Monday, 7 April 2014

الصور في الإسلام
 
PICTURES IN ISLAM 
  
 
In view of unprecedented development in print and electronic media, particularly TV, Internet and Video phones, it is important that we  understand the issue of 'pictures' in Islam in its proper perspective.
The opinions of Islamic scholars are divided on this subject.  We have explained below important facts  in this context in the light of Quran and Ahadith.

 

AS PER QURAN
DRAWING / TAKING / HANGING OF PICTURES FOR GOOD PURPOSES IS ALLOWED IN ISLAM
  

(1) It is in Quran -   وَاتَّخَذَ قَوْمُ مُوسَىٰ مِن بَعْدِهِ مِنْ حُلِيِّهِمْ عِجْلًا جَسَدًا لَّهُ خُوَارٌ ۚأَلَمْ يَرَوْا أَنَّهُ لَا يُكَلِّمُهُمْ وَلَا يَهْدِيهِمْ سَبِيلًا ۘ اتَّخَذُوهُ وَكَانُوا ظَالِمِينَ (Meaning - The people of (Prophet) Musa ( علیھ السلا م ) made in his absence, out of their ornaments, the image of calf, (for worship): it seemed to low: did they not see that it could neither speak to them, nor show them the way? They took it for worship and they did wrong. (Al-Araf - 148).
(2) It is in Quran -   وَلَقَدْ آتَيْنَا إِبْرَاهِيمَ رُشْدَهُ مِن قَبْلُ وَكُنَّا بِهِ عَالِمِينَ-  إِذْ قَالَ لِأَبِيهِ وَقَوْمِهِ مَا هَـٰذِهِ التَّمَاثِيلُ الَّتِي أَنتُمْ لَهَا عَاكِفُونَ - قَالُوا وَجَدْنَا آبَاءَنَا لَهَا عَابِدِينَ- قَالَ لَقَدْ كُنتُمْ أَنتُمْ وَآبَاؤُكُمْ فِي ضَلَالٍ مُّبِينٍ    (Meaning - We bestowed aforetime on Abraham ( علیھ السلا م ) his righteousness of conduct, and well were We (Allah - swt) acquainted with him. Behold! He (Abraham -  علیھ السلا م ) said to his father  (the brother of his father whom he used to call father out of affection) and his people, "What are these images, to which you are (so assiduously) devoted?" They said, "We found our fathers worshiping them." He said, "Indeed you have been in manifest error, you and your fathers." (Al-Anbiya - 51-54).
(3) It is in Quran  -   يَعْمَلُونَ لَهُ مَا يَشَاءُ مِن مَّحَارِيبَ وَتَمَاثِيلَ وَجِفَانٍ كَالْجَوَابِ وَقُدُورٍ رَّاسِيَاتٍ ۚ اعْمَلُوا آلَ دَاوُودَ شُكْرًا ۚ وَقَلِيلٌ مِّنْ عِبَادِيَ الشَّكُورُ  ( Meaning - They worked for him (Prophet Sulaiman - علیھ السلا م) as he desired, (making) arches, images, basins as large as reservoirs, and (cooking) cauldrons fixed (in their places):"Work O'Sons of David (علیھ السلا م)with thanks! but few of My servants are grateful!". (Saba - 13).

The first Quranic verse says that in the absence of  Prophet Musa ( علیھ السلا م ) some people made an image of a Calf for worship.  This act on their part was wrong.
The second Quranic verses say that some people in Prophet Ibrahim's ( علیھ السلا م ) time made some images and worshiped them.  This act on their part was wrong.
The third Quranic verse says that some people worked as per the orders of Prophet Sulaiman ( علیھ السلا م ) and made images.  This act on their part was right.  Why?  Because these images were not meant for worship.
The above Quranic verses confirm the fact that the intention behind making images has to be virtuous.  Images made with bad intention (for worship) are disallowed and images made out of good intention are allowed in Islam.

 

AS PER AHADITH
DRAWING / TAKING PICTURES OR EVEN MAKING  DOLLS (HUMAN OR ANIMAL SHAPES) FOR GOOD PURPOSES IS ALLOWED IN ISLAM
  
(1) It is in Hadith - Narrated by Ummul Momineen Aisha (رضئ اللہ تعالی عنہا) - "I used to play with dolls in the presence of the Prophet (صلى الله عليه و آله وسلم) and my girl friends also used to play with me. When Allah's Apostle (صلى الله عليه و آله وسلم) used to enter (my dwelling place) they used to hide themselves, but the Prophet (صلى الله عليه و آله وسلم)   would call them to join and play with me.  (Bukhari).  
(2) It is in Hadith - Narrated by Ummul Momineen Aisha (رضئ اللہ تعالی عنہا) "When the Apostle of Allah (صلى الله عليه و آله وسلم) arrived after the expedition of Tabuk or Khaybar (the narrator is doubtful), the drought raised an end of a curtain which was hung in front of her store-room, revealing some dolls which belonged to her. He asked: What is this? She replied: My dolls. Among them he saw a horse with wings made of rags, and asked: What is this I see among them? She replied: A horse. He asked: What is this that it has on it? She replied: Two wings. He asked: A horse with two wings? She replied: Have you not heard that Solomon had horses with wings? She said: Thereupon the Apostle of Allah (صلى الله عليه و آله وسلم) laughed so heartily that I could see his molar teeth. (Abu Dawud).
From above Ahadith, we can draw the following conclusions.
(1) Pictures drawn, taken or even making shapes of human beings or animals is allowed in Islam provided they are made for some good purpose; even as play things for  children.
(2) Pictures can be drawn in text books / drawing books / black boards, etc.,  to explain various subjects to students.
(3) Pictures can be drawn / taken  for scientific and technological research and education at Colleges, Universities and laboratories.
(4) Human / Animal models can be made for scientific research and education.
(5) Medical fraternity can work on dead bodies of humans and animals for their education and research.  They can record their findings by way of pictures.
(6) Pictures can be taken and used for Passports / I-Cards  / Driver licenses / social security and a host of other requirements.
(7) Pictures of Islamic scholars / Shuyooks can be drawn / printed in books for identification.  
(8) Islamic scholars / Shuyooks can appear on TVs, Internet and Videophones to explain Islamic issues to people.
(9) Pictures can be taken for security purposes.  Surveilance cameras can be placed at places where there is risk of theft and/or life security of the people.
(10) Pictures of family members can be drawn / taken with the help of a Camera.  Since these pictures are used as a remembrance for the following generations, these can be  hanged on walls.    
(11) As we respect our elders, similarly, we  must respect their pictures. No one would like to place picture of his father / Shaikh on the floor and walk over it.  This will be a show of utmost disrespect. Reverence is different from worship.  Some people argue that reverence is the first step, which is usually followed by worship.  This argument does not hold good for Muslims because  they clearly know the difference between reverence and worship.  It is in Sahih Ahadith (Bukhari, Muslim and others)  that we can kiss hands and feet of our parents and Shaikhs as a mark of respect (Refer many Ahadith in Adab al Mufrad written by Imam Bukhari - رضئ اللہ تعالی عنہ) . This is a show of reverence which has been allowed in Islam.  While kissing the feet, our posture becomes almost similar to 'prostration'. However, there is a difference between prostration and kissing of feet.
It is in Hadith - Prophet Mohammad (صلى الله عليه و آله وسلم)said "the deeds of a person depends upon his intention'. Therefore when we are bowing in front of our Shaikh to kiss his feet, our intention is 'to kiss his feet' (not prostrate), which is allowed in Islam.  Prostration of reverence is prohibited in Islam but kissing of feet of our elders /religious shuyooks is sunnah which is proved from many Ahadith. 
It is in Hadith - Hazrat Ali (رضئ اللہ تعالی عنہ) kissed the hands and feet of Hazrat Abbas (رضئ اللہ تعالی عنہ) (Bukhari - Adab Al Mufrad, Hadith No. 976). 
Similarly, we should also respect the pictures of our parents and Shuyooks and can hang them on the walls of homes / offices for their remembrance and reverence.
In Saudi Arabia we see the pictures of their kings hanging on the walls of every Government office, Universities and importance buildings.  This is done as  remembrance and a mark of respect and reverence to their kings.  We also see all Saudi/Salafi newspapers publishing the pictures of their Ulema/people/royal family members freely on print media/newspapers/internet.
We also see live pictures of Masjid Al-Haram and Masjid-e-Nabawi Shareef five times a day during congregational prayers there.  During these telecasts, Muslims all over the world see live pictures of Rawda-e-Rasool (Sallallahu Alaihi wa Aalihi Wa Sallam) and Khana-e-Kab'a, and thousands of people live video praying  5  times a day on their televisions.  Similarly Hajj is broadcasted live on TV stations all over the world.
 Muslims all over the world hang pictures of Prophet Mohammad's(صلى الله عليه و آله وسلم) Green Dome, Masjid-e-Nabawi, Ka'abatullah, Dargah of Awliya Allah and Shuyooks on the walls of their homes and office as remembrance and mark of respect and reverence. Whenever they look at these pictures, they get reminded of Allah Ta'ala and Prophet Mohammad (صلى الله عليه و آله وسلم) which helps them in strengthening their religious bond and their commitment to do virtuous deeds. 
   
