Monday, 24 April 2017

Meraj Un Nabi ﷺ


Meraj Un Nabi ﷺ
Mozezat Seerat E Ambiya Alaihimusalam ka Bahot hi numaya aur Roshan Baab Hai, Inki Hakkaniat ka inkaar nahi kiya jaa sakta hai. Allah عزوجل Ne Har Nabi Alaihumsalam ko koi na koi Mozeza deke bheja. Pyare Nabi ﷺ k La Tadaad Mozeze me se ek bahot hi Munfarid Mumtaz Mozeza hai MERAJ.
Jiska Zikr Quran e Karim me Rab  عزوجل ne Surah Bani Israel /Isra  aur Surah Nazm Kiya Hai
“Paaki Hai Usse Jo Raato Raat Apne Bande Ko Le Gaya Masjid e Haraam (Khana E Kaaba) Se Masjid e Aksa (Baitul Mukaddas) Tak Jiske Ird Gird Humne Barkat Rakhi Ki Hum Usse Apni Azeem Nishaniya Dikhaye Beshak Wo Sunta Dekhta Hai”
(Surah Bani Israel Ayat 01)
Nabi e Karim ﷺ ne raat k kuch hisso me Haram Sharif se Masjid E Aqsa Baitul Muqaddas phr Saatho Aasman Arsh o Kursi se Sidratul Munteha se laa Maka phir Deedar e Allah عزوجل kiya aur wapas Jamin par jalwagar Huwe. Subhan Allah Rajjab ul Murazzab ka Mahina aate hi Aashikan e Mustafa k chehre khil jaate hai aur Ahle Sunnah Wa Jamaat ki Mazaliso me Nabi e Akram ﷺ k Meraj ka Tazkira safar e Meraj Falsafa e Meraj ka bayan hota hai Shan e Risalat pe khitabat hote hai Alhamdullilah
Par ab Musalmano me ek aisa badeen firqa na ahel kam akal logo ka aaya hai jo khud ko AHLE HADEES kehte hai jo Aqaid me Wahabi hai inke naam nihad QURAN HADEES waale muballig aisi mehfilo ka munakkid karna bhi biddat kehte hai Halanki TAZKIRA E MERAJ kisi Surat me Biddat nahi hai balki Meraj Ka Tazkira karna to khud Sunnat e Ilahiya Sunnat e Mustafa Sunnat e Sahaba hai aur unse hi buzurgan e din ne tazkira kiya aur Alhumdullilah aaj bhi ye amal jaari o saari hai.
Aur dusra is baat ko leke bhi kaafi shor o gul machaya jaata hai k MERAJ Jismani hui ya Roohani. Meraj Ki Raat me Nabi E Akram ﷺ ne Allah عزوجل  ka Deedar kiya ya nahi in tamam chiz ka jawab motebar dalilo se hum yaha saabit karenge. Yu to Meraj Un Nabi  ﷺ  pe likha jaaye to jildo me kitabe likhi jaaygi par yaha hum fakat article k taur pe kuch ahem baat likh rahe hai.

