Friday, 31 January 2014

GAIR MUQALID AHLE HADEES SALAFI

Mua-Azzas Ghair Muqallid Dosto ! Jo Apne Aap Ko Ahle Hadees Kehkar Bade Khush Hote Hai.Aap Se Umeed Hai Ke Allah Ko Aalim Ul Ghaib Jaankar Mere Baat Ko Sanjeedgi Ke Saat Padhege Aur Haq Ko Qubool Karne , Apni Aur Apne Aqwaal Wa Amal Ki Asliyat Aur Haqiqat Ka Iqraar Wa Aiteraaf Karne Se Maslaki Asaabiyyat , Apni Jamaat Ke Ulama Ki Ghair Tehqiqi Baate , Ghalat Fehmiya Harghiz Aap Nahi Rokegi.
Aap Ghair Muqallideen Ka Dawa Yeh Hai Ke Aap Sirf Aur Sirf Quran Aur Sahi Hadees Par Hi Amal Karte Hai Aur Aap Ke Paas Deen Islaam Ke Sirf Do Hi Usool Hai.
  1. Farmaan E Khuda.
  2. Farmaan E Rasool Sallallaha Alaihi Wasallam
Aap Ghair Muqallideen Ke Nazdik Kisi Ummati Ki Taqleed Karna Haram Aur Usko Rab Banaa Lena Hai.Aur Yeh Baat Hum Apni Taraaf Se Nahi Kehrahe Hi. Balke Aap Ke Ghair Muqallid Ulama Ki Kai Kitabo Me Likhi Huvi Hai Aur Jitne Ghair Muqallid Ahle Hadees Ahbaab Se Aaj Tak Guftagu Huvi Un Hi Se Suna Hai.Agar Ghair Muqallid Apne Is Daawe Me Sach-Che Hai Toh Darj E Zeel Sawaalaat Ke Jawaabaat De Aur Apne Dawe Ke Mutabiq Sirf Quran Aur Sirf Sahi Ahadees Hi Pesh Kare , Kisi Ummati Ka Qaul Pesh Karke Taqleed Ke Shirk Ka Irti-Kaab Na Kare.
1. Maujuda Ghair Muqallid (Ahle Hadees) Hazraat Namaz Me Quraan Tajweed Ke Saat Padhte Hai Ya Beghair Tajweed Ke Saath ? Agar Be-Ghair Tajweed Ke Saat Padhte Hai Toh Unki Namaaz Durust Hai Ya Nahi ? Aur Agar Tajweed Ke Saat Padhte Hai Toh Tajweed Ke Qaide Quran Ki Kis Ayaat Ya Kaunsi Saheeh Hadees Me Bayaan Kiye Gaye Hai Ba-Hawala Naqal Kare.? Tamaam Ghair Muqallideen Quraan Ki Tilaawat Me Tehqeeq Karte Hai Ya Taqleed ??
2. Quraan E Paak Ke Sab Se Zyada Saheeh Kitaab Bukhari Shareef Hai , Phir Muslim Shareef. Yeh Allah Tala Irshaad Hai Ya Nabi E Karim Sallallahu Alaihi Wasallam Ka Irshaad Hai Ya Ummati Ka Qaul ?
3. Aap Ka Daawa Hai Ke Bukhari Wa Muslim Ki Tamaam Hadees Saheeh Hi. Kya Aapne Un Kitaabo Ki Har Har Hadees Ki Sanad Ki Aur Uske Har Raavi Ki Tehqeeq Karke Ithminaan Karliya Aur Usool E Hadees Ke Maiyar Par Rakh Liya , Ya Sirf Muqallid Ke Ha Me Ha Milaakar Taqleed Kar Rahe Hai. ?
4. Imam Bukhari Rh. , Imam Muslim Rh. Wa Ghairan Muhaddiseen Ne Aqeedatul Tahawiyya , Fiqa Al Akbar , Al Mughni , Al Majmua , Hidaya , Tafseer Ibn Kaseer Wa Ghaira Kitabo Ki Tarah Aqaid , Fiqa Ya Tafseer Me Koi Kitaab Likhi Hai. ?
5. Aaj Kal Jo Saheeh Bukhari Shareef Padhi Jaarahi Hai Wo Imam Bukhari Rh. Ki Likhi Huvi Hai Ya Fiqh E Hanafi , Fiqh E Shaafi Ki Tarah Imam Bukhari Rh. Ke Shaagirdo Ki Rivayaat Se Hum Tak Pahuchi Hai?
6. Imam Bukhari Rh. Ya Imam Muslim Rh.Ne Apni Kisi Kitaab Me Musalmaano Ko Yeh Hukum Diya Hai Ke Dusri Kitabo Ki Koi Saheeh Hadees Meri Kitaab Ki Hadees Se Takraaye Toh Meri Kitaab Ko Pakadlo Aur Dusri Kitabo Ki Hadeeso Ko Chordo ? Jabke Imam Bukhari Rh. Ya Imam Muslim Rh.Ne Khud Yeh Farmaya Ke Hamari Kitabo Me Saari Saheeh Hadeese Jamah Nahi Hai.
7. Ghair Muqallid Kehte Hai Ke Bukhari Wa Muslim Sahih Kitabe Hai , Uske Bawaajuud Wo Log Imam Ke Peeche Khamosh Rehne Ki Muslim Sharif Ki Hadees Ko Zaeef Kehte Hai.Agar Woh Hadees Zaeef Hai Toh Phir Muslim Sahih Kaise Hogayi ? (Qususan Jab Ke Zaeef Hadees Ghair Muqallideen Ki Nazar Me Deen E Islaam Ke Liye Intehai Nuqsaanda Hai ?) Agar 2 Ya 4 Zaeef Hadeeso Ki Waje Se Koi Farq Nahi Padhta , Toh Agar Kitaab Fazail E Amaal Me Bil Farz 2 Ya 4 Galat Waqiyaat Dusri Kitabo Se Naqal Hokar Aajaye Toh Iske Khilaaf Is Qadar Jhoota Propaganda Kyu ?
