GAIB ki Taareef aur is ki IQSAAM (TYPES):
Gaib woh chupi huwi cheez hai, jis ko INSAAN na to
Aankh,
Kaan,
Naak wagera, ya kisi
Hawaas
se
Mehsoos kar sake, aur na
Bila Daleel Aqal main
Aasake.
For E.g:
Khanon ki lazzaten (TASTE), aur in ki Khushbuwen hamare liye GAIB
nahin, q k Yeh Aankh se Chupay hone k Baawajood, dusre Hawaas (Naak, zabaan) se
Mehsoos ki ja sakti hain,
Ab Gaib kya hoga...
Jinnat,
Malaika (
Farishtey),
aur
Jannat aur
Dozakh Wagera hamare liye is
waqt
GAIB hain..
Q k Yeh na Hawaas se maalooom hosakte hain, aur na hi Bila Daleel E Aqal
se,..
Ab GAIB hote hain, 2 tarah k..
1)
Woh GAIB, jis par koi Daleel Qaim hosake, Yaani Dalael se maaloom
hosake..
For E.g: Jese
Jannat,
Dozakh aur
ALLAH
TA'ALA ki Zaat o SIFFAAT... k In Baaton ka Andaza, Is DUNIYA ki
Cheezen dekh k aur
QURA'ANI AAYAAT dekh kar pata chalta hai..
2)
Dusra GAIB woh jis ko Kisi
DALEEL se Bhi Maaloom na kiya ja sake,
FOR E.g:
QAYAMAT ka ILM, K Kab hogi??,
INSAAN kab Marega??,
Aur Aurat k Pait main Larka hai ya Larki, Bad Bakht (Buri) Aulaad
hai, Ya NAIK BAKHT (NAIK) AULAAD, yeh woh Baaten hain, jin ko Daleel se bhi
maaloom nahin kiya ja sakta...
Isi Dusrey GAIB (TYPE) ko Mafateh-AL-GAIB, kaha jata hai..
Aur is ko
Parwardigar e Aalam ne Farmaya,
فلا یظھر علی غیبہ احدا الا من ارتضی من
رسول۔
(Parah#29, Surah#72, Aayat#26,27)
Iski
Tafseer Bezaawi main is hi Aayat k Tehet, Gaib ki Kuch
yun Taareef ki gai hai:
"
GAIB se Muraad woh chupi huwi CHEEZ hai, jis ko Hawaas na Pa
saken aur na Badahatan usko Aqal chahe"
(Anwar ul Tanzeel, Jild#1, Page#28)
Tafseer Kabeer Suarh Baqar k Shoru main Isi Aayat k Ma
Tehet hai:
"
Aam Mufassareen ka Qol hai, k GAIB woh hai, jo Hawaas se
Chupa ho, Phir GAIB ki 2 Qismen hoti hai, Ek to woh jis par Daleel ho, dusri
woh jis par koi Daleel nahin"
(Tafseer-ul-Kabeer, Jild#1, Page#27, Matboo’a Dar ul Fikar, Beroot)
Tafsser ROOH ur Bayaan main Shoru
SURAH E BAQAR
k Ma Tehet hai:
"
GAIB woh hai, jo HAWAAS aur AQAL se poora poora chupa ho, is
tarah k kisi Zariye se bhi IBTADA'AN, KHULLAM KHULLA maaloom na hosake,
GAIB ki 2 QISMEN (TYPES) hain, Ek woh jis par koi Daleel na ho, woh
hi is Aayat se Muraaad hai, k ALLAH TA'ALA k Paass GAIB ki Kunjiyaan
(CHABIYAAN) hain,
dusri Qisam woh jis par Daleel Qaim ho, Jese ALLAH TA'ALA aur
Uski Siffaat, woh hi is Jagah Muraad hai"
(Tafseer Rooh-ul-Bayan, Jild#1, Page#32)
RESULT:
Rang (COLOUR) Aankh se dekha jata hai, Boo (SMELL) Naak se Soonghi jaati
hai, aur Lazzat (TASTE) zaban se, aur Aawaaz Kaan se Suni jaati hai.
Rangat (COLOUR), Zabaan aur Kaan k liye GAIB hai, aur BOO (SMELL), Aankh k
liye GAIB hai, Agar koi ALLAH ka Banda, Lazzat aur Boo ko In ki Shaklon main
Aankh se dekh le, to woh bhi
ILM E GAIB E IZAFI hai..
jese Aamaal QAYAAMAT main Mukhtalif Shaklon main Nazar aaen ge, Agar koi In
SHAKLON ko Yahaan dekh le to yeh bhi
ILM E GAIB hai..
Jese
HAZRAT SHIEKH ABDUL QADIR JILANI farmate hain:
"
Koi Mahina aur Koi Zamana, Aalam main nahin Guzarta, magar woh
Hamare pass ho kar Ijazat le kar Guzarta hai" (
ALLAH ki
ATA se)
Isi tarah koi Cheez Filhaal mojood na hone ya Bohat door hone ya kisi aur
wajah se Nazar na aasake, to woh bhi GAIB hai, q k jab woh CHEEZ nazar nahin
aarahi to kisi ko kiya maaloom k woh kiya hai, to agar kisi ne us cheez ko
bager Hawas k jaan liya to woh b
ILM E GAIB hai.
Jese
HUZOOR (ALEH SALAAM) ne aaenda Peda hone waali cheezon
ko Mulahiza Farma liya,
HAZRAT UMAR (RAZI ALLAH ANHU) ne Nihawand main
HAZRAT
SAARIYAH ko
Madine PAAK se Dekh liya, aur un tak apni
Aawaaz puhncha di, Isi Tarah koi Shakhs agar KARACHI main Beth k Punjab dekh
le, ya aesi koi jagah dekhe ya us ka batae jo Hawaas se maaloom na ho, to yeh
sab
ILM E GAIB main hi Daakhil hai..
Agar koi Cheez Aalaat (Instruments) ki madad se maaloom ki jae, to woh ILM E
GAIB main Shumaar nahin hoti,
FOR E.G
Kisi Aalay (Instrument) k Zariye Aurat k Pait ka Bacha Maaloom karte hain,
Ya Telephone aur Radio k zariye se Door ki Aawaaz sun lete hain, is ko
ILM
E GAIB nahin keh sakte,
Q k
ILM E GAIB ki Taareef main Arz kar diya gaya hai k jo HAWAAAS se
Maaloom na hosake, aur Telephone aur Radio main se Jo Aawaaaz nikli
woh Aawaaz Hawaas se Maaloom hone k Kaabil hai, Aalay se jo Pait k Bachay ka
Maaloom kiya gaya yeh b
ILM E GAIB na huwa, Q k Jab AALA
(ANSTRUMENT) zaahir kar diya gaya, to ILM E GAIB kesa??
Yeh Thi TAAREEF aur IQSAAM ILM-E-GAIB ki,
IN’SHA ALLAH Next
Topic main hum aap ko
ILM-E-GAIB k Saboot denge,
QURA'ANI AAYAAT,
AHADEES,
ULAMA-E-UMMAT,
Aur khud
BAD AQEEDAH FIRQAH'Z ki Kitaabon se,..
Aur phir Bad Aqeedah logon k kiye gae Etarazaat k jawabat bhi dengey..
Aayat#1:
وعلم ادم الاسمآء کلھا ثم عرضھم علی الملاءکۃ
TARUMA: "Aur
ALLAH TA'ALA ne
Aadam
ko Tamaam Ashiya (Cheezon) k naam Sikhae phir Sab Ashya
Malaika
(Faishton) par Pesh Kin"
(PARAH#1, SURAH#2, Aayat#31)
Tafseer E Madarik main Isi Aayat k MA Tehet hai.
"
HAZRAT AADAM (ALEH SALAAM) ko Tamaam Cheezon k naam
bataney k Maenay (Meaning) yeh hain k
ALLAH TA'ALA ne unko woh
tamaam Jinsen Dikha din jis ko Peda kiya hai, aur unko bata diya k is ka naam
GHORA (HORSE) hai, aur iska naam OONT (CAMEL) hai, aur is ka naam Falaan hai
(wagera wagera),
Ibn-E-ABBAS se marwi hai k In ko har cheez k naam sikha
diye yahaaan tak k Piyaali wagera k bhi"
(Tafseer-e-Madarik, Jild#1, Page#45, Matboo’a Maktaba-tul-Quran Wal Sunnah,
Peshawar)
Tafseer E Khazaan main isi Aayat main Yeh hi mazmoon
(Topic) bayaan farmaya:
" Kaha
gaya k
HAZRAT ADAM (ALEH
SALAAM) ko tamaam farishton k naam sikha diye aur kaha
gaya hai k in ki Aulaad k naam aur kaha
gaya k in ko Tamaam Zabanen sikha di
gain"
(Al-Baab ut Taaweel Fi Ma’ani ut tanzeel Al Maroof, Tafseer-e-Khazin,
Jild#1, Page#24, Matboo’a Dar-ul-Ma’arfah, Beroot)
Tafseer E Kabeer main isi Aayat k Ma Tehet hai:
"
HAZRAT AADAM (ALEH SALAAM) ko tamaam cheezon k
Ausaaf aur un k Haalaat sikha diye aur yeh Mashoor hai k Murad E Makhlooq main
se har Haadis ki Jins k Saaray naam hain, jo Mukhtalif Zabaanon main honge, jin
ko Aulaad E Aadam Aaj tak Bol rahi hai, For E.g: Arbi, Farsi, Romi, wagera
(tamam ki tamaam Zabaanen jo aaj tak is dunya main Istimaal huin aur hoti
rahengi)
(Tafseer-e-Kabeer, Jild#1, Page#397, Matboo’a Dar ul Ehya, At Turas ul
Arabi, Beroot)
Tafseer Abu Saood main isi Aayat k Ma tehet hai:
"Kaha gaya k
HAZRAT AADAM (ALEH SALAAM) ko
Guzishta
(Past) aur
Aaenda (Future ki) tamaam Cheezon k naam
bata diye, aur kaha gaya hai k Apni Saari Makhlooq k naam bata diye Aqli,
Khayaali aur wehmi cheezen bi bata din, aur Un cheezon ki zaat k naam, un k
Khaasay, unki Pehchaan, ILM k Qawaaid, Hinron k Qaanoon, un k Auzaaron
(Instuments or Weapons) ki Tafseel aur un k Istamaal k tareeqay ka ILM,
HAZRAT
AADAM (ALEH SALAAM) ko ILHAAM farmaya..
(Tafseer Abi ul Saood, Jild#1, Page#84, Matboo’a Dar ul Ehya ut Turas
al Arabi, Beroot)
Imam Hussain Bin Mas’ood Magwi 816 Hijri main likhtey hain:
Tarjuma: “
Aur yeh Qol bhi hai k jo kuch huwa aur jo
kuch Qiyaamat tak honey waala hai sab k naam murad hain”
(Tafseer Mu’aalim ut Tanzeel, Jild#1, Page#61, Matbooa’ Dar ul Ma’arfah,
Beroot)
Ger Muqallidon k Imam Muhammad Bin Ali Shokani 1250 Hijri main
likhtey hain:
Tarjuma: “
ALLAH TA’ALA ka Farmaan
"کلھا" ki taakeed ka faedah yeh
hai k
ALLAH TA’ALA ne Hazrat Aadam (Aleh Salam) ko tamam Naam sikha
diye aur is se jo kuch honey waala hai aur jo kuch ho chuka hai, koi shey bhi
khaarij nahin”..