Meraj Un Nabi  ﷺ Par Kuch Jaruri Masail
Hizrat se 2 Saal Pehle Makkah e Muazama Me Nabi e Akram ﷺ Ko Meraj Hui. Meraj ka dusra Naam  “ASRA”  bhi hai jiske maane Raat ko Chalana ya Raat ko le Jaana Bhi Hota hai. Shah Abdul Haq Muhaddis Dahelvi Shara e Mishkat me likhte hai “Makkah E Mukkarama se Masjide Aksa tak ka Safar ‘ISRA’ hai jo Qurani aayat se saabit hai aur iska Munkir “KAAFIR” hai. Masjide Aksa se Sidratul Muntaha wa lamaka tak jaana hadees e paak se saabit hai iska MUNKIR GUMRAAH AUR BAD’DEEN HAI” Reference : (Ashi'atul-Lamat Vol : 04 Pg: 526 by Shykh Abdul Hak Muhaddis Dahelvi) “Hadees aur Seerat Ki kitab me Kasrat se Meraj un Nabi  ﷺ  ka zikr hai Allama Zurqani رَحْمَةُ اللهِ عَلَيْه  ne 45 Sahaba e Kiram Rizwanullahi Azmain k naam ginwaye jinhone hadees e Meraj ko rivayat kiya hai” Reference : (Al-Muwahib al-Ladunniyyah Shara e Zurqani Vol : 08, Pg : 27/28) Meraj Ki Tariqh ko leke kuch ektelafat hai par ispe sabka ittefak hai k Meraj Hizrat se Pehle ka waqya hai jo Makkah e Muazama me Pesh Aaya. “Ibn Katibi Dinnuri رَحْمَةُ اللهِ عَلَيْه  (Al Mutawafa 267 Hizri) Aur ibn Abdul Barr Al Maliki  رَحْمَةُ اللهِ عَلَيْه  (Al Mutawafa 463 Hizri), Imam Rafayi aur Imam Nawawi As Shafai ne tehreer farmaya k wakya e meraj Rajjab al Murazzab k mahine me pesh aaya aur Muhaddis Abdul Gani رَحْمَةُ اللهِ عَلَيْه  ne 27 Rajjab Bayan ki hai aur Allama Zurqani ne tehreer farmaya hai k muharikeen ka isi par amal raha hai aur yehi sabse kavi rivayat hai”
References :
(Zurqani Vol : 01, Pg : 355/358)
( Al-Muwahib al-Ladunniyyah Shara e Zurqani Vol : 02, Baab : Waktal Asra,Pg : 80/81)
Sayyadul Fukaha Hazrat Mulla Ali Jeewan رَحْمَةُ اللهِ عَلَيْه  (Ustad e Huzur Badshaah Aurangzeb Alamgir Alaihi Rehma) apni kitab Tafsire Ahmadiya me likhte hai "i) Makkah E Mukkarama se Masjide Aksa tak Jaana Meraj E Katai hai jo Quran Se Saabit Hai. (ii) Masjide Aksa se Aasmane Dunya tak jaana Mashoor hadis e paak se saabit Hai (iii) Aasmano se upar tak jaana Aahadh Se saabit hai. To pehle ko naa maan ne waala Kaafir hai, Dusre ko na maan ne waala Bad’deen hai, teesre ko na maan ne waala Fasik hai.” References : (Tafseer Ul Quran fi Tafseer e Ahmadiya, Pg : 328) Meraj Kitni Baar Aur Kaise Huwi Shykh Abdul Hak Muhaddis Dahelvi رَحْمَةُ اللهِ عَلَيْه  Shara E Mishkat Ashi'atul-Lamat Huzoor ko jaagte ki Halat me Meraj Ek Baar aur Sapne Me Kayi Baar Meraj Huwi Thi. Reference : (Ashi'atul-Lamat, Vol : 04, Pg : 527) Zamhoor (majority) Ulema e Millat ka sahi mazhab ye hai k BA HALAAT E BEDARI JISM WA ROOH K SAATH MERAJ EK BAAR HUI. Jamhoor Sahaba, Fukaha, Sufiya e Kiram Radi Allahu Anho Azmain ka yehi mazhab hai. Allama Hazrat Mullah Ahmad Jivan رَحْمَةُ اللهِ عَلَيْه (Ustad e Badshah Aurangzeb Aalamgir Alaihi Rehma) ne tehreer farmaya
“Aur Sabse Zyada Sahi Kaul ye Hai Meraj Halaat e Bedari Jism wa Rooh K Saath Hui Yehi Ahle Sunnat Wa Jamaat Hai Mazhab Hai
Me Hui. Lihaja Jo shaks kahe Meraj Fakat Khwab me hui ya Roohani hui wo Biddati, Gumraah, Gumraah Kun Wa Fasiq hai”
References :
(Tafseer Ul Quran fi Tafseer e Ahmad, Surah Bani Israel Ayat 01 pg : 505 )
Safar e Meraj Un Nabi ﷺ
Bis’aat k 11 ve saal hizrat se 2 saal pehle 27 Rajjabul Murajjab Peer Sharif k din Nabi e Karim ﷺ Namaz e Isha Ada karne k baad Apni Chacha Jaad behan Umme Hani Radi Allahu Anha k ghar aaram farma rahe the k Daulat Khana e Aqdas ki Chhat khuli aur Hazrat Jibril Alaihi Salam ne Huzoor e Akram ﷺ ko Umme Haani Radi Allaho Anha k ghar se Masjid e Haram me laake Hatim e Kaaba Me Leta Diya”
References :
(Miratul Manajih Shara E Mishkatul Masabih, Meraj Ka bayan, Pehli Fasl Baab 08 Pg : 135)
(Siratun Nabi Lil Ibn Hissham  Vol : 02, Zikre Asra Wal Meraj, Pg : 38)
(Futuhool Baari Shara e Sahi Bukhari, Kitabul Manakib, Baab Meraj Un Nabi ﷺ, Vol : 07, Pg : 256, Hadees : 3887)
Safar e Meraj k Har Stages ko yaha article me likhna kaafi mushkil hai warna ye bahot pages me chala jayga isliye yaha ab hum sirf wo baato ko likh k jawab bhi denge jin baato pe kuch kam akal aitraaz karte hai. 