 

CORRECT UNDERSTANDING OF AHADITH

Many of us will be surprised to know that Prophet Mohammad (صلى الله عليه و آله وسلم) never had to pay Zakat. Why, because, the Prophet (صلى الله عليه و آله وسلم) never kept anything for himself or his family that entitles him to pay Zakat. Whatever (money) the Prophet (صلى الله عليه و آله وسلم)had in his hand, he used to give to the needy on the same day. Similarly, Prophet Mohammad (صلى الله عليه و آله وسلم) used to stand in prayers during nights and it is in Ahadith that his feet used to get swelled.  Prophet (صلى الله عليه و آله وسلم) used to keep continuous fast, sometimes 5 days or more in a row. Sahaba (رضئ اللھ تعالی عنہم اجمعین) tried to emulate, but could not do so. Prophet Mohammad (صلى الله عليه و آله وسلم) did not like to wear costly clothing. Most of the time he and his family members used to wear simple cloths. Also Prophet (صلى الله عليه و آله وسلم) did not like his family members keep costly things at homes.     

(1) It is in Hadith -  Narrated Ibn Umar: Once the Prophet (صلى الله عليه و آله وسلم) went to the house of Fatima (رضئ اللہ تعالی عنہا) but did not enter it. 'Ali (رضئ اللہ تعالی عنہ) came and she told him about that. When 'Ali (رضئ اللہ تعالی عنہasked the Prophet (صلى الله عليه و آله وسلم) about it, he said, "I saw a  (multicolored) decorated curtain on her door. I am not interested in worldly things."  'Ali (رضئ اللہ تعالی عنہwent to Fatima (رضئ اللہ تعالی عنہا) and told her about it. Fatima (رضئ اللہ تعالی عنہا) said, "I am ready to dispense with it in the way the Prophet (صلى الله عليه و آله وسلم) suggests." The Prophet (صلى الله عليه و آله وسلم) ordered her to send it to such-and-such needy people."  (Bukhari - Book #47, Hadith #783).
The above Hadith clearly establishes the fact that though Prophet Mohammad (صلى الله عليه و آله وسلم) did not like his daughter Fatima (رضئ اللہ تعالی عنہا) to use the  decorated curtain, but he gave it to a needy Sahabi for use.  This shows that using of decorated curtain is not forbidden (Haraam) in Islam.  However, Prophet (صلى الله عليه و آله وسلم)preferred that his family members maintain utmost simplicity as far as possible.

(2) It is in Hadith - Narrated Busr bin Said(رضئ اللہ تعالی عنہ): That Zaid bin Khalid Al-Juhani (رضئ اللہ تعالی عنہ) narrated to him something in the presence of Said bin 'Ubaidullah Al-Khaulani (رضئ اللہ تعالی عنہ) who was brought up in the house of Ummul Momineen Maimuna (رضئ اللہ تعالی عنہا). Zaid(رضئ اللہ تعالی عنہ) narrated to them that Abu Talha (رضئ اللہ تعالی عنہ) said that the Prophet (صلى الله عليه و آله وسلم) said, "The Angels (of Mercy) do not enter a house wherein there is a picture." Busr (رضئ اللہ تعالی عنہ) said, "Later on Zaid bin Khalid (رضئ اللہ تعالی عنہ) fell ill and we called on him. To our surprise we saw a curtain  decorated with pictures in his house. I said to Ubaidullah Al-Khaulani (رضئ اللہ تعالی عنہ), "Didn't he (i.e. Zaid- رضئ اللہ تعالی عنہ) tell us about the (prohibition of) pictures?" He said, "But he excepted the embroidery on garments. Didn't you hear him?" I said, "No." He said, "Yes, he did."  (Bukhari - Book # 54, Hadith # 449).
The above Hadith establishes the fact that Sahaba used decorated curtains with pictures in their houses which was allowed by Prophet Mohammad  (صلى الله عليه و آله وسلم).
  
(3) It is in Hadith - Narrated by Anas (رضئ اللہ تعالی عنہ). Ummul Momineen Aisha (رضئ اللہ تعالی عنہا) had a Qiram (a thin marked woolen curtain) with which she had screened one side of her home. The Prophet (صلى الله عليه و آله وسلم) said, "Take away this Qiram of yours, as its pictures are still displayed in front of me during my prayer"  (Bukhari - Book # 8, Hadith # 371).
The above Hadith establishes the fact that Prophet Mohammad (صلى الله عليه و آله وسلم) removed the curtain as the pictures on it were visible in front of him during the prayers.  If the pictures were Haram, then Prophet Mohammad (صلى الله عليه و آله وسلم) would not have allowed the curtain to remain there in the first place. 
 
(4) It is in Hadith - Narrated by Al-Qasim (رضئ اللہ تعالی عنہ): 'Ummul Momineen Aisha (رضئ اللہ تعالی عنہا) said that she hung a curtain decorated with pictures (of animates) on a cupboard. The Prophet (صلى الله عليه و آله وسلم) tore that Curtain and she turned it into two cushions which remained in the house for the Prophet (صلى الله عليه و آله وسلم)  to sit on. (Bukhari - Book # 43, Hadith # 659).
  
The above Hadith establishes the fact that though the curtain was tore, but it was used for cushions for the Prophet (صلى الله عليه و آله وسلم) which he used it.
 
(5) It is in Hadith - Ummul Momineen Aisha (رضئ اللہ تعالی عنہا) said: I stuffed for the Prophet (صلى الله عليه و آله وسلم) a pillow decorated with pictures which looked like a Namruqa (i.e. a small cushion). He came and stood among the people with excitement apparent on his face. I said, "O Allah's Apostle (صلى الله عليه و آله وسلم)! What is wrong?" He said, "What is this pillow?" I said, "I have prepared this pillow for you, so that you may recline on it." He said, "Don't you know that angels do not enter a house wherein there are pictures; and whoever makes a picture will be punished on the Day of Resurrection and will be asked to give life to (what he has created)?  (Bukhari - Book # 44, Hadith # 447)  
It is obvious that the pictures on the cushion were objectionable, therefore, the Prophet (صلى الله عليه و آله وسلم) declined to use that cushion.
  
In wahhabi/Salafi translations of that Hadith, they have added the word "animals" in brackets.  They translated the Hadith as follows:
"Ummul Momineen Aisha (رضئ اللہ تعالی عنہا) said: I stuffed for the Prophet (صلى الله عليه و آله وسلم) a pillow decorated with pictures (of animals) which looked like a Namruqa (i.e. a small cushion). "
In another Ahadith of Bukhari and also of other Aimma, we have described above that the Prophet (صلى الله عليه و آله وسلم) allowed Aisha(رضئ اللہ تعالی عنہا) to play with dolls which were made like humans and animals. And the Prophet (صلى الله عليه و آله وسلم) allowed her to play with them.
Therefore, it is obvious that  (in Hadith # 5 above) the pictures on the cushion were objectionable and this was the reason the Prophet (صلى الله عليه و آله وسلم) stopped using that cushion.

Also refer to Hadith # 4 above, it is clearly mentioned that the Prophet(صلى الله عليه و آله وسلم) used the pillow which contained animated pictures(Hadith Bukhari  Book 43 #, Hadith # 659).  
 