(Tafseer Fatah ul Qadeer, Jild#1, Page#24, Matboo’a Dar ul Fikar, Beroot)
Tafseer E ROOH UR BAYAAN main isi Aayat k Ma Tehet hai:
" Aur
HAZRAT AADAM (ALEH SALAAM) ko Cheezon k haalaat
sikhae, aur jo kuch in main Deeni o Duniyawi NAFA'A hain, woh batae, aur in ko
Farishton k naam, inki Aulaad aur Hewaanaat aur Jamadaat k naam batae, aur har
cheez ka banana bataya, tamaam Shehron (Cities), aur Gaaon (Villages) k naam,
Parindon (Birds) aur Daraakhton (Trees) k naam, jo ho chuka, ya jo kuch bhi
hoga, un k naam aur
ALLAH TA'ALA jo kuch QAYAAMAT tak Peda
farmae ga, un k naam aur Khane Peenay ki Cheezon k naam , Jannat ki har Ne'mat,
Garz yeh k har Cheez k naam Bata diye, HADEES main hai k
HAZRAT AADAM
ko 7 Laakh Zabanen sikhai gain..
(Tafseer Rooh ul Bayaan, Jild#1, Page#136, Matboo’a Dar ul Ehya ut Turas al
Arabi, Beroot)
IN Tafaaseer se Maaloom huwa k Maakaan Aur Maayakoon k Saare Uloom
HAZRAT
AADAM (ALEH SALAAM) ko diye gae, Zabaaanen (Languages), Cheezon k Nafa
o Zarar (Profit n Loss) banane k tareeqay, Aalaat (Instruments) ka Istamaal sab
Dikha diye..
Lekin ab mere
NABI (Sallalaho Aleh Wassallam) k Uloom to
dekho, HAQ yeh hai k yeh
ILM E AADAM, meray
NABI
(Sallalaho Aleh Wassallam) k
ILM k Darya ka Ek Qatra hai..
SHEIKH IBN-E-ARBI, FATOOHAAT-E-Makiyah k Baab Daham (10) main farmate hain:
Tarjuma: “
HUZOOR (Sallalaho Alehe Wassallam)
k pehle
KHALEEFA aur
NAAEB,
AADAM
(Aleh Salaam) hain"
Maaloom huwa k
HAZRAT AADAM (ALEH SALAAM) ,
HUZOOR
(Sallalaho Alehe Wassallam) k Khaleefa hain.
Khaleefa usko kehte hain jo Asal ki Ger Mojoodgi main uski Jagah Kaam Kare,
HUZOOR (Sallalaho Alehe Wassallam) ki Pedaish se Qabal saare Ambiya
HUZOOR (Sallalaho Alehe Wassallam) k naaeb the..
Yeh baat Molvi Qasim Sahab (Deoband k baray Aalim) ne apni Kitaab
Tehzeer Un Naas main likhi aur maani hai..
Jesa k hum bayaan kar chukay hain, k Khaleefa k ILM ka yeh Haal hai, to Aap
Khud Sochen K
NABI (Sallalaho Alehe Wassallam) ka ILM kitna hoga...
Aayat#2:
ویکون الرسول علیکم شھیداً۔
Tarjuma: "Aur Yeh
RASOOL Tumhare
Nigehbaan
Aur
Gawah hain" (Parah#2,Surah#2,Aayat#143)
Tafseer-E-Azeezi main Isi Aayat k Ma tehet hai.
"
Huzoor (Sallalaho Alehe Wassallam) apne
Noor-E-Nabuwat
ki wajah se Har Deendaar k Deen ko Jaantay hain, k deen k kis darjay tak
puhncha hai, aur is k Eemaaan ki Haqeeqat kiya hai, aur konsa Hajaab is ki
taraqqi k Maanay hai, pas
HUZOOR (Sallalaho Alehe Wassallam)
tumhare Gunahon ko Tumhare Eemaani Darjaat ko aur tumhare Naik O Bad Aamaal aur
Tumhare Ikhlaas aur Nafaaq ko pehchaante hain, Lihaza in ki Gawahi dena main Ba
hukum Sarah Ummat k HAQ main Kabool aur Wajib UL AMAL hai ".
(Tafseer-e-Azeezi, Parah#2, , Jild#1, Page#518)
TAFSEER-E-ROOH UR BAYAAN main isi Aayat k Ma Tehet hai.
" Yeh is Bina par hai k Kalma Shaheed main Muhaafiz aur Khabardaar k
Maaenay (Meaning) bhi Shaamil hain, aur Is maaenay (Meaning) k Shaamil karne
main is Taraf Ishara hai k Kisi ko Aadil kehna aur Safai ki Gawahi dena Gawah k
Haalaat par Muta'ala Hone se Ho sakta hai.. aur
HUZOOR (Sallalaho Alehe
Wassallam) ki Musalmaanon par GAWAHI dene k Maaenay (Meaning) yeh hain
k
HUZOOR (Sallalaho Alehe Wassallam) har Deendaar k Deeni
Martabay ko Pehchaante hain, Pas
HUZOOR (Sallalaho Alehe Wassallam),
MUSALMAANON k GUNAAHON ko, In k Eemaan ki Haqeeqat ko In k Achay Buray Aamaal
ko In k IKHLAAS aur Naffaaq wagera ko
NOOR-E-HAQ se Pehchante hain,
aur
HUZOOR (Sallalaho Alehe Wassallam) ki Ummat bhi QAYAAMAT
main Saari UMMATON k Haalaat jane gi, magar
HUZOOR (Sallalaho Alehe Wassallam)
k NOOR se ".
(Tafseer-e-Rooh-ul-Bayaan, Jild#1, Page#136, Matboo’a Dar ul Ehya ut turas
al arabi, Beroot)
Tafseer-E-Khaazan main isi Aayat k Ma Tehet hai.
" Phir QAYAAMAT main
HUZOOR (Sallalaho Alehe Wassallam)
ko Bulaya jawe ga, Pas
RAB TA'ALA,
HUZOOR (Sallalaho
Alehe Wassallam) se Aap ki UMAT k Haalaat Puchay ga, to
Aap
unki Safai ki Gawahi denge, aur In ki Sachai ki Gawahi denge ".
(lbaab ul taweel fi maani ul tanzeel al maroof, tafseere khazin, jild#1,
Page#87, Matboo’a dar ul kutub ul Ilmiyah, Beroot)
Tafseer-E-Madarik PARAH#2, Surah Bakar main isi Aayat k Ma tehet hai.
" Phir
HUZOOR (Sallalaho Alehe Wassallam) ko Bulaya
Jawega, aur Aap ki UMMAT k Haalaat puche jaaenge, Pas
Aap unki Safai
bayaan karenge, aur un k Aadil hone ki GAWAHI denge, Lihaza
HUZOOR
(Sallalaho Alehe Wassallam) tmhari Adaalat ko jaante hain ".
(Tafseer-e-Madarik, Jild#1, Page#88, Maktabah tul Quran wal sunnah,
Peshawar)
Is Aayat aur In Tafaseer main Farmaya
gaya
k
QAYAAMAT k Din Dusre AMBIYA ki UMMATEN, BARGAH-E-ILAHI main Arz
karengi, k Hamare pass tera koi Pegambar na Puhncha.
In UMMATON k NABI Arz karenge k KHUDAYA hum in main gae, teray
Ehkaam Puhnchaye, magar In logon ne KUBOOL na kiye. RAB TA'ALA ka AMBIYA ko
Hukum hoga, k Chunkay tum Muda'i ho, apna Koi GAWAH lao, woh apni GAWAHI k liye
UMMAT-E-MUSTAFA (Sallalaho Alehe Wassallam) ko Pesh karen ge, MUSALMAAN GAWAHI
denge, k KHUDAYA tere Peghambar sachay hain, inhon ne tere Ehkaam puhnchaye the.
Ab do baaten Tehqeeq k laek hain,
1) yeh k
MUSALMAAN GAWAHI k kaabil hain ya Nahin??
Answer:
Faasik O Faajir aur
Kaafir ki GAWAHI kabool
nahin hoti,
Musalmaan Parhezgaar ki Gawahi kabool hoti hai..
2) Dusri yeh k
Musalmaano (UMMAT-E-MOHAMMADI) ne apne se Pehle ka
zamaana nahin dekha tha, phir Gawahi kis tarah de rahe hain??,
Answer:
Musalmaan Arz karenge k
KHUDAYA
hum se tere
MEHBOOB MOHAMMAD (Sallalaho Aleh Wassallam) ne
farmaya tha, k
Pehle k Peghambaron ne TABLEEG ki thi, is ko Sun kar hum
GAWAHI de rahe hain, tab HUZOOR (Sallalaho Alehe Wassallam) ko bulaya jawe ga,
aur HUZOOR (Sallalaho Alehe Wassallam) 2 baaton ki Gawahi denge,
Ek yeh k yeh Log (
MUSALMAAN),
FAASIK ya
FAAJIR
nahin, taa k in ki
GAWAHI kabool ho, Balkay MUSALMAAN
aur Parhezgaar hain, dusra yeh k
Haan Hum ne In se (Musalmaan
se) kaha tha k Pehle NABIYON ne apni QOUM tak Ehkaam-E-ILAHI puhncha. tab
GAWAHI kabool hogi.
Is WAqiye se chand baaten saamne Aatin hain, Ek yeh k
HUZOOR
(Sallalaho Alehe Wassallam) QAYAAAMAT tak k Musalmaanon k Eemaan, Aamaal,
ROZAY, NAMAZ-O-NIYAT, se bilkul KHABARDAAR hain, warna pehli Yaani Safai ki
Gawahi kese Mumkin hai, agar ek MUSALMAAN ka bhi koi bhi Haal aap se chupa
rahe.(Yaani ILM-E-GAIB)..
Jese
HAZRAT NOOH (ALEH SALAAM) ne apni QOUM k Aane Waali
Nasal ka Haal maaloom farma liya tha, k
KHUDA in ki Aulaad bhi agar
huwi to woh Kaafir hogi. Dekhiye (PARAH#29,SURAH#71,AAYAT#27), lihaza
tu in ko Garak kar de..
HAZRAT KHIZAR (ALEH SALAAM) ne jis Bachay ko QATAL farmaya,
uska Aaenda ka Haal maaloom kar liya k
Agar Zindah raha to Sarkash hoga...
Ab
AMBIYA ko itna ILM haasil tha, to aap khud sochen k
IMMA
UL AMBIYA k ILM ka kiya Mukaam hoga, aur Un se kisi ka Haal kese chup sakta hai..
Ab dusra point dekhen k Gawahi k waqt, Guzishta Peghambar aur Unki Ummat k
Haalaat
HUZOOR (Sallalaho Alehe Wassallam) ne
BA-NOOR-E-NABUWAT
dekhe the, aur
Aap ki GaWAHI dekhi huwi thi, Q k Agar sirf suni hoti,
to aesi GAWAHI to MUSALMAAANO ne bhi di thi..
Teesra Point yeh k
ALLAH jaanta hai, k
AMBIYA
sachay hain, phir bhi Gawahiyaan de kar faisla farmata hai,
Kiya
ALLAH ko sachai Maaloom nahin???