Hazrat Moosa عليه السلام Ka Apni Kabr E Mubarak Pe Namaz Padhna
Hadees :
Hazrat Anas Bin Malik رَضِیَ اللهُ عَنْهُ Se rivayat hai k Nabi e Karim ﷺ ne Farmaya Jab Safar e Meraj Me Gujar Hazrat e Moosa عليه السلام Ki Kabr e Mubarak K Pass Se Jo Raith K Surkh Teele K Paas Wakay Hai Huwa To Wo Apni Kabr Me Khade Namaz Padh Rahe The”
References :
(Sahi Muslim, Kitab No 43 Kitabul Fazail, Baab : Fazail E Moosa عليه السلام, Pg : 966, Hadees : 2375)
(Sunan Nasai,  Vol : 2, pg : 237, Kitab No 20, Kiyam Al Lail, Baab : Zikr Salat NABI ALLAH MOSA عليه السلام Hadis: 1630/1636)
Gair Mukallid k Idara Darusalam ne bhi Is hadees ko Sahi Likha Hai.  
(Imam Nasai, Sunan Al Kubra, Vol : 02, Kitabus Salat, Baab : Zikr Salat NABI ALLAH MOSA Bil-Laiyl , Hadis: 1330)
(Imam Ahmad Bin Hanbal ne : Al-Musnad,  Vol : 03, Pg-148, Hadith-12526, 13618)
Subhan Allah is se ye bhi saabit hua k Ambiya عليه السلام Na Sirf Kabr me Zinda Hai balki Namaz bhi ada karte hai aur Namaz to Zinda hi padhte hai ya murda padhte hai ?
Pata Chala Namaz padhna to Jism e Haqiki k saath hai.