 

PICTURES DRAWN OR TAKEN FOR UNLAWFUL PURPOSES ARE FORBIDDEN IN ISLAM

The following Ahadith clearly specify prohibition of pictures drawn or taken for unlawful purposes like worship, immorality, hatred, satire, etc.
(1) It is in Hadith - Narrated by Ummul Momineen Aisha(رضئ اللہ تعالی عنہا) : Um Habiba (رضئ اللہ تعالی عنہا) and Um Salama (رضئ اللہ تعالی عنہا) mentioned about a Church they had seen in Ethiopia in which there were pictures. They told the Prophet (صلى الله عليه و آله وسلم) about it, on which he said, "If any religious man dies amongst those people (Christians) they would build a place of worship at his grave (considering him to be divine) and make these pictures in it. They will be the worst creature in the sight of Allah Ta'ala on the Day of Resurrection."  (Bukhari - Book #8, Hadith #419).
(2) It is in Hadith - Narrated by  Abu Juhaifa (رضئ اللہ تعالی عنہ): "I saw my father buying a slave whose profession was cupping, and ordered that his instruments (of cupping) be broken. I asked him the reason for doing so. He replied, "Allah's Apostle (صلى الله عليه و آله وسلم) prohibited taking money for blood, the price of a dog and the earnings of a slave-girl by prostitution; he cursed her who tattoos and her who gets tattooed, the eater of Riba (usury), and the maker of pictures (for bad purposes)". (Bukhari - Book #34, Hadith #440)
(3) It is in Hadith - Narrated by Ibn Abbas (رضئ اللہ تعالی عنہ): 'When the Prophet (صلى الله عليه و آله وسلم) saw pictures in the Ka'ba, he did not enter it till he ordered them to be erased. When he saw (the pictures of Abraham - علیھ السلا م and Ishmael - علیھ السلا م carrying the arrows of divination), he said, "May Allah (Ta'ala) curse them (the Quraish)! By Allah, neither Abraham (علیھ السلا مnor Ishmael (علیھ السلا م)practiced divination by arrows."  (Bukhari - Book #55, Hadith #571).
(4) It is in Hadith - Narrated by Abdullah bin Umar (رضئ اللہ تعالی عنہ): Allah's Apostle (صلى الله عليه و آله وسلم) said, "Those who make these pictures (for worship) will be punished on the Day of Resurrection and it will be said to them. 'Make alive what you have created.'  (Bukhari - Book #72, Hadith #835). 
(5) It is in Hadith - Narrated by Said bin Abu Al-Hassan(رضئ اللہ تعالی عنہ) - "While I was with Ibn 'Abbas (رضئ اللہ تعالی عنہ)  a man came and said, "O father of 'Abbas (رضئ اللہ تعالی عنہ)! My sustenance is from my manual profession and I make these  pictures." Ibn 'Abbas (رضئ اللہ تعالی عنہ) said, "I will tell you only what I heard from Allah's Apostle (صلى الله عليه و آله وسلم). I heard him saying, 'Whoever makes a picture (for prohibited usage) will be punished by Allah Ta'ala till he puts life in it, and he will never be able to put life in it.' Hearing this, that man heaved a sigh and his face turned pale. Ibn 'Abbas  (رضئ اللہ تعالی عنہ) said to him, "What a pity! If you insist on making pictures, I advise you to make pictures of trees and any other un-animated objects."(Bukhari).
 
(6) It is in Hadith - "On the Day of Resurrection a neck will stretch forth from Hell; it will have two eyes to see, two ears to hear, and a tongue to speak. It will say, "I have been appointed to take care of three types of people: every arrogant tyrant, every person who called on some deity other than Allah Ta'ala and those who made (forbidden) pictures" (Tirmidhi) 
(7) It is in Hadith - Narrated by  Ummul Momineen Maymunah (رضئ اللہ تعالی عنہا) "One morning Allah's Messenger (صلى الله عليه و آله وسلم) was silent with grief. Ummul Momineen Maymunah (رضئ اللہ تعالی عنہا) said: Allah's Messenger (صلى الله عليه و آله وسلم), I find a change in your mood today. Allah's Messenger (صلى الله عليه و آله وسلم) said: Gabriel ( علیھ السلا م )  had promised me that he would meet me last night, but he did not meet me. By Allah, he never broke his promises; and Allah's Messenger (صلى الله عليه و آله وسلم) spent the day in this sad (mood). Then it occurred to him that there had been a puppy under their cot. He gave an order and it was turned out. He then took some water in his hand and sprinkled it on the place. When it was evening Gabriel ( علیھ السلا م ) met him and he said to him: You promised me that you would meet me the previous night. He said: Yes, but we do not enter a house in which there is a dog or a picture. So the very next morning he commanded the dogs to be killed. He announced that the dog kept for the orchards should also be killed, but he spared the dog used for the protection of extensive fields (or big gardens). (Muslim).
The above Hadith establishes the fact that keeping dogs as pets inside the houses is prohibited.  However, keeping dogs for self protection or protection of live stock and extensive fields / large gardens is allowed provided they are kept outside the house.
Similarly, hanging of pictures (of deities or  scantily clad film / sport persons or pictures which  are forbidden in Islam) are not allowed to be hanged on the walls of the house.
 
Why we do not have the picture of Prophet Mohammad (صلى الله عليه و آله وسلم) or other prominent Sahaba?  Why we all Muslims are so sensitive if someone draws an image of Prophet Mohammad (صلى الله عليه و آله وسلم)?
 
It is because Prophet Mohammad (صلى الله عليه و آله وسلم) did not permit  people to draw his picture.
   
There are some exclusive Awliya Allah in the world who have direct spiritual access to Prophet Mohammad (صلى الله عليه و آله وسلم) by way of unveiling (Kashf - spiritual vision) or otherwise. There are some others who see Prophet Mohammad (صلى الله عليه و آله وسلم) in their dreams.  However, no one attempts to draw the picture of Prophet Mohammad (صلى الله عليه و آله وسلم) because he did not allow it during his life time.
 
There are innumerable Sufi Shaikhs who never allowed their pictures drawn/taken.  Shaikh Mir Momin Ali Quadri (رحمة لله علىـہ) (father of Shaikh Mir Asedullah Quadri) never allowed his picture taken during his lifetime. It was once on the occasion of the marriage of his eldest son in 1971, a year before his death,  that someone took his picture while he was sitting on a chair.
 
Similarly, Shaikh Mohammad Badesha Mohiuddin Wajudi al-Qadri(رحمة لله علىـہ) (d -1943) who is the Shaikh of Hazrat Khaled Wajudi al-Qadri (رحمة لله علىـہ) (the Shaikh of Mir Asedullah Quadri), never allowed people to draw /take his picture during his life time.

However, other Shuyooks of Shaikh Mir Asedullah Quadri, viz., Hazrat Mohammad Abdul Qadeer Siddiqui (رحمة لله علىـہ) , Hazrat Khaled Wajudi Quadri (رحمة لله علىـہ) and Hazrat Hussain Shujauddin Siddiqui Quadri (رحمة لله علىـہ) allowed their picture taken and published during their life time.
 
Currently, some Islamic Scholars and Shuyooks like Shaikh Bashir Farooqi Qadri, Shaikh Akhter Raza Khan, Mufti Faiz Ahmed Owaisi, etc., do not like their pictures appear in public. However, there are many other scholars / Shuyooks who allow their pictures taken and published.  All of them are right in their actions. 
 
There is some serious debate among Ahle sunnah scholars on this issue in our times.  Differences of opinions among Ulema is tolerated in Islam, therefore this issue should not be allowed to create division among Ahle Sunnah in the world.
 