BESHAK ALLAH ko Maaloom hai k AMBIYA sachay hai, unhon ne Tableeg
ki..
magar phir bhi ALLAH ne tehqeeq ki Aur Gawahi li isi tarah agar
HUZOOR (Sallalaho Alehe Wassallam) ne kuch Muqadmaat main Tehqeeq ki ya GAWAHI
li to is se yeh laazim nahin k NABI (Sallalaho Alehe Wassallam) ko maaloom
nahin, Balkay Muqadmaat Ka QAEDAH hi yeh hota hai, k Tehqeeq ki jae aur GAWAHI
li jae..
Aayat#3:
Tarjuma: " Aur
Ae MEHBOOB tum
ko in sab par
Nigehbaan bana kar hum la denge ".
(PARAH#5,Surah#4,Aayat#41)
Tafseer Nesha Poori main isi Aayat k Ma Tehet hai.
" Is liye
Huzoor (Sallalaho Alehe Wassallam) ki
Rooh Mubarak tamaam Roohon aur Dilon aur Nafson ko dekhne waali hai, Q k
HUZOOR
(Sallalaho Alehe Wassallam) ne farmaya k ALLAH ne jo pehle peda farmaya woh
mera NOOR hai".
Tafseer ROOH UL BAYAAN main Isi Aayat k Ma Tehet hai.
"
HUZOOR (Sallalaho Alehe Wassallam) par
Aap
ki ummat k Aamaal Subah-O-Shaaam pesh kiye jaate hain, Lihaaza
Aap
UMMAT ko Un ki Alaamaat se Jaante hain, aur
In k Aaamaal ko
Bhi, Is liye Aap in par GAWAHI denge".
(Tafseer-e-Rooh-ul-Bayaan, Jild#2, Page#257, Matboo’a Dar-ul- Ehya ut Turas
ul Arabi, Beroot)
Tafseer Madarak main Isi Aayat K Ma Tehet hai.
"
HUZOOR (Sallalaho Alehe Wassallam) Gawah
hain,
Mominon par Un k Eemaan k Kaafiron par un k Kufar k Aur
Munaafiqon par un k Naffaaq k".
(Tafseer-e-Madarik, Jild#1, Page#253, Matboo’a Maktaba-tul-Quran wa Sunnah,
Peshawar)
Is Aayat aur In Tafaaseer se Maaloom huwa k
HUZOOR (Sallalaho Alehe
Wassallam) Az Awwal ta Qayaamat tum logon k
Kufr-o-Eemaan-o-Naffaaq-o-Aamaal wagera sab ko Jaante hain, is liye Aap sab ki
Gawahi denge,
Yeh hi to ILM-E-GAIB hai..
Aayat#4:
من ذا الذی یشفع عندہ الا باذنہ یعلم ما بین
ایدیھم وما خلفھم۔
Tarjuma: “Woh kon hai jo us k yahaan Sha’fa’at karey Bager
us k Hukum k, jaanta hai jo kuch un k aagey hai, aur jo kuch un k peechey
hai”..
(Surah Bakarah, Parah#3, Aayat#255)
Tafseer-e-Neshapuri main isi Aayat k Ma-tehet hai..
Tarjuma: “
Huzoor (Sallalaho Alehe Wassallam)
Makhlooq k pehley k Awwal Maamlat bhi jaantey hain aur jo Makhlooq k
Baad-e-Qayaamat k Ehwaal hain who bhi jaantey hain”..
Rooh-ul-Bayaan main isi Aayat k Ma-tehet hai:
Tarjuma: “
Huzoor (Sallalaho Alehe Wassallam)
Makhlooq k pehley k Halaat jaantey hain,
ALLAH TA’ALA k
Makhlooq ko Peda karney k pehley k Waqiyaat aur un k Peechey k Halaat bhi
jaantey hain, Qiyaamat k Ehwaal Makhlooq ki Ghabrahat aur
RAB TA’ALA
k Ghazab wagerah”..
(Tafseer-e-Rooh ul Bayaan, Jild#1, Page#43, Matboo’a Maktabah Islamiyah,
Quetta)
Is Aayat auur in Tafaseeer se Maloom huwa k keh Ayat ul Kursi main
من ذالزی se le kar
الا بما شآء tak 3 sifaat
Huzoor (Sallalaho
Alehe Wassallam) ko bayaan huwin.
Baqi Awal wa Aakhir main sifaat e Ilaahiya hain.
Is main farmaya gaya hai k
Khuda Ta'ala k pas koi bagher
ijazat kisi ki shafa'at nahi kar sakta aur jinko shafa'at ki ijazat hai wo
Huzoor
(Sallalaho Alehe Wassallam) hain aur Shafee k liye zaroori hai k gunehgaaron
k anjaam aur unke haalaat se waqif ho taa k Na’ehel ki Shafa’at na hojaey aur
mustahiq shafa'at se mehroom na reh jain.
Jese tabeeb k liye zaroori hai ke qabil e ilaaj aur laa'ilaaj mareezon ko
jane to farmaya
gaya
یعلم ما بین ایدیھم
k jisko hum ne Shafi banaya hai.Usko tamam ka ilm bhi diya hai kion keh
shafa'at E kubraa k liye ilm e ghayb laazim hai.
Is se maloom hua ke jo kehty hain k
Huzoor (Sallalaho Alehe
Wassallam) qayamat main munafiqeen ko na pehchanenge. Yaa
Huzroor
(Sallalaho Alehe Wassallam) ko apni bhi khabar nahi keh mera kya anjam
hoga.mehez ghalt aur bay-deeni ha.jesa k ainda ata hai
ولا یحیطون بشی ء من علمہ الا بما شآء
Aur wo nahi paatey uske ilm main se magar jitna Woh chahey.
Tafseer Rooh ul bayan main isi ayat k matehet ata hai:
Tarjuma:"Ahtamal ye bhi hai ke is zameer se
Huzoor
(Sallalaho Alehe Wassallam) muraad honge yaani
Huzoor
(Sallalaho Alehe Wassallam) Logon k halaat ko mushahida farmany walay
hain aur unke samne k haalaat janty hain unke ikhlaaq unky maamlaat aur unke
qissay waghera aur unke peeche k haalaat bhi janty hain.
Aakhirat k ahwaal jannati ,dozakhi, logon k haalaat aur wo log
Huzoor
(Sallalaho Alehe Wassallam) k maaloomat main se kuch bhi nahi janty
magar isi qadar jitna k Huzoor chahen.
Auliya-e-Allah ka ilm, Ilm-e-Ambiyaa k samne aisa ha jese aik qatra
7 samandaron k samne aur Ambiya ka ilm Huzoor (Sallalaho Alehe Wassallam) k ilm
k saamne isi darja ka hai aur humare AAQA Huzoor (Sallalaho Alehe Wassallam) ka
ilm Rabul Alameen k samne isi darjay ka.
passs har
Nabi aur har
Rasool aur har
Wali
apni apni istedad aur qabiliyat k mavafiq
Huzoor se he lete
hain aur kisi ko ye mumkin nahi k
Huzoor (Sallalaho Alehe Wassallam)
se agay barh jai.".
Tafseer e Khazn main isi ayat k matehet hai:
Tarjuma: "Yani
Khuda Ta'ala unko apne
ilm par itlaa deta hai aur wo
Ambiya va Rasool hain. Taa k
unka Ilm e ghayb par Mutala'a hona unki Nabuwat ki Daleel ho jese
Rab
ne farmaya hai k Passs Zahir Nahi Farmata apne Ghayb Khas par kisi ko siva'ay
us rasool k jis se Rab Raazi ho."
Tafseer Mua'lam ul tanzeel main isi ayat k matehet hai:
Tarjuma: "
Yaani ye log ilm e ghayb ko nahi
Ghair sakty magar jis qadar keh Khuda chahey jiski khabar rasoolon ne di ".
Es ayat aur in tafaseer se itna malom hova ha keh is ayat main yaa to khuda
ka ilm murad hai keh khuda ka ilm kisi ko hasil nahi haan jisko Rab he dena
chahey to usko ilm e ghayb hasil hota hai aur Rab ne to Ambiya ko diya aur
Ambiya k zariya se baaz mo'mineen ko diya.
Lihaza unko bhi Ba-Ataa-ey Elaahi ilm ghayb hasil hova.kitna diya uska zikar
ayinda ayega.
Yaa ye muraad hai keh
Huzoor (Sallalaho Alehe Wassallam) k
ilm ko koi nahi paa sakta . magar jis qadar
Huzoor (Sallalaho Alehe
Wassallam) hi dena chahen to Ata farma dain.
Lihaza az Hazrat e Aadam taa roz e qayamat jisko jis qadar ilm mila
. wo Huzoor (Sallalaho Alehe Wassallam) k ilm k darya ka ek qatra hai.
is main Hazrat e Adam aur farishton waghera ka ilm bhi shamil hai.
aur Hazrat e Aadam (Aleh Salam) k ilm ki wus’at hum
علم ادم ki ayat k tehet bayan
kar chuky hain.
Aayat#5:
وما کان اللہ لیطلعکم علی الغیب ولکن
اللی یجتبی من رسلہ من یشاء۔
Tarjuma: "Aur
ALLAH ki yeh
Shaan nahin hai k
Ae Aam logon tum ko GAIB ka ILM de, haan
ALLAH
chun leta hai apne Rasoolon main se jis ko chahe".
(PARAH#4, Aayat#179)
Tafseer E Be Zaawi main isi Aayat k Ma Tehet hai.
Tarjuma: "
Khuda Ta'ala tum
main se har kisi ko
ILM-E-GAIB nahin dene ka ko Matla'a kare,
is KUFAR O EEMAAN par jo dilon main hota hai, Lekin
ALLAH ne Pegambari
k liye jis ko Chun leta hai, Pas Us ki taraf Wahi farmata hai, aur Ba'az
Gaiyoob (gaib Ki jama) ki Un ko Khabar deta hai, Ya un k liye Aese Dalael
farmata hai, jo GAIB par Rehbari karen"
(Anwaar Ul Tanzeel, Jild#1, PAGE#308, Matbooa Mustafal Baabi, Misar)
Tafseer E Khazan main hai:
Tarjuma: " Lekin
ALLAH chun leta hai,
Apne RASOOLON main jise ko chahta hai, Pas Unko Khabardaar karta hai, Baaz
ILM-E-GAIB par."
(Al Baab Taweel fi Ma'ani Ul Tanzeel Ul Ma'aroof, Tafseer E Khazan, Jild#1,
PAGE#308, Matbooa Daar Ul Ma'arfah, Beroot)
Tafseer E Kabeer main isi Aayat k Ma Tehet hai.
Tarjuma: " Lekin In Baaton ka Batareek, GAIB par
Matla'a hone, k Jaan lena,
Yeh AMBIYA KARAAM Ki KHOOSOSIYAT hai".
(Tafseer Ul Kabeer, JILD#9, PAGE#111, Matbooa Daar ul Fikar, Beroot)
Tafseer E Jalalen main hai.
Tarjuma: " Maaenay (meaning) yeh hain k
ALLAH
apne Rasoolon main jis ko Chahta hai, Chun leta hai, pas In ko GAIB par Matla'a
Kar deta hai"....