Tamam Ambiya Alaihimusalam Ki Imamat Baitul Mukaddas Me
“Nabi e Karim ki aamad Baitul Mukkadas me Hui Jaha Tamam Ambiya Alaihi Salam ko pehle se hi Jama kiya gaya tha Huzoor e Akram ﷺ Ko dekh Sabne khushaamdeed Kaha aur Namaz k wakt sabne Aap Huzoor  ﷺ ko Imamat k Liye aage hone ko Kaha aur Phir Jibrail E Ameen عليه السلام ne Aaka ﷺ ka Dasta Mubarak Pakad kar aage Badha Diya aur Aap ﷺ ne Tamam Ambiya Alaihi Salam ki Imamat Farmayi”
Reference :
(Sunan Nasai, Kitab No 05 Kitabus Salah, Baab : Faraiz E Salat Vol : 01, Pg : 81, Hadees : 448)  
(Imam Tabrani Al Majmaul Ausaat, Vol : 3, Pg : 160, Hadees : 3879)
Imam Busairi رَحْمَةُ اللهِ عَلَيْه  farmate Hai
Baitul Muqaddas Me Tamam Ambiya Wa Rasool Ne Aapko Aage Kiya
Jaise Makdoom Apne Khadimo K Aage Hote Hai Aala Hazrat Imam  Ahmad Raza Khan  رَحْمَةُ اللهِ عَلَيْه  iski Tashreeh karte hai
NAMAZ E AKSA ME YE THA YEHI SIRR, I’YAA HO MANIYE AWAAL AAKHIR
KI DAST BASTA HAI PICHE HAAZIR, JO SALTANAT AAGE KAR GAYE THE.. 
Aasmano Me Deegar Ambiya Alaihumsalam Se Mulakat
Baitul Mukaddas me tamam  Mamlaat se faarig hoke Nabi E Karim ne Aasmano k Taraf Safar Shuru Kiya jaha Mukhtalif Aasmano me Deegar Ambiya Alaihiumusalam se Mulakat bhi Ki jiska zikr hum yaha kar rahe hai.
Pehle Aasman me Hazrat Adam
عليه السلام Se Mulakat Ki.
Dusre Aasman me Hazrat Yahya 
عليه السلام Aur Isaa عليه السلام Se Mulakat Ki.
Teesre Aasman Me Hazrat Yusuf عليه السلام Se Mulakat Ki  
Forth Aasman me Hazrat Idrees
عليه السلام Se Mulakat Ki
Panchwe Aasman me Hazrat Haroon
عليه السلام Se Mulakat Ki
Chatte Aasman Hazrat Moosa Kalimullah
عليه السلام Se Mulakat Ki Satwe Aasman Me Hazrat Ibrahim Khalilullah عليه السلام Se Mulakat Ki.
References :
(Sahi Bukhari, Kitab No 63, Kitabul Manakib Al Ansaar, Baab Al Meraj, Hadees : 3887)
(Sunan Nasai, Kitab No 05 Kitabus Salah, Baab : Faraiz E Salat Vol : 01, Pg : 81, Hadees : 448) 
Sidratul Muntaha Ka Safar
Satwe Aasman pe Hazrat Khalilullah
عليه السلام se Mulakat k baad Safar aage rawa Huwa Huzoor Nabi e Karim  SIDRATUL MUNTAHA k pass tashreef laaye. Ye ek BAIRI ka PED (tree) Hai jiski Jadd (root) Sixth Aasman Par aur Shakein (Branches) Satwe Aasman k  upar hai iske FAL (Fruits) Makam e Hazr k Matko Ki Tarah Hai Patthe Hathi K Kaano Ki Tarah Hai.
Hazrat Zibril عليه السلام ne Arz Kiya YE SIDRATUL MUNTAHA HAI Pyare Aaka ne Yaha 4 Nahren Mulahiza Farmayi jo SIDRATUL MUNTAHA ki Jadd (Root) Se Nikli Thi Inme se 02 Jaahir Aur 02 Khufiya Thi.
Aap Nabi E Karim Ne Arz Kiya Aye Zibril
عليه السلام ye Nehre’n Kaisi Hai. Farmaya k inme se jo 02 Khufiya Nehre Hai Wo Jannat Ki Hai aur Jo Do Jahir Hai wo Jahiri Nahrein NEEL aur Furat Hai.
Reference :
(Sahi Bukhari, Kitab No 63, Kitabul Manakib Al Ansaar, Baab Al Meraj, Hadees : 3887)
(Sahi Muslim, Vol 01, Kitabul Imaan, Baab : Al Isra, Hadees : 164)

Imam Mullah Ali Qari Al Hanfi رَحْمَةُ اللهِ عَلَيْه  Ne yaha Jannati NEHRO k muttalik likha Hai
“Ye Jannati Nahren Kausar Aur Salsbeel Hai ya Kausar aur Nahre Rehmat Hai
(Miratul Manajih Shara E Mishkatul Masabih, Meraj Ka Bayan, Fasle Awwal, 8/144)
Sidratul Muntaha ye Wo Makam Tha Jiske Aage Hazrat Roohul Ameen Zibreel e Ameen Jo Tamam Malaika Farishto k Sardar Hai wo  bhi Nahi jaate chunache Meraj Un Nabi ﷺ  ki Mubarak Raat me Sidratul Muntaha k aaage Jaane Se ROOHUL AMIN ZIBRIL Alaihi Salam bhi jaane se Mazrat Khwah hue
Allama Ismail Haqqi Apni Tafseer ul Quran me likhte Hai
“Meraj Un Nabi ki Raat Hazrat Zibril E Ameen Sidratul Muntaha Me Ruk Gaye Aur Farmaya Aye ALLAH K NABI  Ab Iske Aage Mai Ek Ungli k barabar Bhi Aage badhunga to Allah k Noor Se Mai Jal Jaunga”
(Tafseer Roohul Bayan Vol : 05, Pg : 121)
Aap Andaza Lagaye Tazzaliat e Rabbani K Noor Ko Khud Sardar e Malaika Roohul Ameen jo Khud Noor se Bane Hai wo bhi Bardast Nahi Kar Paane ki Baat Kahe
Allah ne Quran e Mukaddas me Farmaya
“Beshak Aapki Aane Wali Ghadi Aapki Pichli Ghadi Se Behtar Hai”
(Surah Duha Ayat 04)