Friday, 31 January 2014

Ghair-Muqallideen Hazraat (Maujuda Firqa e Ahle Hadees ) Ki Apne Qadeem Ulema' Se Baghawat

Mohtaram Baraadaraan-E-Islaam..! Firqa (Naam Nihaad) Ahl-E-Hadees Me Shaamil Maujoodah Daur Ke Afraad, Mujtahideen Wa Fuqaha-E-Kiraam (Rahmatullahi Alaihim) Ke Sath Sath Apne Pichhle Buzrugo'n Aur Apni Hi Jama't Ke Bade Aur Qadeem Ulema' Se Bhi Baghavat Aur Unki Mukhalifat Par Utar Aaye Hain. Jiski Chand Misaalein Darj-E-Zail Hain.
(I)
1. Ghair-Muqallideen Ke Mash'hoor Wa Ma'roof Fitnah Parwar Aalim Muhammad Yusuf Jaipuri Sahab, Qiyaas Wa Ijtihaad Ki Buraayi Aur Shadeed Mazammat Karte Hue Tehreer Karte Hain: "Ibne Sireen (Rahmatullahi Alaih) Kehte Hain Ke Qiyaas Nahoosat Hai, Awwal-Awwal Jisne Qiyaas Kiya Wo Iblees Tha To Wo Halaak Hua." [Haqeeqatul Fiqh Page No. 89]
Is Kitab [Haqeeqatul Fiqh] Me Is Ghair-Muqallid Maulana Ne Qiyaas Ki Buraayi Par 10 Safahaat Siyaah Kiye Hain Aur Qiyaas Karne Walo'n Se Sakht Nafrat Ka Izhaar Kiya Hai.
2. Jama't Ghair-Muqallideen Ke Doosre Aalim Muhammad Joonagarhi Sahab Likhte Hain: "Har Wo Cheez Jo Qur'an Wa Hadees Ke Siva Ho Aur Phir Koi Uski Pairvi Ko, Uske Tasleem Aur Ta'meel Karne Ko Shara'i Amr Samjhe, Usko Hukm Allah Samjhe, Usey Daleel-E-Shara'i Jaane, Wo Baatil Parast Hai." [Tareeq-E-Muhammadi Page No. 173]
Ek Aur Jagah Likhte Hain: "Suniye Janab.! Buzrugo'n Ki, Mujtahido'n Ki Aur Imamo'n Ki Raa'i, Qiyaas, Ijtihaad Wa Istinbaat Aur Unke Aqwaal To Kahan.? Shari'at-E-Islam Me To Khud Paighambar (Sallallahu Alaihi Wa Sallam) Bhi Apni Taraf Se Baghair Wahi Ke Kuch Farmayein To Wo Hujjat Nahi." [Tareeq-E-Muhammadi Page No. 59, Tiba' Lahore] (Naoozubillah Min Zaalik)
3. Jama't Ghair-Muqallideen Ke Ek Aur Aalim Muhammad Abul Hasan Likhte Hain: "Qiyaas Na Kiya Karo Kyonke Sab Se Pehle Shaitan Ne Qiyaas Kiya."[Al-Zafar Al-Mubeen Page No. 14]
4. Jama't Ghair-Muqallideen Ke Mash'hoor Aalim Nawab Siddeeq Hasan Sahab Likhte Hain: "Haqq Baat Ye Hai Ke Ijma' Hujjat Nahi Hai." [Ifaadat Ash-Shuyookh Page No. 121] Aur Doosri Jagah Likhte Hain: "Sahaba (Raziallahu Anhum) Ki Tafseer Hujjat Nahi." [Badrul Ahillah Page No. 139]
5. Nawab Siddeeq Hasan Ke Saahab-Zaade Noorul Hasan Sahab Likhte Hain: "Aqwaal-E-Sahaba (Raziallahu Anhum) Hujjat Nahi." [Arful Jaadi Page No. 101]
Lekin Apne In Akaabireen Ke Bar-Khilaf Jamaa't Ahl-E-Hadees Hyderabad Wa Secunderabad Ke Maujoodah Ameer Abul Hasan Pratapgarhi Sahab Tehreer Farmate Hain: "Sach Ye Hai Ke Hum Fiqh Ke Tamam Maakhaz Ko Tasleem Karte Hain, Iski Tafseel Darj-E-Zail Me Hum Mukhtasar Bayan Kar Rahe Hain...... Qur'an, Sunnat....... Ijma', Aqwaal-E-Sahaba, Qiyaas, Istihsaan, Istishaab, Musaalihah Mursilah, Sadd-E-Zaraa'i, Urf, Pehli Shari'ato'n Ke Ahkaam. Alhamdulillah.! Ahl-E-Hadees Mazkoorah Baala Tamam Bato'n Ko Ma-Aa Unki Sharaa'it Ke Qubool Karte Hain." [Salafiyat Hi Jama't-E-Haqqa: 34]
Hairat Angeiz Baat Hai Ke Yusuf Jaipuri Aur Abul Hasan Sahab..! Qiyaas Karne Waale Ko Shaitan, Iblees Qaraar De Rahe Hain, Joonagarhi Sahab..! Qur'an Wa Hadees Ke Siva Kisi Cheez Ko Maanne Waale Ko Batil Parast Keh Rahe Hain Aur Itna Hi Nahi Balke Khud Rasoolullah (Sallallahu Alaihi Wa Sallam) Shari'at-E-Islam Me Baghair Wahi Ke Kuch Kahein To Hujjat Na Hone Ka Ailaan Kar Rahe Hain. Nawab Sahab Aur Unke Saahab Zaade.! Ijma' Aur Aqwaal-E-Sahaba (Raziallahu Anhum) Ka Saaf Inkaar Kar Rahe Hain Lekin Maujoodah Ameer Jama't Ghair-Muqallideen Pratap Garhi Sahab..! Qur'an Wa Hadees Ke Alawah 9 Cheezo'n Ko Fiqh-E-Hanafi Se Haasil Kar Ke Alhamdulillah Kehte Hue Qubool Kar Rahe Hain.
Ab Pata Nahi, Ek Hi Jama't Ke In Aalimo'n Me Se Kaun Shaitan Aur Kaun Baatil Parast Hai ?
(Ii) Ghair-Muqallid Professor Ashfaq Zafar Lodhi Sahab Likhte Hain: Firqah Najiyah Ahl-E-Hadees Ke Siva Koi Aur Nahi...... Inka Aqeedah Hai Ke Muhammad (Sallallahu Alaihi Wa Sallam) Ko Chhor Kar Kisi Aur Ko Imam Banana Muhammad Rasoolullah (Sallallahu Alaihi Wa Sallam) Se Ghaddari Hai. [Maqaam-E-Hadees Aur Asli Ahl-E-Sunnat Page 277]
Lekin Professor Sahab Ki Is Eimaan-Daari Ke Bar-Khilaf Aaj Jama't Ghair-Muqallideen Ke Afraad Bukhari, Muslim, Tirmizi, Nisaa'i, Abu Dawood, Ibne Majah Waghera Ke Alawah Apne Masjid Me Namaz Parhaane Waale Ko Bhi Imaam Maan Kar Muhammad (Sallallahu Alaihi Wa Sallam) Ke Sath Ghaddaari Kar Rahe Hain, Aur Sath Hi Khud Ko Firqah Najiyah Wa Ahl-E-Hadees Keh Kar Bhi Firqah Najiyah Wa Ahl-E-Hadees Na Rahe.
(iii) Jama't Ghair-Muqallideen Ke Mash'hoor Aalim Maulana Ibraheem Siyaal Koti Sahab Likhte Hain: "Hanafiyo'n Aur Ahl-E-Hadees Me Ikhtilaf Sirf Fro' (Ya'ni Ijtihadiyah Masaa'il) Me Hai, Aqaa'id Me Nahi. Pas Hanafiyo'n Ko Ahl-E-Hadees Se Inaad, Bughz Nahi Rakhna Chahiye." [Tareekh Ahl-E-Hadees Page 141]
Lekin Itne Bade Ghair-Muqallid Aalim Ki Shahadat Ke Bar-Khilaf Aaj Ke Ghair-Muqallideen Bhaiyo'n Ko Ahnaaf Ke Aqaa'id Me Kufr-O-Shirk Nazar Aa Raha Hai, Jab Ke Ahl-E-Haqq Ahnaf Ke Aqaa'id Kal Bhi Wohi The Aur Aaj Bhi Wohi Hain. Ma'loom Hota Hai Ke Maujoodah Daur Ke Ghair-Muqallideen Ne Apne Aqaa'id Me Tabdeeli Karli Hai. Ab Na Ma'loom Ke Kis Ke Aqaa'id Ghalat Hain, Un Puraane Ghair Muqallideen Ulema' Ke Ya Maujoodah Daur Ke Ghair Muqallideen Hazraat Ke..?
(iv)
1. Jama't Ghair-Muqallideen Ke Sheikhul Islam, Maulana Sanaullah Amritsari Sahab, Ek Sawal Ke Jawab Me Likhte Hain: "Iska Jawab Ye Hai Ke Jis Ko Uloom Mazkoorah Baala (Lughat, Saraf, Nahoo, Mu'ani, Bayaan, Tafseer, Hadees, Fiqh, Usool Waghera) Se Waqfiyat Hogi Wo Batla Dega, Jin Awaam Kal-An'aam Ko Khabar Nahi, Wo Apne Waqt Ke Maujoodah Ulema' Se Daryaft Kar Ke Amal Kar Lenge Kyonke Unko Yehi Hukm Hai.......... To Akhir Sab Kuch Ulema'-E-Waqt Ke Batlaane Par Mauqoof Raha Isiliye Fuqaha' Ne Likha Hai....... Awaam Ka Apna Koi Mustaqil Mazhab Nahi Balke Unka Mazhab Wohi Hai Jo Unke Fatwa Dene Waale Ka Hai." [Ahl-E-Hadees Ka Mazhab Page 60]
2. Doosre Ghair-Muqallid, Aalim Hakeem Sadiq Siyaal Koti Sahab Likhte Hain: "Aami, Be-Ilm Aur Jaahil Shaqs Ko Kehte Hain, Aise Shaqs Ko Jab Kisi Masla'h Ki Zaroorat Padegi To Laa Muhaalah (Zaroor) Usey Poochna Padega. Phir Wo Kisi Aalim E Rabbani Se Pooch Le." [Sabeelur Rasool (Sallallahu Alaihi Wa Sallam) Page 188]