"
KHUDA TA'ALA tum ko GAIB par Matla'a nahin karneka,
Taa k Faraq karne se pehle Munaafiqon ko Jaan lo.
Lekin ALLAH jis ko
chahta hai, Chaant leta hai, to us ko Apne GAIB par Matla'a farmata hai, jese
NABI (ALEH SALAAM) ko Munaafiqeen k haal Par Matla'a farmaya".
(Tafseer-E-Jalaalen, Page 92, Matbooa Daar Ul Hadees Al Qaira)
Is Tafseer se simply maaloom hota hai, k ALLAH TA'ALA ne NABI (ALEH
SALAAM) ko Apne Ba'az GAIB k ILM par Matla'a farmaya..
ROOH Ul BAYAAN main hai.
Tarjuma: "
Q k Haqeeqaton aur Haalaat k GAIB
Zaahir nahin hote Bager RASOOL (ALEH SALAAM) k Waastay se".
(Tafseer E ROOH Ur Bayaan, JILD#2, PAGE#162, Matbooa Daar Ul Ahya At Turaas
Ul A'arabi, Beroot)
Is Aayat aur In tamaam Tafaseer se Maaloom huwa k
KHUDA ka KHAAS ILM
E GAIB, Pegambar par Zaahir hota hai, Ba'az Muffassareen ne jo farmaya k Ba'az
GAIB, Is se Mura'ad hai k ILM-E-ILAHI k muqaablay main Ba'az ILM..
(Beshak ILM-E-ILAHI k Muqaaablay HUZOOR (Sallalaho Alehe Wassallam)
ka ILM nahin), Par ALLAH k Ba'az Uloom jo ALLAH ki Ata se HUZOOR (Sallalaho
Alehe Wassallam) ko Ata kiye Gae, Woh is Dunya ki Tamaam Makhlooqaaat se Zyadah
hai, Garz k Yeh baat Saabit huwi k HUZOOR (Sallalaho Alehe Wassallam) ko ALLAH
TA'ALA ne ILM-E-GAIB Ata kiya..
Aayat#6:
Tarjuma: " Aur tum ko
Sikha diya jo kuch tum
na jaante the, aur
ALLAH ka tum par bara fazal hai".
(Surah Nisa, Aayat#113)
Tafseer-E-Jalaleen, Page 97, main hai.
Tarjuma: "Yaani
Aahkaam, aur
ILM-E-GAIB"
IMAAM Hussain Bin Mas'ood Bagwi 516 Hijri main likhte hain:
Tarjuma: " (Aur
ALLAH ne aap ko woh
sab
Ilm Ata kar diye jo, aap nahin jaante the)
Yaani Ehkaam main
sab, aur ILM-E-GAIB main se.
(Tafseer Mo'allam Ul Tanzeel, Jild#1, Page#479, Matboo'a Darul Ma'arfa'a,
Beroot)
Ab yeh jo baat likhi gai hai, yeh Tafseer aaj se Taqreeban
900 saal
pelhle likhi gai, agar yeh baat galat hoti, to Kiya in likhne waale sahab ko roka
na jaata???
Tafseer e Khazin main hai:
Tarjuma: “
ALLAH ne Aap per Quran utara aur Hikmat
utari aur Aap ko in k Bhedon per Mutla farmaya, aur in ki Haqeeqaton per Waaqif
kiya”
(Al baa but tanweel fi Ma’ani ut Tanzeel ul Maroof, Tafseer-e-Khazin, Jild#,
Page#403, Matboo’a Dar ul Ma’arfah, Beroot)
Tafseer-E-Madarik main hai.
Tarjuma: "
Deen aur Shariyat k Umoor Sikhae,
aur chupi huwi baaten, Dilon k Raaz batae".
(Tafseer-E-Madarik, Jil#1, Page#282, Matboo'a Maktab Ul Qura'an,
Peshawar)
Jaame Al Bayaan main hai:
Tarjuma: "
Yaani Aap ko woh sab baaten bata
din, jo Qura'an k Nuzool se pehle Aap na jaante the".
(Tafseer-E-Tibri, Jild#5, Page#270, Matboo'a Dar Ul Fikar, Beroot)
Is Aayat aur in Tafaseer se maaloom huwa k
HUZOOR (ALEH SALAAM) ko
tamaam Aaenda aur Guzishta Waakiyaat ki Khabar di gai, Yaani
ILM-E-GAIB..
Kalma
ما Arabi
Zabaan main Umoom k liye hota hai to Aayat se maloom huwa k Shari’yat k Ehkaam
Duniya k saarey Waqiyat logon k Eemaani halaat wagerah jo kuch bhi Aap k Ilm
main na tha,
sab hi bata diya, is main yeh Qaid lagana k is se
Murad sirf Ehkaam hain apni Taraf se Qaid lagana hai, jo
Quran o Hadees
aur
Ummat k Aqeeday k khilaaf hai..
Aayat#7:
ما فر طنا فی الکتاب من شیٔ۔
Tarjuma: “
Hum ne is Kitaab main kuch Utha na rakha”..
(Surah al In’aam, Aayat#38)
ان القرآن مشتمل علی جمیع الاحوال
Tarjuma: “
Quran e Kareem tamaam Halaat per
Mushtamil hai”..
(Al Baa but Tanveel Fi Ma’ani ut Tanzeel ul Maroof Tafseer e Khazin, Jild#2,
Page#111, Matboo’a Dar ul Qutub ul Ilmiyah, Beroot)
Tafseer Anwar ul Tanzeel main isi Aayat k Ma-tehet hai:
Tarjuma: “
Kitab se Murad Looh e Mehfooz hai,
q k yeh Looh e Mehfooz in baton per Mushtamil hai jo Aalam main hota hai, her
Zaahir aur Baareek, is main kisi Hewaan aur Jamaad ka Maamla chora na gaya”..
Tafseer e Arais ul Bayaan main isi Aayat k Ma-tehet hai:
Tarjuma: “
Yaani is Kitaab main Makhlooqaat
main se kisi ka Zikar na chora gaya,
lekin is Zikar ko koi nahin dekh sakta, magar who jin ki Ma’arfat k anwar se
taaeed ki gai ho”..
Is Aayat aur in Tafaseer se maloom huwa k
kitaab main Duniya o
Aakhirat k saarey halaat mojood hain, ab Kitaab se murad ya to Quran hai ya to
Looh e Mehfooz, aur Quran bhi Huzoor (Sallalaho Alehe Wassallam) k ilm main aur
Looh e Mehfooz bhi, is hum aagey aur Describe karengey..
To Nateejah yeh nikla k tamaam Duniya o Aahkirat k halaat Huzoor
(Sallalaho Alehe Wassallam) k Ilm main huwey, q k saarey Uloom Quran aur
Looh e Mehfooz hain, aur Quran o Looh e Mehfooz Huzoor k Ilm main…
Aayat#8:
ولا رطب ولا یا بس الا فی کتاب مبین۔
Tarjuma: “Aur nahin hai koi Tar o Khushk jo Roshan Kitaab
main na likha ho”..
(Parah#7, Surah#6, Aayat#59)
Rooh ul Bayan main hai:
Tarjuma: “Woh
Looh e Mehfooz hai k
ALLAH
ne us main saari hosakney waali cheezen jama farma deen, un Faedon ki wajhon se
bandon ki taraf Lotney hain, in ko Ulama e Rabbani jaantey hain”..
(Tafseer-e-Rooh ul Bayan, Jild#3, Page#57, Matboo’a Dar ul Ehya ut
Turas ul Arabi, Beroot)
Tafseer-e-Kabeer main isi Aayat k Ma-tehet hai:
Tarjuma: “Is likhney main chand faeday hain ek yeh k
ALLAH
TA’ALA ne in Halaat ko Looh e Mehfooz main is liye likha tha, taa k Malaekah
Khabardaar hojaen, in Maloomat main Ilm-e-Ilaaahi jaari honey per pas yeh baat
in farishton k liye puri Puri Ibrat ban jae jo Looh e Mehfooz per Muqarrar
hain, q k woh Farishtey un Waqiyat ka us Tehreer se Muqabilah kartey hain, jo
Aalam main naey naey (New, New) hotey rehtey hain, to us ko Looh e Mehfooz k
Mawafiq paatey hain”..
(Tafseer-e-Kabeer, Jil#5, Page#12, Matboo’a Dar-ul-Ehya ut Turas ul Arabi,
Beroot)
Tafseer-e-Khazin main isi Aayat k Ma-tehet hai:
Tarjuma: “Dusri Tawajjiyah yeh hai k Kitaab e Mubeen se
Murad
Looh e Mehfooz hai, q k
ALLAH TA’ALA ne us main
jo kuch hoga, aur jo kuch Aasamaan o Zameen ki Pedaish se Pehley ho chuka sab
ka ilm lika diya aur in tamaam cheezon k likhney se is kitaab main faedah yeh
hai k Farishtey is k ilm k jaari karney per wakif hojaen”..
(Al Baa but Taweel Fi Ma’ani ut Tanzeel ul Maroof, Tafseer-e-Khazin, Jild#2,
Page#119, Matboo’a Dar ul Kutub ul Ilmiyah, Beroot)
Tafseer-e- Madarik main hai:
Tarjuma: “
Woh kitaab ya to Ilm-e-Ilaahi hai ya
Looh-e-Mehfooz”
(Tafseer-e-Madarik, Jild#1, Page#363, Matboo’a Maktaba tul Quran wa Sunnah,
Peshawar)
Tafseer-e-Tanweer ul Muqiyas main Tafseer-e-Ibn-e-Abbas main isi
Aayat k Ma-tehet hain:
Tarjuma: “Yeh Tamaam Cheezen Looh e Mehfooz main
hain, k in ki Miqdaar aur un ka Waqt bayaan kar diya gaya hai”..
(Tafseer Tanweer ul Muqiyas Man Tafseer IBn-e-Abbas, Page#142, Matboo’a Al
Maktabah Hukkaniyah,
Peshawar)
Is Aayat aur in Tafaseer se Maloom huwa k
Looh e Mehfooz main har
Khushk o Tar Adna o Aala Cheez hai, aur Looh e Mehfooz ko Farishtey aut ALLAH
TA’ALA k Khaas Bandey jaantey hain, aur ILM-E-MUSTAFA (Sallalaho Alehe
Wassallam) in sab ko Gheray huwey hai, Lihaazah yeh Tamaam Uloom Huzoor
(Sallalaho Alehe Wassallam) k Ilm k Dariya k Qatrey hain…
Aayat#9:
نزلنا علیک الکتاب تبیاناً لکل شیء۔
TArjuma: “
Aur hum ne tum per yeh Quran Utara k her
Cheez ka Roshan Bayaan”..
(Parah#14, Surah#16, Aayat#89)
Tafseer-e-Hussiani main isi AAyat k Ma-tehet hai:
Tarjuma: “
Hum ne aap per yeh kitaab Quran Deen o
Duniya ki her Cheez ka Roshan Bayaan bana ker Bheji, Tafseeli o Ijmali”..
(Parah#14, Surah#16, Aayat89)
Is Aayat aur Tafseer se Maloom huwa k
Quran e Kareem main her Adna o
Aala cheez hai, aur Quran Rab-e-Ta’ala se Mehboob (Aleh Salam) ko sikhaya الرحمن علم القرآن yeh tamaam cheezen Ilm-e-Mustafa
(Sallalaho Alehe Wassallam) main Aaen..