Sidratul Muntaha k Baad baad  Nabi e Karim  aage bade ROOHUL AMIN ZIBRIL  bhi jaane se Mazrat Khwah hue phir Aap bulandi ki taraf jaate huwe ek Makam par pahuche jisko MAKAM E MUSTAWA kaha Jaata hai jaha Huzoor Nabi e Karim  Ne KALMO KI awaaj Samat farmayi ye wo kalimat the jinse FARISHTE rozana k Ahkam E ILAHIYA likhte Hai aur Lohe Mehfooz se Ek saal ka wakya alag Alag alag SAHIFO Me nakl karte Hai aur ye Sahife Phir 15 wa Shaban Ki Shab ko Mutallika Hukkam Farishto K Hawale Kar Diye Jaate Hai.
( Al-Muwahib al-Ladunniyyah Shara e Zurqani Vol : 02, Pg : 381)
Safar E Meraj Ki Sawariyaa’n
Imam Alai رَحْمَةُ اللهِ عَلَيْه  Ne apni Tafseer me tehreer Farmaya ki Meraj Me Huzoor ﷺ  Ne 5 Kism Ki Sawariyo’n Par Safar Farmaya Baitul Muqaddas Se Aasman e Awwal Tak Noor Ki Sidiyon Par, Aasman e Awwal se Satwe Aasman Tak Farishto k Baaju’nwo Par, Saatwe Aasman se Sidratul Muntaha Tak Zibril عليه السلام  k Baaju’nwo Par, Sidratul Muntaha se Makam e Kaaba Kausen Tak RAFRAF par.
(Tafseer e Roohul Muaani, Para 15 Surah Isra Ayat 01, Vol : 10, Pg : 16)


Safar E Meraj Ki Manzile
Baitul Muqaddas Se Kaaba Kausen Tak Pahuchne Me Aap ﷺ  ne 10 Manzilo Pe Kayam Farmaya aur Har Manzilo Pe Kuch Guftgu Huwi aur Bahot si Allah ki Nishaniyo ko Mulahiza Farmaya
1)Aasman e Awwal (2) Dursa Aasman (3) Teesra Aasman (4) Forth (Chautha) Aasman (5) Paanhwa Aasman (6) Chatta (sixth) Aasman (7) Saatwa Aasman (8) Sidratul Muntaha (9) Makam E Mustawa Jahaan Nabi e Karim ﷺ  Ne Kalme Qudrat k Chalne Ki Aawaz Suni (10) Arshe Aazam
(Tafseer e Roohul Muaani, Para 15 Surah Isra Ayat 01, Vol : 10, Pg : 16)

Next Post Insha Allah Taa'la we Will Cover on Following Topics
1) KYA ALLAH KO DEKHNA MUMKIN HAI ?
2) KYA MERAJ ME NABI NE ALLAH KA DEEDAR KIYA HAI ?  
3) DEEDAR K TALLUK SE AIMMA MUHADISEEN FUKAHA KA KYA AKEEDA THA ? Click Here For Next Post 02 Post 03 4) MERAJ UN NABI JISMANI HONE KA SABOOT
5) MERAJ AUR SCIENCE Keep Stay Touch With Us Dua Ki Gujarish Sher Ali Hanfi

No comments:

Post a Comment