Lekin Maujoodah Daur Ke Ghair-Muqallideen Apni Jama't Ke Itne Bade Ulema' Ke Bar-Khilaf Keh Rahe Hain Ke Ulema' Se Poochne Ki Zaroorat Nahi Hai, Khud Tehqeeq Karlo Aur Qur'an Wa Hadees Parh Kar Khud Samajh Lo, Ulema' Gumraah Kar Dete Hain.
(V) Ghair-Muqallideen Ke Khateeb Al-Hind Muhammad Joonagarhi Sahab Likhte Hain, "Musalmano.! Ghair Ma'soom Hasti Se Hat Kar Ma'soom Hasti Ki Taraf Aa Jao Ya'ni Fiqh Se Hato, Hadees Ki Taraf Aao." [Tareeq-E-Muhammadi Pg 80]
Ghair Muqallideen Ke Khateeb Al-Hind Joonagarhi Sahab..! Fiqh Se Hat Kar Hadees Ki Taraf Aane Ka Mashwarah De Rahe Hain Lekin Ghair Muqallideen Log Fiqh Muhammadiyah, Fataawa Sanaa'iya, Fataawa Nazeeriyah, Fataawa Sattariyah, Fataawa Ulema-E-Hadees Waghera Kitabein Likh Kar Fiqh Ko Apne Galey Se Laga Rahe Hain Aur Muqallideen Ke Banaaye Gaye Fiqh Ke Tamam Maakhaz Ko Alhamdulillah Kehte Hue Tasleem Bhi Kar Rahe Hain.
(Vi)
 1. Jama't Ghair-Muqallideen Ke Zabardast Aalim Nazeer Hussain Dehalvi Likhte Hain: "Baaqi Rahi Taqleed, Waqte La Ilmi, So Ye 4 Qism Hai, Qism-E-Awwal Wajib Hai Aur Wo Mutlaq Taqleed Hai, Kisi Mujtahid Ki........,., Ba-Qoul Shah Waliullah (Rah.) Ye Taqleed Wajib Hai Aur Sahih Hai Ba-Ittafaq Ummat." [Mi'yaarul Haq Pg 75]
2. Isi Taqleed Ke Muta'lliq Sadiq Siyaal Koti Sahab Likhte Hain: "Taqleed-E-Sharti Durust Hai.......... Ye Hai Ba-Waqte La Ilmi Taqleed-E-Sharti Aami Ki, Jis Se Kisi Ko Inkar Nahi." [Sabeelur Rasool (Sallallahu Alaihi Wa Sallam) Page 188]
Ghair Muqallideen Ke 2 Maaya Naaz Ulema' To Taqleed Ki Ek Qism Ko Wajib Aur Na-Qabil Inkar Qaraar De Rahe Hain. Lekin Afsos Hai Aaj Ke Ghair Muqallideen Par, Jo Taqleed Ka Sirey Se Hi Inkaar Kar Rahe Hain Aur Isko Kufr-O-Shirk Qaraar De Rahe Hain, Aur Is Jama't Ke Be-Shumaar Na-Ahal Logo Taqleed Karne Ke Ba-Wajood Bhi Sirf Alfaaz Ki Bina Par Is Dhoke Me Pade Hue Hain Ke Wo Kisi Ki Taqleed Nahi Karte.
(Vii)
Mash'hoor Ghair Muqallid, Ibraheem Siyaal Koti Tehreer Karte Hain: "Imam Sahab (Imam Abu Hanifah Rh. ) Ahl-E-Sunnat Aur Ahl-E-Hadees Ke Peishwa The." [Taareekh Ahle Hadees Page 271]
Ye Sahab To Apna Matlab Nikaalne Ke Liye Hi Sahi Imam Abu Hanifah (Rah.) Ko Ahl-E-Hadeeso'n Ka Imam Keh Rahe Hain, Lekin Aaj Ke Ba'z Ghair Muqallid, Inki Shaan Me Gustaaqi Kar Rahe Hain Aur Kuch Log Kehte Hain Ke Imam Abu Hanifah Ko 3 Hadeesein Yaad Thi Aur Koi Meharbani Kar De To 17 Hadeese In Yaad Thi'n Kehta Hai. Aur Kuch Kehte Hain Ke Aap Ki Namaz Qur'an Wa Sunnat Ke Khilaf Hai. Aur Koi Aap Ko Murjiyah Kehta Hai To Koi Mu'tazilah. (Naoozubillah)
(Viii) Kuffaar Jis Tarah Ahadees Me Haiz, Taharat, Zina Ke Ta'lluq Se Marwi Ahadees Ko Dikha Kar Kehte Hain Ke Islam Me Kitne Gande Gande Masaa'il Ka Zikr Kiya Hai. Bilkul Isi Tarah Fiqh Me Mazkoor Aise Masaa'il Ko Suna Kar Dhoka Dene Ki Koshish Karte Hain Ke Fiqh Gande Masaail Ka Majmua'h Hai.
Jab Ke Khud Ghair-Muqallideen Ke Ulema' Ki Kitabein Maslan. Hadyatul Mehdi, Badrul Ahillah, Kanzul Haqaaiq, Arful Jaadi, Nuzlul Abraar Waghera Jinko Fiqh Muhammadiya Ka Naam Diya Gaya Hai Isme To Fiqh Hanafi Se Zyadah Kharab Wa Gande Masaail Ko Likha Gaya Hai.
Jab Ghair Muqallideen Ke Saamne Ye Kitabein Rakhi Jaati Hain To Wo Aag Bagolah Ho Kar In Kitabo'n Ka Inkar Kar Dete Hain Ke Hum In Kitabo'n Ko Nahi Maante.
Sawaal Ye Hai Ke Agar Ye Kitabein Ghalat Hain To Aap Ke Publishers Aur Kutub Khaane In Kitabo'n Ko Kyon Chhaap Rahe The.?
Imam Ahle Sunnat Maulana Ashraf Ali Thanvi Rh. , Imam E Ahle Hadees Maulna Zakarriya Sahaab Rh. Ki Kitabo Ki Muqaalifat Ki Tarah In Kitabo Aur Unke Likhne Waale Ghair Muqallid Ulama Ke Khilaaf Bhi Apne Aap Ko Ahle Hadees Kehne Waale Hazraat Koi Propoganda Kyon Nahi Kar Rahe Hai ? Aur Upar Likhi Huwi Ghair Muqallide Ulama Ki Kitaabe Agar Ghalat Hai Toh Unke Khilaaf Koi Bayan Ya Jalsah Kyon Nahi Kiyaa Jaa Raha Hai Taake Awaam Ko Inki Gumraahi Se Bachaaya Jaaye..?
Quraan E Paak Samajne Aur Is Par Amal Karneke Liye Rasoolullah SAW Ki Hadeese Ko Maanne Laazim Wa Zaroori Hai.Puri Ummat Ka Is Baat Par Ittefaaq Hai Ke Quraan E Paak Ki Tarah Rasool Ikram SAW Ki Hadeese Bhi Aaj Tak Mehfooz Hai Aur Qiyaamat Tak Mehfooz Rahegi.Jo Shaks Ahadees E Rasool SAW Ko Na Maano Wo Quraan E Majeed Aur Puri Shariyat Se Door Hojata Hai.Isi Waje Se Ahle Quraan Firqa Jo Hadeeso Ka Inkaar Karta Hai Aur Sirf Quraan Ko Mane Aur Usi Par Amal Ka Dawa Karte Hai Wo Gumraah Aur Deen E Islaam Se Baahir Hai Aur Ek Nayee Deen Ka Pairookaar Hai , Isse Bache Aur Dusro Ko Bhi Bachaane Ki Koshish Kare.
Maujoodah Daur Ke Ghair Muqallideen Ke Tamaam Muhaqqiqeen (Ulema' Wa Awaam ) Se Ek Sawaal:
Sahaba-E-Kiraam (Raz.) Ke Mubarak Daur Se Le Kar Hindustan Par Angrezo'n Ke Qabze Tak, Hind Ka Koi Ek Shaqs Batayein Jo Likhna Parhna Nahi Jaanta Tha, Qur'an Wa Hadees Ka Maahir Na Tha. Arabi Zuban Bhi Nahi Jaanta Tha, Phir Bhi Wo Ghair-Muqallid Muhaqqiq Tha. Kisi Imam Ki Taqleed Na Karta Tha Aur Apne Aap Ko Ahl-E-Hadees Kehta Tha Aur Apne Naam Ke Sath Salafi, Asrii Likhta Tha..?
........
Qadiyani Jo Khud Ko Ahmadi Kehte Hain Aur Firqah E Deendaar Anjuman (Asif Nagar) Kafir Aur Deen E Islam Se Baahar Hain. Inko Salaam Karna, Inse Nikah Karna, Kafir Wa Mushrik Se Nikah Karne Ke Barabar Hai.
........
Firqa Jama'tul Muslimeen, Firqah Ghurba Ahle Hadees Me Se Nikla Ek Gumrah Tareen Firqah Hai Jo Qadyanio Aur Shi'on Ki Tarah Quran Wa Hadees Ke Ghalat Ma'na Wa Matlab Bayan Kar Ke Kam Ilm Musalmano Ke Eimaan Wa Islam Ko Lut Raha Hai. Is Gumrah Firqah Se Khud Bhi Bachein Aur Tamam Musalmano Ko Bachaane Ki Fikr Karein.Is Bhatke Huwe Firqe Ke Bare Me Tafseeli Malumaat Ke Liye Padhe.( Firqa E Jamaat E Muslimeen Paak Wa Hind Ka Tehqiqi Jayeza , Tajalliyaat E Safdar).
........
Shaykh Abdul Qadir Jeelani (Rah.) Likhte Hain: "Imam Ahle Sunnat, Imam Ahmed Bin Hanbal (Rah.) Ka Irshaad Hai, Faqeehah Aadmi Ke Liye Jayez Nahi Ke Doosre Imamo'n Ki Pairokaar Ko Apne Mazhab Me Laane Ke Liye Un Par Sakhti Kare." [Ghunyatut Talibeen Mutarjam Page 149]