Aayat#10:
وتفصیل الکتاب لاریب فیہ
Tarjuma: “Aur Looh-e-Mehfooz main jo kuch likha hai,
Quran sab ki tafseel hai, is main kuch shak nahin”..
(Parah#11, Surah#10, Aayat#37)
Jalalen main isi Aayat k Tehet hai:
Tarjuma: “Yeh Tafseeli Kitaab hai is main who Ehkaam
aur un k Siwa Dusri Cheezen bayaan ki jaati hain, jo
ALLAH TA’ALA
ne likh din”
(Tafseer-e-Jalalen, Page#272, Matboo’a Dar ul Hadees ul Qaherah, Misar)
Jamal main isi Aayat k Tehet hai:
Tarjuma: “
Yaani Looh-e-Mehfooz main tafseel
hai”..
Rooh ul Bayaan main yeh hi aayat:
Tarjuma: “Yaani yeh
Quran in Shar’ai aur
Haqeeqat ki Cheezon ki tafseel hai, jo Saabit ki jaa chuki hain, aur
Taweelat-e-Tajammiyah main hai k is tamaam ki Tafseel hai jo Taqdeer main aa
chuki hain, aur is kitaab main likhi ja chuki hain, jis main Rad-o-Badal nahin
hota, q k
woh Kitaab Azli o Abadi hai”..
(Tafseer-e-Roh ul Bayan, Jild#4, Page#64, Matboo’a Dar ul Ehya ut Turas ul
Arabi, Beroot)
Is Aayat o Tafseer se Saabit huwa k
Quran e Kareem main Ehkaam e
Shariyah aur tamam Uloom Mojood hain, is Aayat se pata chala k Quran main
saarey Looh e Mehfooz ki tafseel hai, aur Looh e Mehfooz main saarey Uloom
hain,
ولا رطب ولا یا بس الا فی
Aur Quran Huzoor (Sallalaho Alehe Wassallam) k Ilm main hai, الرحمٰن علم القرآن lihaazah Saara
Looh-e-Mehfooz Huzoor (Sallalaho Alehe Wassallam) k Ilm main hai q k Quran Looh
e Mehfooz ki Tafseel hai..
Aayat#11:
ما کان حدیثاً یفتری ولکن تصدیق الزی بین
یدیہ و تفصیل کل شی ء۔
Tarjuma: “
Yeh koi Banawat ki baaat nahin, apney se
Agley Kalaamon ki Tasdeeq hai aur her cheez ka Mufassil bayaan”..
(Parah#13, Surah#12, Aayat#111)
Tafseer-e-Khazin main hai:
Tarjuma: “Yani is Quran main jo aap per utara
gaya,
Ae Muhammad
(Sallalaho Alehe Wassallam) her us cheez ki tafseel hai jis ki Aap ko Zarurat
ho, Halaal aur Haram Sazaen aur Ehkaam aur Qissay aur Nasihaten aur Misalen, in
k ilaawa woh cheezen jin k bandon ko apney Deeni o Duniyawi maamlaat main
zarurat perti hai”..
(Al Baab ul Taweel Fi Ma’ani ul Tanzeel al Maroof Tafseer-e-Khazin, Jild#2,
Page#562, Matboo’a Dar ul Qutub ul Ilmiyah, Beroot)
Tafseer-e-Hussaini main hai:
Tarjuma: “Yani is Quran main her us Cheez ka Bayaan hai,
jis ki Deen o Duniya main Zarurat ho, (Kitab ul Aejaz la bin Siraqah) main hai
,
Aalam main koi cheez aesi nahin jo Quran main na ho”..
Ab jis Hasti per Quran Utara gaya hoga, us Hasti ka Ilm kitna
hoga..!!
Aayat#12:
Tarjuma: “
Rehman ne
apney Mehboob
ko Quran sikhaya,
Insaaniyat ki jaan Muhammad ko peda kiya,
Makaan o Mayakoon us ko sikhaya,
ALLAH ne insaan yaani
Muhammad (Sallalaho Alehe Wassallam) ko peda farmaya, aur in ko bayaan yaani
saari agli pichli baton ka bayaan sikha diya”..
(Parah#27, Surah#55, Aayat# 1-4)
Tafseer-e-Khazin main isi Aayat k Tehet hai:
Tarjuma: “
Kaha gaya hai k insaan se murad Muhammad
(Sallalaho Alehe Wassallam) hain, k in ko agley Pichley Umoor ka bayaan sikha
diya gaya, q k Huzoor (Sallalaho Alehe Wassallam) ko aglon aur pichlon ki, aur
qiyaamat k din ki khabar de di gai”..
(Al-Baab ul Taweel Fi ma’ani ul tanzeel al maroof, tafseer-e-Khazin, Jild#4,
Page#208, Matboo’a Dar ul Ma’arfah, Beroot)
Rooh ul Bayaan main hai:
Tarjuma: “
Yaani hamarey Nabi (Sallalaho Alehe
Wassallam) ko Rab Ta’ala ne Quran aur apni Rabwiyat k bhed sikha diye, jesa k
khud Rab Ta’ala ne farmaya k Aap ko sikha den woh baaten jo Aap na jaantey they”..
(Tafseer-e-Rooh ul Bayaan, Jild#9, Matboo’a Dar ul Ehya ut Turas ul Arabi,
Beroot)
Imam Hussain Bin Mas’ood Bagwi (516) Hijri main likhtey hain:
Tarjuma: “
Ibn-e-Kesaan farmaatey hain! Is Aayat
main Insaan se murad Hazrat Muhammad (Sallalaho Alehe Wassallam) hain, aur
bayaan se murad jo kuch ho chukka hai, aur jo kuch honey waala hai, q k Huzoor
Nabi e Kareem (Sallalaho Alehe Wassallam) Awwaleen o Aakhareen aur Yom e Hashar
ki khabar detay hain”..
(Tafseer e Mu’allam ul Tanzeel, Jild#4, Page#267, Matboo’a Dar ul
Ma’arraffah, Beroot)
Imam Abi al Farj Abdur Rehman Bin Joozi 597 Hijri main likhtey hain:
Tarjuma: “
Insan se Murad Hazrat Muhammad (Sallalaho
Alehe Wassallam) hain, aur bayaan se murad hai jo kuch pehley ho chukka, aur jo
Aaendah honey waala hai, aur yeh Ibn e Keesaan ka Qol hai”.
(
زاد المسیر، ج ۸، ص 106، مطبوعہ
مکتب الاسلامی، بیروت)
Tafseer e Madarik main hai:
Tarjuma: Insaan se Murad Jins-e-Insaani hai, ya
Aadam (Aleh Salam) ya Huzoor (Aleh Salam)
(Tafseer e Madarik, Jild#2, Page#265, Matboo’a Maktaba tul Quran Wa Sunnah,
Peshwar)
Mu’allam ul Tanzeel main is Aayat k tehet hai:
Tarjuma: “
Kaha gaya k is Aayat main Insaan se murad Huzoor
(Sallalaho Alehe Wassallam) hain, aur bayaan se murad hai k Aap ko woh tamaam
Baaten sikhaen jo Aap na jaantey they”..
(Tafseer Mu’allam ul Tanzeel, Jild#4, Page#267, Matboo’a Dar ul Ma’arfah,
Beroot)
Allama Abu Abdullah Muhammad Bin Ahmed Maliki Qurtubi 668 hijri main
likhtey hain:
Tarjuma: “
Hazrat Ibn-e-Abbas (Razi ALLAH Anhu) aur
Ibn-e-Keesaan farmaatey hain, k yahaan Insaan se murad Tajdaar e Kaainat
(Sallalaho Alehe Wassallam) ki Zaat-e-Giraami hai, aur bayaan se Muraad Halaal
o Haraam aur Hidaayat o Gumrahi ko Juda karney waala Bayaan hai, aur yeh bhi
kaha gaya hai k is se murad jo kuch ho chukka aur jo aaendah hoga, q k Huzoor
(Sallalaho Alehe Wassallam) Awwalleen o Aakhareen aur Yom-e-Hashar ki khabar
detay hain”..
(Al Jami ul Ehkaam ul Quran, Jild#17, Page#152, Matboo’a Dar ul Ehya ut
turas ul Arabi, Beroot)
In Aayaton aur Tafaseer se Maloom huwa k Quran main sab kuch hai,
aur is ka saara Ilm Huzoor (Sallalaho Alehe Wassallam) ko Ata kiya gaya…
Aayat#13
Al-Quran
ما انت بنعمۃ ربک بمجنون۔
Tarjuma: “
Tum apney Rab k Fazal se Majonoon
nahin”..
(Parah#29, Surah#68, Aayat#2)
Tafseer e Rooh ul Bayan main isi Aayat k Ma-tehet hai:
Tarjuma: “
Yaani Aap se woh Baaten Chupi huwi nahin
hain, jo Azal main thin, aur jo Abad tak hongi, q k jin k Ma’enay (Meaning)
hain chupna, balkey Aap (Sallalaho Alehe Wassallam) us ko jaantey hain jo ho
chukka aur khabardaar hain us se jo hoga”..
(Tafseer-e-Rooh ul Bayaan, Jild#9, Page#340-341, Matboo’a Dar ul Ehya ut
Turas ul Arabi, Beroot)
Is Aayat o Tafseer se Ilm e Gaib e Kulli saabit huwa…
Aayat#14:
Tarjuma: "
Aur Ae MEHBOOB agar tum in se
puchoge, to kahenge k hum to Yun hi Hansi Khel main the".
(PARAH#10, SURAH#9, AAYAT#65)
Tafseer Dar Mansoor O Tarbi main isi Aayat k Ma Tehet:
Tarjuma: "
HAZRAT MUJAHID (Razi ALLAH Anho)
se riwayat hai, is Aayat k Nuzool k Baaray main hai k
Ek Munaafiq ne
kaha k MUHAMMAD (Sallalaho Aleh Wassallam) Khabar dete hain, k Falaan ki Oontni
(Camel) Falaan JANGAL main Hai, In ko GAIB ki kiya KHABAR".
( Al-Dur ul Mansoor Fi Tafseer, Al-Maasoor, SURAH TOBA, Aayat#65, Jild#3,
PAGE#456, Matboo'a Darul Qutub Ul ILMIYA, Beroot)
Bad Aqeedah logon se Darkhuwast hai k Baar baar parhen, k Ek
Munaafiq ne kaha tha k HUZOOR (ALEH SALAAM) ko GAIB ki Kiya khabar..
GUSTAAKHON tum b Munaafiqon k Aqaid pe chalte ho.. hosh karo.. ALLAH
ka KHOF karo..
IMAAM MUJAAHID Bin Jabar Al Makhzoomi At'Taba'i, 104 HIJRI main..
(Yaani Aaj se taqreeban 1300 saal pehle) likhte hain:
TARJUMA: "
IMAAM MUJAAHID (REHMATULLAH ALEH)
is Aayat ki Tafseer main Farmatay hain, k Ek MUNAAFIQ ne kaha MUHAMMAD (ALEH
SALAAM) humen yeh HADEES sunaate hain k FALAAN SHAKHS ki Oontni (Camel) FALAAN
Waadi main FALAAN FALAAN din hai, Yeh GAIB ko Kiya Jaanen".
