur Nahre Rehmat Hai
(Miratul Manajih Shara E Mishkatul Masabih, Meraj Ka Bayan, Fasle Awwal, 8/144)
Sidratul Muntaha ye Wo Makam Tha Jiske Aage Hazrat Roohul Ameen Zibreel e Ameen Jo Tamam Malaika Farishto k Sardar Hai wo  bhi Nahi jaate chunache Meraj Un Nabi ﷺ  ki Mubarak Raat me Sidratul Muntaha k aaage Jaane Se ROOHUL AMIN ZIBRIL Alaihi Salam bhi jaane se Mazrat Khwah hue
Allama Ismail Haqqi Apni Tafseer ul Quran me likhte Hai
“Meraj Un Nabi ki Raat Hazrat Zibril E Ameen Sidratul Muntaha Me Ruk Gaye Aur Farmaya Aye ALLAH K NABI  Ab Iske Aage Mai Ek Ungli k barabar Bhi Aage badhunga to Allah k Noor Se Mai Jal Jaunga”
(Tafseer Roohul Bayan Vol : 05, Pg : 121)
Aap Andaza Lagaye Tazzaliat e Rabbani K Noor Ko Khud Sardar e Malaika Roohul Ameen jo Khud Noor se Bane Hai wo bhi Bardast Nahi Kar Paane ki Baat Kahe
Allah ne Quran e Mukaddas me Farmaya
“Beshak Aapki Aane Wali Ghadi Aapki Pichli Ghadi Se Behtar Hai”
(Surah Duha Ayat 04)

Sidratul Muntaha k Baad baad  Nabi e Karim  aage bade ROOHUL AMIN ZIBRIL  bhi jaane se Mazrat Khwah hue phir Aap bulandi ki taraf jaate huwe ek Makam par pahuche jisko MAKAM E MUSTAWA kaha Jaata hai jaha Huzoor Nabi e Karim  Ne KALMO KI awaaj Samat farmayi ye wo kalimat the jinse FARISHTE rozana k Ahkam E ILAHIYA likhte Hai aur Lohe Mehfooz se Ek saal ka wakya alag Alag alag SAHIFO Me nakl karte Hai aur ye Sahife Phir 15 wa Shaban Ki Shab ko Mutallika Hukkam Farishto K Hawale Kar Diye Jaate Hai.
( Al-Muwahib al-Ladunniyyah Shara e Zurqani Vol : 02, Pg : 381)
Safar E Meraj Ki Sawariyaa’n
Imam Alai رَحْمَةُ اللهِ عَلَيْه  Ne apni Tafseer me tehreer Farmaya ki Meraj Me Huzoor ﷺ  Ne 5 Kism Ki Sawariyo’n Par Safar Farmaya Baitul Muqaddas Se Aasman e Awwal Tak Noor Ki Sidiyon Par, Aasman e Awwal se Satwe Aasman Tak Farishto k Baaju’nwo Par, Saatwe Aasman se Sidratul Muntaha Tak Zibril عليه السلام  k Baaju’nwo Par, Sidratul Muntaha se Makam e Kaaba Kausen Tak RAFRAF par.
(Tafseer e Roohul Muaani, Para 15 Surah Isra Ayat 01, Vol : 10, Pg : 16)


Safar E Meraj Ki Manzile
Baitul Muqaddas Se Kaaba Kausen Tak Pahuchne Me Aap ﷺ  ne 10 Manzilo Pe Kayam Farmaya aur Har Manzilo Pe Kuch Guftgu Huwi aur Bahot si Allah ki Nishaniyo ko Mulahiza Farmaya
1)Aasman e Awwal (2) Dursa Aasman (3) Teesra Aasman (4) Forth (Chautha) Aasman (5) Paanhwa Aasman (6) Chatta (sixth) Aasman (7) Saatwa Aasman (8) Sidratul Muntaha (9) Makam E Mustawa Jahaan Nabi e Karim ﷺ  Ne Kalme Qudrat k Chalne Ki Aawaz Suni (10) Arshe Aazam
(Tafseer e Roohul Muaani, Para 15 Surah Isra Ayat 01, Vol : 10, Pg : 16)

Next Post Insha Allah Taa'la we Will Cover on Following Topics
1) KYA ALLAH KO DEKHNA MUMKIN HAI ?
2) KYA MERAJ ME NABI NE ALLAH KA DEEDAR KIYA HAI ?  
3) DEEDAR K TALLUK SE AIMMA MUHADISEEN FUKAHA KA KYA AKEEDA THA ? Click Here For Next Post 02 Post 03 4) MERAJ UN NABI JISMANI HONE KA SABOOT
5) MERAJ AUR SCIENCE Keep Stay Touch With Us Dua Ki Gujarish Sher Ali Hanfi