GAIR MUQALID AHLE HADEES SALAFI

Mua-Azzas Ghair Muqallid Dosto ! Jo Apne Aap Ko Ahle Hadees Kehkar Bade Khush Hote Hai.Aap Se Umeed Hai Ke Allah Ko Aalim Ul Ghaib Jaankar Mere Baat Ko Sanjeedgi Ke Saat Padhege Aur Haq Ko Qubool Karne , Apni Aur Apne Aqwaal Wa Amal Ki Asliyat Aur Haqiqat Ka Iqraar Wa Aiteraaf Karne Se Maslaki Asaabiyyat , Apni Jamaat Ke Ulama Ki Ghair Tehqiqi Baate , Ghalat Fehmiya Harghiz Aap Nahi Rokegi.
Aap Ghair Muqallideen Ka Dawa Yeh Hai Ke Aap Sirf Aur Sirf Quran Aur Sahi Hadees Par Hi Amal Karte Hai Aur Aap Ke Paas Deen Islaam Ke Sirf Do Hi Usool Hai.
  1. Farmaan E Khuda.
  2. Farmaan E Rasool Sallallaha Alaihi Wasallam
Aap Ghair Muqallideen Ke Nazdik Kisi Ummati Ki Taqleed Karna Haram Aur Usko Rab Banaa Lena Hai.Aur Yeh Baat Hum Apni Taraaf Se Nahi Kehrahe Hi. Balke Aap Ke Ghair Muqallid Ulama Ki Kai Kitabo Me Likhi Huvi Hai Aur Jitne Ghair Muqallid Ahle Hadees Ahbaab Se Aaj Tak Guftagu Huvi Un Hi Se Suna Hai.Agar Ghair Muqallid Apne Is Daawe Me Sach-Che Hai Toh Darj E Zeel Sawaalaat Ke Jawaabaat De Aur Apne Dawe Ke Mutabiq Sirf Quran Aur Sirf Sahi Ahadees Hi Pesh Kare , Kisi Ummati Ka Qaul Pesh Karke Taqleed Ke Shirk Ka Irti-Kaab Na Kare.
1. Maujuda Ghair Muqallid (Ahle Hadees) Hazraat Namaz Me Quraan Tajweed Ke Saat Padhte Hai Ya Beghair Tajweed Ke Saath ? Agar Be-Ghair Tajweed Ke Saat Padhte Hai Toh Unki Namaaz Durust Hai Ya Nahi ? Aur Agar Tajweed Ke Saat Padhte Hai Toh Tajweed Ke Qaide Quran Ki Kis Ayaat Ya Kaunsi Saheeh Hadees Me Bayaan Kiye Gaye Hai Ba-Hawala Naqal Kare.? Tamaam Ghair Muqallideen Quraan Ki Tilaawat Me Tehqeeq Karte Hai Ya Taqleed ??
2. Quraan E Paak Ke Sab Se Zyada Saheeh Kitaab Bukhari Shareef Hai , Phir Muslim Shareef. Yeh Allah Tala Irshaad Hai Ya Nabi E Karim Sallallahu Alaihi Wasallam Ka Irshaad Hai Ya Ummati Ka Qaul ?
3. Aap Ka Daawa Hai Ke Bukhari Wa Muslim Ki Tamaam Hadees Saheeh Hi. Kya Aapne Un Kitaabo Ki Har Har Hadees Ki Sanad Ki Aur Uske Har Raavi Ki Tehqeeq Karke Ithminaan Karliya Aur Usool E Hadees Ke Maiyar Par Rakh Liya , Ya Sirf Muqallid Ke Ha Me Ha Milaakar Taqleed Kar Rahe Hai. ?
4. Imam Bukhari Rh. , Imam Muslim Rh. Wa Ghairan Muhaddiseen Ne Aqeedatul Tahawiyya , Fiqa Al Akbar , Al Mughni , Al Majmua , Hidaya , Tafseer Ibn Kaseer Wa Ghaira Kitabo Ki Tarah Aqaid , Fiqa Ya Tafseer Me Koi Kitaab Likhi Hai. ?
5. Aaj Kal Jo Saheeh Bukhari Shareef Padhi Jaarahi Hai Wo Imam Bukhari Rh. Ki Likhi Huvi Hai Ya Fiqh E Hanafi , Fiqh E Shaafi Ki Tarah Imam Bukhari Rh. Ke Shaagirdo Ki Rivayaat Se Hum Tak Pahuchi Hai?
6. Imam Bukhari Rh. Ya Imam Muslim Rh.Ne Apni Kisi Kitaab Me Musalmaano Ko Yeh Hukum Diya Hai Ke Dusri Kitabo Ki Koi Saheeh Hadees Meri Kitaab Ki Hadees Se Takraaye Toh Meri Kitaab Ko Pakadlo Aur Dusri Kitabo Ki Hadeeso Ko Chordo ? Jabke Imam Bukhari Rh. Ya Imam Muslim Rh.Ne Khud Yeh Farmaya Ke Hamari Kitabo Me Saari Saheeh Hadeese Jamah Nahi Hai.
7. Ghair Muqallid Kehte Hai Ke Bukhari Wa Muslim Sahih Kitabe Hai , Uske Bawaajuud Wo Log Imam Ke Peeche Khamosh Rehne Ki Muslim Sharif Ki Hadees Ko Zaeef Kehte Hai.Agar Woh Hadees Zaeef Hai Toh Phir Muslim Sahih Kaise Hogayi ? (Qususan Jab Ke Zaeef Hadees Ghair Muqallideen Ki Nazar Me Deen E Islaam Ke Liye Intehai Nuqsaanda Hai ?) Agar 2 Ya 4 Zaeef Hadeeso Ki Waje Se Koi Farq Nahi Padhta , Toh Agar Kitaab Fazail E Amaal Me Bil Farz 2 Ya 4 Galat Waqiyaat Dusri Kitabo Se Naqal Hokar Aajaye Toh Iske Khilaaf Is Qadar Jhoota Propaganda Kyu ?
8. Imam Abu Hanifa Rh. Tabii The.4 Sahaba Ikraam Rdh. Ko Unhone Apni Aankho Se Dekha( Al Bidaya Wan Nihaya) Imam Sahaab Rh. Ne 4000 Muhaddiseen Se Ilm E Hadees Hasil Kiya. Hazaaroo Ahadees Unko Yaad Thi.Imam Bukhari Rh. Ke Ustaad Abdullah Bin Mubarak Rh. , Wakii Rh. , Abu Yusuf Rh. Aur Imam Muhammed Rh. Wagaira Azeem Muhaddiseen Imam Abu Hanifa Rh. Ke Shaagird Aur Aksar Masail Me Unke Pairo Kaar The. Imam Bukhari Rh. Tabii The Ya Tabe-Tabii ? Tabien Rh. Aur Tabe-Tabii Rh. Ka Ilm Aur Martaba Bada Hai Ya Baad Walo Ka ? Hadees Me Khair Ul Quroon Se Kaun Sa Zamana Muraad Hai.
9. Ghair Muqallideen Kehte Hai Ke Imam Abu Hanifa Rh. Ke Zamane Me Hadeese Jama Nahi Huvi Thi Isi Liye Imam E Azam Abu Hanifa Rh. Tak Bahut Saari Hadeese Nahi Pahuchi.Agar Ghair Muqallideen Bhaiyo Ka Yeh Qiyaal Hai Toh Phir Sahaba Rdh. , Tabien Rh. Aur Imam Malik Rh. , Imam Shafii Rh. , Imam Ahmed Rh. Wagaira Ko Bhi Hadees Ka Ilm Bahut Kam Hoga.Jab In Hazraat Ko Hadees Ka Bahut Kam Ilm That Toh Phir In Buzurgo Ko Itna Bada Imam Kyun Samjha Jaata Hai ? Neez Aaj Ke Ghair Muqallideen (Ahle Hadees ) Hazraat Ko Imam Bukhari Rh. Wa Muslim Rh. Se Zyada Hadees Ka Ilm Hona Chahiye , Kyunki Imam Bukhari Aur Imam Muslim Rh. Ke Baad Bhi Bahut Saari Hadees Ki Kitabe Likhi Gayi ?