(Tafseer MUJAAHID, Tehet, Surah TOBA, Aayat#66, JILD#1,PAGE#283, Matboo'a Al
Mansooraat, Ul ILMIYA, BEROOT)
IMAAM ABU JAAFAR BIN JAREER TIBRI 311 Hijri main IMAAM MUJAAHID
(REHMATULLAH ALEH) se Riwayat nakal karte hain:
Tarjuma: " Inhon ne farmaya k
Munaafiqeen main
se ek SHAKHS ne kaha k MUHAMMAD (ALEH SALAAM) hum se bayaan karte hain k FALAAN
ki Oontni Falaan Falaan Waadi main hai, Bhala woh GAIB ki Baaten kiya jaanen".
(Jaamay Ul Bayaan, Fi TAfseer Ul Qura'an, Al Maroon Tafseer Tibri, Surah
TOBA, Aayat#65, Jild#10, PAGE#196, Matboo'a Daarul Haya, Beroot)
Is Aayat aur Tafseer se Saaf Maaloom huwa k
HUZOOR (ALEH SALAAM) k GAIB se Inkaar karna MUNAAFIQEEN ka Kaam tha,
Jis ko QURA'AN ne Kufar qarar diya..
Imam Yousuf Bin Ismail Nibhaani (Rehmatullah Aleh) likhtey hain:
Tarjuma: “
Hazrat Moosa Bin Uqbah aur Arwah bayaan
kartey hain k Nabi Akram (Sallalaho Alehe Wassallam) Gazwah e Bani Mustalaq se
lotey to Madinah Shareef k Qareeb sakht Aandhi aai, Qareeb tha k Saara lashkar
Rait main Dab kar Dafan hojaata, Huzoor (Sallalaho Alehe Wassallam) ne farmaya,
Yeh Aandhi ek Munaafiq ki Moat k liye bheji gai hai (Yeh Ilm-e-Gaib nahin to
kiya hai ??),
chunaa chey hum Madinah Munwwarrah puhnchey to Munaafiqeen ka Sardar
Mar chukka tha, us Munaafiq ka naam Rafa’a Bin Zaid Bin Taaboot tha, Shaam k
waqt yeh Aandhi thi, to logon ne apni Sawariyon ko ikhatta kiya un main se Nabi
(Sallalaho Alehe Wassallam) ki Oontni Ghum ho chuki thi, jis ki wajah se logon
main us ki talash k liye Bhaag dor per gai, ek Munaafiq ne Ansaar ki majlis
main kaha Muhammad (Sallalaho Alehe Wassallam) to humen barey barey Waqiyat ki
khabaren deta hai, ab ALLAH inhen in ki Oontni k baarey main q nahin batata ??,
phir woh Munaafiq uth khara huwa, aur Nabi e Kareem (Sallalaho Alehe
Wassallam) k pass gaya taa k AAP (Sallalaho Alehe Wassallam) ki Guftugu suney
to us ne Dekha k ALLAH ne us ki yeh baat Huzoor (Sallalaho Alehe Wassallam) ko
bata di hai, us waqt Huzoor (Sallalaho Alehe Wassallam) ne farmaya, Jab k woh
Munaafiq sun raha tha k, “ek Munaafiq shakhs ne yeh Har’sah’zai ki hai k
Muhammad Rasool ALLAH (Sallalaho
Alehe Wassallam) ki Oontni Ghum hogai hai, ALLAH ab AAP (Sallalaho
Alehe Wassallam) ko q nahin bata deta k woh Oontni is waqt kahaan hai, Sun lo
ALLAH ne mujhey Aagah kar diya hai k woh Oontni is waqt kahaan hai?? Aur is
main koi shak nahin k koi Bizzat Gaib ki baaten nahin jaan sakta siwaey ALLAH
TA’ALA k (Yaani Atai Ilm-e-Gaib Huzoor ko hai),
Sun lo..! woh Oontni saamney ki Ghaati main hai, Aur us ki Muhaar ek
Darakht (Tree) main atki huwi hai, yeh sun kar log us Oontni k pass gae aur
usey pakar ker le aaey, woh Munaafiq bhaagta huwa un logon k pass aaya, jin ki
mojoodgi main us ney woh baat kahi thi, woh sab log usi jagah bethey they, un
main se koi bhi abhi tak uth ker kahin na gaya tha, Woh Munaafiq kehney laga,
“Main tumhen Qasam de ker puchta hun, k kiya tum main se koi abhi tak is majlis
main se utha nahin, aur woh baat ja ker kisi ne unhen batai hai ???, sab ne
kaha: “nahin , hum se koi abhi tak is majlis main se nahin utha”, woh shakhs
phir kehney laga: “Meri baat to Muhammad (Sallalaho Alehe Wassallam) bayaan
farmaa rahey they, Ba-khuda main ab tak Muhammad (Sallalaho Alehe Wassallam) k
Amar-e-Nabuwwat main Shak karta tha, main ab Gawahi deta hun k Muhammad ALLAH k
RASOOL hain”..
(Hajjatullah Ali ul Aalameen Fi Mujizaat Syed ul Mursaleen, Page#366,
Matboo’a Dar ul Qutub ul Ilmiyah, Beroot)
(Dalael un Nabuwwah, Imam Behki, Jild#4, Page#59-60, Matboo’a Dar ul Qutub
ul Ilmiyah, Beroot)
(Naeem
ur
Riyaz Fi Sharah Shifa ul Qazi Ayaz, Jild#4, Page#195, Matbooa’ Dar ul Qutub ul
Ilmiyah, Beroot)
(Sharah ul Allama ur Zarqani Ali ul Mawahib ul Ludniyah, Jild#7, Page#207,
Matboo’a Dar ul Ma’arfah, Beroot)
(Khasais ul Kubra, Jild#1, Page#391-392, Matboo’a Dar ul Qutub ul Ilmiyah,
Beroot)
Imam Abdul Malik Bin Hasshaam 213 Hijri main likhtey hain:
Tarjuma: “
Ek kehney waala kehta hai k Muhammad (Sallalaho Alehe Wassallam) yeh
Gumaan kartey hain k Aasmaan se in k pass WAhi ati hain magar woh yeh nahin
jaantey k un ki Oontni kahaan hai,
Qasam Ba-khuda! Main wohi jaanta hun jo ALLAH TA’ALA mujhey sikhaata
hai, ab us ne mujhey is Oontni k Mutalliq bata diya hai, woh is Ghaati main
hai, is ki Nakeel ek Darakht k saath uljhi huwi hai..
Sahaba-e-Karam (Razi ALLAH Anhu) us Ghaati main gaey unhon ne Wohi
Oontni ko paaya, Jahaan Huzoor (Sallalaho Alehe Wassallam) ne farmaya, aur
bilkul usi haalat main paya, jis tarah Huzoor (Sallalaho Alehe Wassallam) ne
farmaya tha”..
(Al Seerat un Nabwiyyah Al Maroof Seerat Ibn-e-Hasshaam, Jild#3,
Page#60, Matboo’a Dar ul Jeel, Beroot)
Imam Nibhani (Rehmatullah Aleh) likhtey hain:
Tarjuma: “
Aehki aur Abu Naeem Aasim Bin Umer
Qatadah (Razi ALLAH Anhu) se Riwaayat kartey hain k mujhey Ansar k kuch logon
ne bataya k Nabi e Kareem (Sallalaho Alehe Wassallam) ki Oontni Tabook ki jang
main Ghum hogai, to ek Munafiq jis ka Nifaaq Mashhoor o Maroof tha, us ne kaha
kiya Muhammad (Sallalaho Alehe Wasallam) Nabuwwat k Mud’ee nahin ?? Woh tumhen
Aasmaaan ki Khabren detay hain, Halaankey unhen Pata nahin k Oontni kahaan
hai??,
yeh sun ker Huzoor (Sallalaho Alehe Wassallam) ne farmaya, (Ammarah
Bin Hazan bhi us waqt wahaan Mojood tha) k ek Shakhs ne kaha k Muhammad
(Sallalaho Alehe Wassallam) tumhen Aasmaan ki khabren detay hain, halaankey
unhen Maloom nahin k khud in ki apni Oontni kahaan hai, Ba-khuda! Main to wohi
jaanta hun, jo Mujhey Khuda batata hai, ALLAH TA’ALA ne mujhey bata diya hai k
meri Oontni Falaan Ghaati main hai, is ki nakeel ek Darakht main Phansi huwi
hai, yeh sun ker Sahaba e Karam (Razi ALLAH Anhu) gaey, aur usey pakar ker le
aey, Ammarah Lot ker ghar aaey, aur Ahl-e-Khan ko Nabi (Sallalaho Alehe
Wassallam) ki Munaafiq k Mutalliq Guftugu bayan ki to ek Shakhs ne jo k Ammarah
k ghar main tha, bataya k waqai ek Munaafiq ne Aap k aaney se pehley yeh baat
ki thi”..
(Hujjatullah Ali ul Aalameen Fi Mujizaat e Syedul Mursaleen, Page#366,
Matboo’a Dar ul Qutub ul Ilmiyah, Beroot)
Is Aayat aur Tafseer se Saaf Maaloom huwa k HUZOOR (ALEH SALAAM) k
GAIB se Inkaar karna MUNAAFIQEEN ka Kaam tha, Jis ko QURA'AN ne Kufar qarar
diya..
Aayat#15:
فلا یظھر علی غیبہ احد الا من ارتضی من رسول۔
Tarjuma: "
Tu Apne GAIB par kisi ko Musallat
nahin karta siwae apne Pasandeedah Rasoolon k".
(Parah#29, Surah#72,Aayat#26)
Tafseer e Kabeer main isi Aayat k Tehet hai:
Tarjuma: “
Yani Qayamat k aaney ka waqt un Gaibon
main se hai jis ko ALLAH TA’ALA kisi per zaahir nahin farmaata, pas agar kaha
jaawey k jab tum ne is Gaib ko Qayamat per Mehmool ker liya to
ab Rab Ta’ala ne kesay farmaya, “magar PAsandeedah Rasoolon ko” halaankey yeh
Gaib to kisi per bhi zaaihr nahin kiya jaata, to hum kahengey k Rab Ta’ala
Qayamat k Qareeb zaahir farmaawey ga”..
(Tafseer-e-Kabeer, Jild#10, Page#678, Matboo’a Dar ul Ehya ut Turas ul Arabi,
Beroot)
Tafseer Azeezi main Isi Aayat k Ma Tehet, Page 173 pe hai:
Tarjuma: "
Jo cheez Tamaam MAKHLOOQAAT se
Gayab ho, Woh Gayab e Matlaq hai, jese Qayaamat k Aane ka Waqt, aur
Rozaana aur har cheez ki Pedaaishi aur Shar'ai Ehkaam aur Jese Parwardigaar ki
Zaat-O-Siffaat Bar Tareeq tafseel, is Qisam ko RAB TA'ALA ka Khaas GAIB kehte
hain. Pas Apne Khaas GAIB par woh kisi ko Matle'a nahin karta, Is k Siwa Jis ko
pasand farma de, aur Woh RASOOL hote hain, chahey Farishtey ki Jins se hon ya
INSAAN ki jins se, Jese HAZRAT MUHAMMAD (Sallalaho Alehe Wassallam) ko Apne
Ba'az GAIB Zaahir farmata hai".
Tafseer-E-Khaazan main isi Aayat k ma Tehet hai:
Tarjuma: "
Siwae is k Jis ko apni Nabuwat aur
Risaalat k liye Chun liya, pas Zaahir farmata hai, jis par Chahta hai GAIB, Taa
k inki Nabuwat par Daleel pakri Jaaway, in GAIB ki cheezon se jis ki woh Khabar
dete hain, Pas yeh in ka Mojaza hota hai".
( Al-baab ut Taaweel, Fi Maani U Tanzeel Ul Maaroof, Tafseer-E-Khazan,
JILD#4, Page#319, Matboo'a Darul Ma'arfah Beroot)
ROOH Ul BAYAAN main yahi Aayat:
Tarjuma: "
Ibn-E-SHIEKH ne farmaya k RAB
TA'ALA is GAIB par jo is se khaas hai, kisi ko Matle'a nahin farmata siwae
burgazeedah RASOOL k aur jo GAIB k RAB se KHAAS nahin, us par Ger RASOOL ko bhi
Matle'a farma deta hai".
(Tafseer ROOH Ul BAYAAN, JILD#10, Page#236, Matboo'a Darul Haya, Beroot)
Is Aayat aur In Tafaseer se Maaloom huwa k
KHUDA TA'ALA apne
Pasandeedah RASOOLON ko ILM-E-GAIB Ata karta hai.. Aur Sab se Ziyadah MEHBOOB
ALLAH k Nazdeeq, HAZRAT MUHAMMAD (Sallalaho Alehe Wassallam) hain..
to jo Bad Aqeedah log,
HUZOOR (ALEH SALAAM) ki Shaan kam karne ki
koshish karte hain.. unko ALLAH TA'ALA k Azaab se darna chahiye..
Aayat#16:
فاوحی الی عبدہ ما اوحی۔
Tarjuma: “Ab Wahi farmai apney bandey ko jo Wahi farmai”..
(Parah#27, Surah#53, Aayat#10)
Majarij un Nabuwwah Jild#1 main hai:
Tarjuma: “
Me’raj main RAB ne Huzoor (Sallalaho
Alehe Wassallam) per jo saarey Uloom aur Ma’arfat aur Basharaten aur Ishaarey
aur Khabren aur Karamaten o Kamalaat Wahi farmaey woh is Ibhaam main daakhil
hain, aur sab ko shaamil hain, in ki ziyaadati aur Azmat ki wajah se hi in
cheezon ko bator-e-Ibhaam zikar kiya , bayan na farmaya, is main is taraf
ishaarah hai k In Uloom e Gaibiyah ko siwaey Rab Ta’ala aur Mehboob (Aleh
Salam) k koi nahin Ihaata kar sakta, haan jis Qadar Huzoor ne bayan farma diya
woh Maloom hai”..
(Madarij un Nabuwwah Farsi, Jild#1, Page#170, Matboo’a Nooriyah Rizawiyah,
Publishing Bilal Ganj, Lahore)
Is Aayat aur Ibaarat se Maloom huwa k
Me’raj main Huzoor (Sallalaho
Alehe Wassallam) ko woh uloom ata huwey jin ko na koi bayan
kar sakta hai ,aru na kisi k khayal main aasaktey hain, Maakaan o Maayakoon to
sirf Bayaan karney k liye hai warna is se bhi kahin ziyaadah ki ata huwi..
Aayat#17:
وما ھو علی الغیب بضنین۔
Tarjuma: "
Aur yeh NABI, GAIB batane
main Bukheel nahin".
(Parah#30, Surah#81, Aayat#24)
Yeh jab hi hosakta hai, Jab
HUZOOR (ALEH SALAAM) ko ILM-E-GAIB ho,
aur HUZOOR (ALEH SALAAM) logon ko is se Matle'a farma dete hon.
Mu'aalim U Tanzeel main isi Aayat k Ma tehet hai:
Tarjuma: "
HUZOOR (ALEH SALAAM) GAIB aur
Aasmani Khabron par aur in Khabron aur Qisson par Bukheel nahin hain. Muraad
yeh hai k HUZOOR (ALEH SALAAM) k Pass GAIB aata hai, pas woh is main tum par
Bukhal nahin karte, Balkey tumhen Sikhate hain, aur Tum ko KHABAR dete hain,
Jese k Kaahin chupate hain, wese nahin Chupaate".
(Mu'aalim U Tanzeel, JILD#4, PAGE#422, Matboo'a Darul Kitaab Ul Ilmiya,
Beroot)
Tafseer-E-Khazan main hai:
Tarjuma: "
Muraad yeh hai k HUZOOR (ALEH
SALAAM) k pass ILM-E-GAIB aata hai, to tum par is main Bukhal nahin farmate,
Balkay tum ko Sikhate hain".
( Lubaab U Taaweel , Al Tanzeel Ul Ma'aroof, Tafseer-E-Khazan, JILD#4,
PAGE#357, Matboo'a Darul Ma'arfatah, Beroot)
Is Aayat o Ibaarat se Maaloom huwa k
HUZOOR (ALEH SALAAM) logon ko
ILM-E-GAIB sikhate hain. Aur Sikhae ga wohi, jo khud jaanta hoga..
Aayat#18:
وعلمنہ من لدنا علماً۔
Tarjuma: "
Aur inko apna ILM-E-LADNI Ata kiya,
(Yaani HAZRAT KHIZAR ko)".
(Parah#15, Surah#18, Aayat#65)
Tafseer e Be-Zaawi main hai:
Tarjuma: "
HAZRAT KHIZAR (ALEH SALAAM) ko woh
ILM sikhae jo, hamare saath Khaas hain, bager hamare batae koi nahin jaanta aur
woh ILM-E-GAIB hai".
(Tafseer-E-Be Zaawi, JILD#3, PAGE#510, Matboo'a Darul fikar, Beroot)
Tafseer IBN-E-JAREER main ABDULLAH IBN-E-ABBAS se Riwayat hai:
Tarjuma: "
HAZRAT KHIZAR (ALEH SALAAM) ne
farmaya tha, HAZRAT MOOSA (ALEH SALAAM) se k tum mere saath Sabar na kar sako
ge, Woh KHIZAR, ILM-E-GAIB jaante the, k Unhon ne Jaan liya".
(Jaame Ul Bayaan, Fi Tafseer Ul Qura'an, Al Ma'aroof, Tafseer Tibri,
JILD#15, PAGE#323, Matboo'a Darul Haya, Beroot)
ROOH UL BAYAAN main hai:
Tarjuma: "
HAZRAT KHIZAR ko jo Ladni ILM
sikhaya gaya,
woh ILM-E-GAIB hai aur is GAIB k Muta'alliq Khabar dena hai, KHUDA k Hukum se,
jese us taraf IBN-E-ABBAS (RAZI ALLAH ANHU) gae hain".
(Tafseer-e-ROOH Ul Bayaan, JILD#5, PAGE#321, Matboo'a Darul Haya, Beroot)
Tafseer-E-Madarik main hai:
Tarjuma: " Yaani
HAZRAT KHIZAR ko GAIB
ki khabren din, aur kaha gaya
hai, k ILM-E-LADNI woh hota hai, jo banday ko ILHAAM k Tareeqay par haasil ho".
(Tafseer-E-Madaarik, JILD#2, Page#22, Matboo'a Maktab Ul Qura'an, Peshaawar)
Tafseer-E-KHAAZAN main isi Aayat k tehet hai:
Tarjuma: " Yaani
HAZRAT KHIZAR ko ILM-E-BAATIN
ILHAAM k Tareeqay par Ata farmaya".
Is Aayat O Tafseeri Ibaarton se Maaloom huwa k
RAB TA'ALA ne HAZRAT
KHIZAR ko bhi ILM-E-GAIB Ata farmaya tha, jis se Laazim Aya k HUZOOR (ALEH
SALAAM) ko bhi ILM-E-GAIB Ata huwa,
Q k
Aap (Sallalaho Alehe Wassallam) Tamaam Makhlooqaat-E-ILAHI main
sab se ziyaada Afzal aur AALIM (Yaani ILM waalay) hain, aur HAZRAT KHIZAR (ALEH
SALAAM) bhi Makhlooq hain..
Aayat#19:
وکزلک نری ابراھیم ملکوت السموت والارض۔
Tarjuma: “Aur isi tarah
hum Ibraahim ko dikhatey
hain, saari Badshahi Aasmaanon ki aur Zameen ki”..
(Parah#7, Surah#6, Aayat#75)
Tafseer-e-Khazin main isi Aayat k tehet hai:
Tarjuma: “
Hazrat Ibrahim (Aleh Salam) ko
sakhrah per khara kiya gaya aur un k liye
Aasmaan khol diye gaey,
yahaan tak k unhon ne Arsh o Kursi aur jo kuch Aasmaanon main hai dekh liya,
aur Aap k liye Zameen khol di gai, yahaan tak k unhon ne Zameenon ki Neechi Zameen
aur un Ajaebaat ko dekh liya jo Zameenon main hain..
(Al-bab ul Taaweel Fi Ma’ani ul Tanzeel al Maroof tafseer-e-Khazin, Jild#2,
Page#126, Matboo’a Dar ul Qutub ul Ilmiyah, Beroot)
Tafseer-e-Madarik main isi Aayat k Tehet hai:
Tarjuma: “Mujaahid ne farmaya k
Ibrahim (Aleh
Salam) k liye Saton (7) Aasmaan khol diye gaey, pas unhon ne dekh liya, jo kuch
aasmaanon main hai, yahaan tak k unki Nazar Arsh tak Puhanch gai, aur un k liye
Saat (7) Zameenen kholi gain, k unhon ne woh cheezen dekh lin jo zameenon
main hai”
(Tafseer-e-Madarik, Jild#1, Page#373, Matboo’a Maktaba tul Quran wal Sunnah,
Peshawar)
Rooh ul Bayan main isi aayat k tehet hai:
Tarjuma: “
Ibrahim ko Aasmaan o Zameen k Ajaebaat o
Garaebaat dikhaey, aur Arsh ki bulandi se le kar Teh-tus-Sara tak khol diya”..
(Tafseer-e-Rooh ul Bayan, Jild#3, Page#72, Matboo’a Dar ul Ehya ut Turas al
Arabi, Beroot)
Tafseer-e-Ibn-e-Jareer Ibn-e-Abi Hatim main isi Aayat k
Ma-tehet hai:
Tarjuma: “
Hazrat Ibrahim per khuli o Posheedah
tamaam Cheezen khul gain, pas un per Makhlooq k Aamaal main se kuch bhi chupaa
na raha”..
(Jame’ul-Bayan Fi Tafseer ul Quran Al Maroof Tafseer e Tabri, Jild#247,
Matboo’a Dar ul Ehy t Turas al Arabi, Beroot)
Tafseer-e-Kabeer main hai:
Tarjuma: “
ALLAH TA’ALA ne Hazrat Ibrahim
(Aleh Salam) k liye Aasmaanon ko cheer diya, yahaan tak k unhon ne Arsh o kursi
aur jahan tak Jismaani Ilm ki foqiyat khatam hoti hai dekh liya, aur woh Ajeeb
o Gareeb cheezen bhi dekh lin jo Aasmaanon main hain, aur woh ajeeb o gareeb
cheezen bhi dekh lin jo Zameen k Pait mai hain”..