10. Aisa Maloom Hota Hai Ke Ghair Muqallideen Ne Imam Bukhari Rh. Ko Apna Rab Bana Liya Hai.Kyunke Wo Imam Bukhari Rh. Ki Har Baat Saheeh Tasleem Karte Hai.Imam Bukhari Rh. Ne Jis Hadees Ko Saheeh Ya Zaeef Kehde Ya Usko Aankh Bandkar Ke Saheeh Ya Zaeef Maanlete Hai. Kya Unke Yeh Qiyaal Me Imam Bukhari Rh. Se Ghalti Nahi Hosakti ?
11. Ahle Hadees Ghair Muqallideen Kehte Hai Ke Hume Quran Aur Hadees Kaafi Hai Kisi Ki Rai Ki Hume Zarurat Nahi.Jab Firqa E Ahle Hadees Ka Yeh Dawa Hai Toh Phir Wo Log Quran Wa Hadees Ke Hote Huve Apne Ulama Se Fatwe Kyun Puchte Hai Aur Firqa E Ahle Hadees Ke Kutub Khaane Fatawa Ahle Hadees , Fatawa Naziriya , Fatawa Sanaaiya Wa Ghaira , Rai Aur Aqwaal E Rijaal Ke Shirk Se Bhari Huvi Kitabe Kyun Chaap Rahe Hai.Kya Ab Ahle Hadees Ke Liye Quran Wa Hadees Kaafi Nahi Raha ? Lehaza Ghair Muqallid Ulama Aur Muftiyo Se Guzarish Hai Ke Har Masla Puchne Wale Ke Sawaal Ke Jawaab Me Apni Rai Aur Tehqeeq Pesh Karne Ke Bajai Is Nasihat Ke Saat Hadees Ki Kitabe Rawana Karde Ke Is Me Se Padhkar Masla Maloom Karlo , Hamari Tehqeeq Maankar Mushrik Mat Bano.
12. Ghair Muqallideen Kehte Hai Ke Ek Hi Imam Ko Manna Taqleed Hai Aur Taqleed Shirk Hai.Toh Tamaam Ghair Muqallideen Bhai Se Sawaal Hai Ke Kisi De-Haat Me Rehne Wale Koi Be-Padha Likha Ahle Hadees Puri Zindagi Apne Ke Gau Ek Hi Ghair Muqallid Aalim Se Masla Puch Ta Raha Ya Ghair Muqallideen Ke Ek Hi Fatawa Ghar Se Fatwa Puchta Raha , Phir Uska Inteqaal Hogaya Toh Wo Musalmaan Mara Ya Mushrik Faut Huva ? Is Ghair Muqallid Ki Namaz E Janaza Padhi Jaye Ya Be-Ghair Ghusl Wa Namaz Ke Shamshaan Ghaat Me Dafnaa Diya Jaye. ?
13. 1300 Saal Se Ahle Sunnat Wal Jamaat Ki Musalsal Aur Mustanad , Intehai Mutabar Aur Qabil E Aitemaad Fiqa E Hanafi Me Shukook Wa Shubaat Paida Karne Ke Liye Aaj Kal Ghair Muqallideen Zoor Shoor Se Yeh Propaganda Kar-Rahe Hai Ke Chuke Imam Abu Hanifa Rh. Ne Koi Kitaab Nahi Likhi , Lehaza Unki Taraf Mansoob Fiqh E Hanafi Ke Baad Ulama Ki Gadi Huvi Hai.Isi Ke Saat Ghair Muqallideen Se Guzarish Hai Ke Imam E Azam Abu Hanifa Rh. Ne Yeh Baat Apni Kisi Kitaab Me Tehreer Farmai Hai ? Hawala De.
14. Abu Hanifa Rh. 40 Saal Tak Isha Ke Wazu Se Fajar Ki Namaaz Padhte The. Yeh Baat Taariq Ki Mutabar Kitabo Me Naqal Ki Gai Hai. Anghrez Ke Daur Se Pehle Kisi Muhaddis Ya Aalim Ne Uspar Kabhi Aiteraaz Nahi Kiya. Firqa E Ahle Hadees Ke Nazdeek Agar Imam Abu Hanifa Rh. Ka Yeh Amal Hadees Ke Khilaaf Hai Toh Imam Bukhari Rh.Ke Bare Me Aap Ka Kya Qiyaal Hai Ke Nabi E Karim Sallallahu Alaihi Wasallam Ka Irshaad Hai : Koi Shaks Musibat Ke Waqt Har Ghiz Apni Maut Ki Tamanna Na Kare (Bukhari Jild: 847/ 2) Magar Imam Bukhari Rh. Apni Maut Ke Dua Karte The ( Hadi Us Saari Safa No :680 ) Nabi E Karim Sallallahu Alaihi Wasallam Farmate Hai Ke Hafte Me Ek Quran Khatam Karo Isse Zyada Mat Karo(Bukhari Jild: 2 Safa 756 ) Magar Imam Bukhari Rh. Ramzaan Me Rozana Ek Daur E Quran E Majeed Khatam Karte The( Hadi Us Saari Safa No :666 ).
15. Hadees Me Aaya Hai Ke Har Sadi Ke Aqeer Me Ek Mujadid Paida Hota Hai.Ahnaaf Wa Shawafai Wagaira Me Bahut Saare Mujadid Huve.Maujuda Jamaat Ahle Hadees Me Kaun Sa Mujadid Huva.Wo Kab Aur Kaha Paida Huve ? Barre Sagheer Me Anghrez Ke Daur Se Pehle Aisa Koi Mujadid Ya Ahle Hadees Shaks Ka Pata Milta Hai Jo Na Quraan Wa Hadees Ke Maahir The Na Kisi Mujtahid Ki Taqleed Karte The , Balke Ghair Muqallid The.
16. Nawaab Siddiq Hasan Khansahaab , Syed Nazeer Hussain Dehalwi , Sanaullah Amritsari , Ibrahim Sialkoti , Muhammed Junagadi , Saadiq Sialkoti , Muhammed Raiyez Nadwi , Muhammed Abul Iqbaal Salafi , Waheeduz Zama Khan Wagaira Ghair Muqallid Ulama Ahle Hadees Aap Ki Nazar Me Masoom The Ya Ghair Masoom ? Agar Masoom Nahi The Balke Unse Kai Ghaltiya Huvi Toh Phir Lakho Insaano Ki Hidayat Ka Zariya Banne Wali Kitaab Fazail E Amaal Aur Behasti Zaivar Ki Tarah In Ghair Muqallid Ahle Hadees Hazraat Ki Gumraahi Se Ummat Ko Aagah Karne Aur Bachaane Ke Liye Aap Log Koi Jalsa , Pamphelet , Risala Kitaabcha , Ya Cd Wagaira Kyun Taiyaar Nahi Karre ?