(Tafseer e Kabeer, jild#5, Page#35, Matboo’a dar ul ehya ut turas ul arabi,
beroot)
Is Aayat aur in tafseeri ibaraat se maloom huwa k
az Arsh ta
Teh-tus-sura Hazrat Ibrahim (Aleh Salam) ko dikaey gaey aru Makhlooq k Aamaal
ki bhi in ko Khabar di gai, aur Huzoor (Sallalaho Alehe Wassallam) ka Ilm in se
kahin ziyadah hai, to Maanna parega k Huzoor (Sallalaho Alehe Wassallam) ko bhi
yeh Uloom Ata huwey..
Khayal rahye hai k
Arsh k Ilm main Looh e Mehfooz bhi aagaya aur
Looh e Mehfooz main kiya likha hai, is ko hum pehley hi bayaan ker chukey
hain, Lihaazah Makaan o Mayakoon ka Ilm to unhen bhi haasil huwa aur
Ilm-e-Ibraahimi aur Ilm e Hazrat Aadam (Aleh Salam) Huzoor (Sallalaho alehe
Wassllam) k Ilm k Dariya ka Qatrah hain..
Aayat#20:
Yousuf (Aleh Salam) ne farmaya:
لایاتیکما طعام ترزقانہ الا نباًتکما
بتاًویلہ۔
(Parah#12, Surah#12, Aayat#37)
Is ki tafseer Rooh ul Bayan o Kabeer o Khazin main hai, is k Maeney
(Meaning) yeh hain k
main tumhen khaaney k Guzishta o Aaendah k saarey
halaat bata sakta hun k Galla kahaan se aaya aur ab kahaan jaega,
Tafseer e Kabeer ne to farmaya k
yeh bhi bata sakta hun k yeh Khana
Naf’aa de gay ya Nuqsan, yeh cheezen woh hi bata sakta hai, jo her Zarrey ki
khabar rakhta ho, phir farmaatey hain..
ذلکما مما علمنی ربی۔
Tarjuma: “Yeh Ilm to meray Uloom ka Baaz Hissa hai”..
(Parah#12, Surah#12, Aayat#37)
Ab Bataow k
Huzoor (Sallalaho Alehe Wassallam) ka Ilm kitna hoga ??
Ilm e Yousufi to Ilm e Mustafa k samander ka Qatrah hai…
Aayat#21:
Hazrat Eesa (Aleh Salam) ne Farmaya:
Tarjuma: “
Main tumhen bata sakta hun jo kuch tum
apney gharon main khaatey aur jo kuch jama kartey ho”..
(Parah#3, Surah#3, Aayat#49)
Imam Ali Bin Muhammad Al Khazin 765 Hijri main likhtey hain:
Tarjuma: “
Aap dekho khana Ghar main khaya aur
rakha gaya,
jahaan Hazrat Eesa (Aleh Salam) Mojood nahin they, aur is ki Khabar Aap baahir
de rahey hain, Yeh hai Ilm-e-Gaib”
(Al-Baab ul Taweel Fi Ma’ani ul Tanzeel, Al-Maroof, Tafseer e Khazin,
Jild#3, Page#19, Matboo’a Dar ul Ma’arfah, Beroot)
(Yeh upper jo ibaarat likhi gai yeh
aaj se 700 saal pehley ki hai,
aur is main saaf saaf Ilm-e-Gaib k alfaaz Hazrat Eesa k liye istimal kiye gaey,
kisi Molvi ne is Ibaarat pe Shirk ka Fatawa q na lagaya ???)
Imam Ali Bin Muhammad Al Khazin 765 Hijri main is k baad hi likhtey
hain:
Tarjuma: “Yaani
main tumhen is ki Miqdar, is ka
rang aur puhanchney ka waqt khana puhanchney se Qabal hi bata dunga aur yeh k
konsa khana tum ne kab aur kitna khaya hai tumhen is ki bhi khabar dunga”..
(Al-baab ul taweel fi Ma’ani ul Tanzeel al Maroof tafseer al Khazin)
Imam Abdul Maalik bin Hasshaam 213 Hijri main likhtey hain:
Tarjuma: “Aayat se murad woh Mojizaat hain, jo
Hazrat
Eesa (Aleh Salam) k Dast-e-Aqdas se Zahoor pazeer hotey they, AAP (Aleh Salam)
Murdon ko Zindah kar detay they, woh mitti se Parindey ki shakal banatey phir
is per Phoonk maartey to woh ALLAH k Hukum se Parindah ban jaata, mareez ko
shifa’yab farmaa detay they, woh log jo kuch apney gharon main zakheerah kartey
they, AAP is k Mutalliq inhen bata detay bohat se Uloom-e-Gaibiyah ka izhaar
farmaatey”..
(Al-Seerat un Nabuwiyyah, Al-Maroof, Seerat Ibn-e-Hasshaam, Jild#3, Page#77,
Matboo’a Dar ul Jeel, Beroot)
(upper di gai ibaarat
213 Hijri main likhi gai (Yaani aaj
1200
saal pehley), aur is main saaf hai k
Hazrat Eesa (aleh Salam) Uloom e
Gaibiyah ki khaber detay they, aur zaahir hai
insaan Gaib ki
khaber tab hi dega jab us ko khud Gaib ka Ilm hoga, (
Yaani
Ilm-e-Gaib hoga), ab jab
Hazrat Eesa (aleh Salam) ko ALLAH ki
Ata se Ilm-e-Gaib haasil hai, to
Huzoor (Sallalaho Alehe
Wassallam) k pass bhi Attai Ilm-e-Gaib manna hoga, q k Huzoor (Sallalaho Alehe
Wassallam) ko ALLAH ki ata se tamaam Makhlooqaat se ziyadah Ilm hai…)
Imam Abdur Razzaak Bin Hamaam San’aani 211 Hijri main
Riwaayat kartey hain:
Tarjuma: “
Qatadah (Rehmatullah Aleh) is
Aayat e Kareemah k tehet farmaya,
Main tumhen Khabar deta hun un
cheezon ka jo tum khaatey ho, aur jo tum Dastarkhuwaan main bachatey ho”..
(Tafseer-e-Abdur Razzaak, Jild#1, Page#121-122, Matboo’a Maktaba-tur-Rushd-ul-Riyaz)
Imam Fakher ud Deen Raazi 606 Hijri main likhtey hain:
Tarjuma: “Is Aayat ki tafseer main Do (2) Qol hain,
Pehla yeh k
AAP ne pehli mertabah
Gaiyoob (Gaib ki
Jama) ki khabar us waqt di (Sadi ne Riwaayat ki) k
jab AAP
Bachon k saath Kheltey phir unhen un k Waalden k Af’aal ki Khabar detay,
AAP Bachey ko khabar detay k us ki Maa ne Fulaan shey (Cheez) us k
liye Fulaan jagah Chupa ker rakhi hai, bacha ghar aata aur Ro Ro ker woh Shey
haasil kar leta,
un logon ne (Yaani un bachon k Maa Baap ne) Bachon se kaha k us
Jaadugar k saath na khela Karen, unhon ne tamaam Bachon ko ek Makaan main Jama
ker diya,
Hazrat Eesa (Aleh Salam) ne in se Bachon k baarey main dariyaaft
farmaaya to unhon ne kaha k woh is makaan main nahin hain,
AAP ne (Yaani Hazrat Eesa ne) ne pucha k acha phir is Makaan main
kiya hai, to unhon ne (Yaani Maa Baap ne) kaha k is Makaan main Khinzeer hain,
AAP (Hazrat EESA) ne farmaya, k aesa hi hoga, phir jab Makaan ko
dekha gaya to
dekha k woh Bachey Khinzeer ban chukey they…
Dusra Qol yeh hai k AAP (Hazrat Eesa) ka Mojizah e Akhbar-e-Gaib
Ba-waqt-e-Nuzool e Maedah zaahir huwa,
woh aesay k AAP (Hazrat Eesa) ki Qom ko (Maedah) k Jama karney aur
Zakheerah karney se Mana kiya gaya tha, is k Ba-wajood woh log jama kar liya
kartey they, Hazrat Eesa (Aleh Salam) unhen is ki khabar diya kartey they”..
(Al-Tafseer-e-Kabeer, Jild#8, Page#57, MAtboo’a Dar ul Fikar Beroot)
Imam Ali bin Muhammad Al-Khazin 765 Hijri main likhtey hain:
Tarjuma: “
Aur main tumhen batata hun jo kuch tum
kha ker aaey yaani us Shey (Cheez) k baarey main batata hun jisey menay dekha
bhi nahin aur jo kuch tum apney Gharon main jama kartey ho, yaani jo kuch tum
aendah kal k liye jama kartey ho, kaha gaya k Hazrat Eesa (Aleh Salam) kisi
Shakhs ne jo Guzishta kal khaya tha aur jo aaj khaey ga, aur jo Raat k khaney k
liye Jama karey ga sab ki khabar de detay they”..
(Al Baab ul Taweel fi Ma’ani ul tanzeel al maroof tafseer-e-Khazin, Jild#1,
Page#237, Matboo’a Dar ul Ma’arfah, Beroot)
Haaifz Imaad ud deen ismail bin umar bin Kaseer 774 Hijri main
likhtey hain:
Tarjuma: “
Main tumhen us se shey (Cheez) ki khabar
deta hun jo tum main se kisi ne abhi abhi khaai hai, aur us shey (Cheez) ki bhi
jo aaendah kal k liye zakheerah ki hai”..
(Tafseer-e-Ibn-e-Kaseer, Jild#1, Page#365, Matboo’a Dar ul Fikar, Beroot)
Imam-e-Kabeer Muhaddis Sha’heer Hafiz Hadees Abu Na’eem Ahmed Bin
Abdullah Asfahaani 430 Hijri main riwaayat kartey hain:
“ Ager kaha jaey k
Hazrat Eesa (Aleh Salam) Gaib ki khabar diya
kartey they aur woh sab kuch batla detay jo log gharon main khaa ker aatey aur
jo kuch ghar main chor ker aatey they to Nabi e Kareem (Sallalaho alehe
Wassallam) ne is se bhi kahin Ajeeb ter Khabren di hain (Yani Gaib ki khabren
di hain),
q k
Hazrat Eesa (aleh Salam) to yahi batlaatey they k log ghar ki
deewari k peechey kiya khatey aur kiya chor ker aatey hain, magar Nabi e Kareem
(Sallalaho Alehe Wassallam) ek Maah (Month) ya is se bhi ziyadah Musaafat per
waaqey honey waaley Hawadis se aagahi de detay they,
jesay AAP ne nijaashi k Wisal aur Gazwa-e-Mo’ta main Zaid Jaafer aur
Abdullah Bin Rawah (Razi ALLAH Anhum) ki shahadat ki it’tala di, basa auqaat
AAP k pass koi shakhs kuch puchney aata to AAP farmaatey agar tum chaho to main
tumhen batla dun k tum kiya sawal karna chahtey ho”..
(Dalael un Nabuwwah-tul-abi Na’eem Asfahaani Urdu, Page#551-552, Matboo’a
Ziya ul Quran Publications Lahore)