17. Ek Ghair Muqallid Ahle Hadees Sahaab Safar Par The.Dauraan E Safar Unko Ek Ahem Masla Pesh Aagaya.Inhone Ne Phone Karke Apne Ghair Muqallid Aalim Se Masla Pucha.Aalim Sahaab Ne Hadees Padhkar Jawaab Dediya.Ahle Hadees Shaks Ne Aalim Sahaab Par Bharosa Karke Us Masle Par Amal Karliya.Yeh Tehqeeq Nahi Ke Wo Hadees Sahih Hai Ya Zaeef Ya Mauzu Wa Manghadak Hai.Kitne Muhaddiseen Ne Usko Sahih Kaha Hai Aur Kitne Ulama Ne Zaeef Qaraar Diya Hai Aur Kin Ka Qaul Sahih Hai.Ab Wo Ahle Hadees Sahaab Musalmaan Hai Ya Ummati Ki Baat Maanne Ki Waje Se Kafir Hogaye ?
18. Ghair Muqallid Ahle Hadees Kehte Hai Ke Hum Sirf Quran Aur Sahi Hadees Ko Maante Hai Kisi Imam Ki Taqleed Nahi Karte ? Jamaat Ahle Hadees Hi Se Nikla Huva Firqa Jamaatul Muslimeen Wale Bhi Taqleed Ke Khilaaf Hai. Aur Sirf Quraan Aur Sahih Hadees Ko Hi Maanne Ka Dawa Karte Hai.Toh Phir Ghair Muqallideen Ahle Hadees Hazraat Jamaatul Muslimeen Walo Ko Aur Jamaatul Muslimeen Wale Ahle Hadees Ko Gumrah Aur Jahannumi Kyun Kehte Hai ??
19. Maujuda Ahle Hadees Ghair Muqallideen Ke Nazdik Taqleed Shirk Hai. Toh Jo Muqallideen Taqleed Se Tauba Karke Ghair Muqallid Ahle Hadees Ban Jaate Hai Kya Unko Nau Muslimo Ki Tarah Kalime Shahaadat , Imaan E Muffasal Padha Kar Islaam Me Daqil Kiya Jaata Hai ? Agar Nahi Phir Unhe Ghair Muqallid Ka Imaan , Namaz , Roza Wagaira Kaise Qubool Hoge
Firqa E Ahle Hadees Ka Kehna Hai Ke Kisi Imam Ya Ulama Ki Taqleed Ki Zarurat Nahi Hai Kyunke Hadeeso Me Sab Kuch Bata Diya Gaya Hai Lehaza Ulama Se Puchne Ki Kya Zarurat Hai ? Agar Maujuda Ahle Hadees Ghair Muqallid Hazraat Apne Dawa Me Sach-Che Hai Toh Darj E Zeal Sawaalaat Ka Quran Ki Ayaat Ya Saheeh , Sarhi , Marfu , Muttasil , Ghair Mu-Aariz , Ghair Mansookh Hadees Se Jawaab De.
1. Ek Shaks Ke Muh Me Masnui Daath Ka Chaukda Laga Huva Hai Toh Wazu Aur Ghusl Karte Waqt Usko Yeh Daah Nikaalna Zaruri Hai Ya Be-Ghair Nikaale Bhi Uska Wazu Aur Ghusl Hojayega ?
2. Saheeh Hadees Me Hai Ke Jab Imam Ameen Kahe Toh Tum Bhi Ameen Kaho.Agar Kisi Ghair Muqallid Shaks Ne Imam Ke Peeche Sureh Fatiha Shuru Ki , 3 Ayaat Hi Padhi Thi Ke Imam Ne Ameen Kehdiya Toh Wo Bhi Ameen Kahe Ya Us Hadees Ki Muqalifat Karke Khamosh Rahe ?
3. Isi Tarah Agar Ek Shaks Namaz Me Zam Sureh Pehle Padhe Phir Sureh Fatiha Padhe Isi Tarah Dusra Shaks Ek Rakaat Me 3 Sajde Karle Toh Sajde Sahu Se In Dono Ki Namaaz Hojayegi Ya Namaaz Lautaani Padhegi , Ya Dono Ki Zarurat Nahi ?
4. Roza Me Injection Ya Inhailer Lena Ya Cigarette Peene Se Roza Tootta Hai Ya Nahi ? Agar Toot Jaata Hai Toh Injection Wa Gaira Lena Wale Shaks Par Kuf-Faara Bhi Laazim Hoga Ya Sirf Qaza ?
5. Kisi Mareez Ko Tandurust Aadmi Ka Khoon Ya Koi Aazu Dena Durust Hai Ya Nahi ?
6. Ramzaan Me Maghrib Ki Azaan Roza E Iftaar Karne Se Pehle Dijaye Ya Iftaar Ke Baad ?
7. Agar Koi Shaks Radio Ya Tv Par Aayaat E Sajda Sune Toh Sunne Wale Ko Sajde E Tilaawat Karna Hoga Ya Nahi ?
8. Aaj Kal Bahut Si Cheezo Qisto Par Baichi Aur Kharidi Jaa Rahi Hai , Jisme Cheez Ki Naqd Aur Aadhaar Qimat Me Bahut Farq Hota Hai Aisa Baichna Aur Qareedna Jayez Hai Nahi ?
9. Share Bazaar Me Rupiya Lagana Jayez Hai Ya Nahi ? Concrete Road Ka Kya Hukum Hai ?
10. Ghair Muqallideen Ki Masjid O Ke Imam Wa Mauzin , Imamat Wa Azaan Ki Ujraat Lete Hai Ya Muft Me Yeh Khidmat Anjaam Dete Hai ? Ahar Ujraat Lete Hai Toh Kya Huzur Sallallahu Alaihi Wasallam Aur Hazrat Bilaal Radhi Allahu Anhu Bhi Ujraat Lete The.
11. Maujuda Daur Me Alcohol Mili Huvi Allopathic Dawaiyo Ka Istemaal Jayez Hai Ya Nahi ?
12. Maujuda Zamane Me Sadqa Fitr Roze Ka Fidya Kis Miqdaar Se Ada Kiya Jaye ?
13. Ek Musalmaan Shaks Ka Inteqaal Hogaya Uske Qareebi Rishte Daaro Me Baap , Ek Haqiqi Maa, Aur Sauteli Maa , Do Biwiya , Teen Ladke , Teen Ladkiya , Chaar Bhai , Do Bhene , Pach Poothre , Teen Bhatije Che Bhaanjiyaa Aur Ek Sautelaa Ladka Hai.Abhi Tarke Taqseem Nahi Huva Tha Ke Baap Aur Bhai Ka Inteqaal Hogaya. Us Shaks Ka Maal Waariseen Me Kis Tarah Taqseem Kiya Jayega. ?
Note: Tamaam Ghair Muqallideen Ahle Hadees Bhaiyo Se Guzarish Hai Ke Apne Dawe Ke Mutabiq Tamaam Sawaalaat Ke Jawaabaat Quran Ki Ayaat Ya Sahih , Sarhi , Marfu , Muttasil Ghair Muariz Hadees Se De. Uiama Se Puche Be-Ghair Khud Padh Kar Tehqeeq Karke De. Qiyaas Ya Rai Se Kaam Na Le , Kyunke Ghair Muqallideen Ke Mashoor Wa Mayanaaz Ulama Ke Kehne Ke Mutabiq Sabse Pehle Qiyaas Karne Wala Iblees Hai.Aqwal E Rijaal , Qiyaas Aur Rai Ke Shirk Ko Muqallid Par Chorde.