8. Imam Abu Hanifa Rh. Tabii The.4 Sahaba Ikraam Rdh. Ko Unhone Apni Aankho Se Dekha( Al Bidaya Wan Nihaya) Imam Sahaab Rh. Ne 4000 Muhaddiseen Se Ilm E Hadees Hasil Kiya. Hazaaroo Ahadees Unko Yaad Thi.Imam Bukhari Rh. Ke Ustaad Abdullah Bin Mubarak Rh. , Wakii Rh. , Abu Yusuf Rh. Aur Imam Muhammed Rh. Wagaira Azeem Muhaddiseen Imam Abu Hanifa Rh. Ke Shaagird Aur Aksar Masail Me Unke Pairo Kaar The. Imam Bukhari Rh. Tabii The Ya Tabe-Tabii ? Tabien Rh. Aur Tabe-Tabii Rh. Ka Ilm Aur Martaba Bada Hai Ya Baad Walo Ka ? Hadees Me Khair Ul Quroon Se Kaun Sa Zamana Muraad Hai.
9. Ghair Muqallideen Kehte Hai Ke Imam Abu Hanifa Rh. Ke Zamane Me Hadeese Jama Nahi Huvi Thi Isi Liye Imam E Azam Abu Hanifa Rh. Tak Bahut Saari Hadeese Nahi Pahuchi.Agar Ghair Muqallideen Bhaiyo Ka Yeh Qiyaal Hai Toh Phir Sahaba Rdh. , Tabien Rh. Aur Imam Malik Rh. , Imam Shafii Rh. , Imam Ahmed Rh. Wagaira Ko Bhi Hadees Ka Ilm Bahut Kam Hoga.Jab In Hazraat Ko Hadees Ka Bahut Kam Ilm That Toh Phir In Buzurgo Ko Itna Bada Imam Kyun Samjha Jaata Hai ? Neez Aaj Ke Ghair Muqallideen (Ahle Hadees ) Hazraat Ko Imam Bukhari Rh. Wa Muslim Rh. Se Zyada Hadees Ka Ilm Hona Chahiye , Kyunki Imam Bukhari Aur Imam Muslim Rh. Ke Baad Bhi Bahut Saari Hadees Ki Kitabe Likhi Gayi ?
10. Aisa Maloom Hota Hai Ke Ghair Muqallideen Ne Imam Bukhari Rh. Ko Apna Rab Bana Liya Hai.Kyunke Wo Imam Bukhari Rh. Ki Har Baat Saheeh Tasleem Karte Hai.Imam Bukhari Rh. Ne Jis Hadees Ko Saheeh Ya Zaeef Kehde Ya Usko Aankh Bandkar Ke Saheeh Ya Zaeef Maanlete Hai. Kya Unke Yeh Qiyaal Me Imam Bukhari Rh. Se Ghalti Nahi Hosakti ?
11. Ahle Hadees Ghair Muqallideen Kehte Hai Ke Hume Quran Aur Hadees Kaafi Hai Kisi Ki Rai Ki Hume Zarurat Nahi.Jab Firqa E Ahle Hadees Ka Yeh Dawa Hai Toh Phir Wo Log Quran Wa Hadees Ke Hote Huve Apne Ulama Se Fatwe Kyun Puchte Hai Aur Firqa E Ahle Hadees Ke Kutub Khaane Fatawa Ahle Hadees , Fatawa Naziriya , Fatawa Sanaaiya Wa Ghaira , Rai Aur Aqwaal E Rijaal Ke Shirk Se Bhari Huvi Kitabe Kyun Chaap Rahe Hai.Kya Ab Ahle Hadees Ke Liye Quran Wa Hadees Kaafi Nahi Raha ? Lehaza Ghair Muqallid Ulama Aur Muftiyo Se Guzarish Hai Ke Har Masla Puchne Wale Ke Sawaal Ke Jawaab Me Apni Rai Aur Tehqeeq Pesh Karne Ke Bajai Is Nasihat Ke Saat Hadees Ki Kitabe Rawana Karde Ke Is Me Se Padhkar Masla Maloom Karlo , Hamari Tehqeeq Maankar Mushrik Mat Bano.
12. Ghair Muqallideen Kehte Hai Ke Ek Hi Imam Ko Manna Taqleed Hai Aur Taqleed Shirk Hai.Toh Tamaam Ghair Muqallideen Bhai Se Sawaal Hai Ke Kisi De-Haat Me Rehne Wale Koi Be-Padha Likha Ahle Hadees Puri Zindagi Apne Ke Gau Ek Hi Ghair Muqallid Aalim Se Masla Puch Ta Raha Ya Ghair Muqallideen Ke Ek Hi Fatawa Ghar Se Fatwa Puchta Raha , Phir Uska Inteqaal Hogaya Toh Wo Musalmaan Mara Ya Mushrik Faut Huva ? Is Ghair Muqallid Ki Namaz E Janaza Padhi Jaye Ya Be-Ghair Ghusl Wa Namaz Ke Shamshaan Ghaat Me Dafnaa Diya Jaye. ?
13. 1300 Saal Se Ahle Sunnat Wal Jamaat Ki Musalsal Aur Mustanad , Intehai Mutabar Aur Qabil E Aitemaad Fiqa E Hanafi Me Shukook Wa Shubaat Paida Karne Ke Liye Aaj Kal Ghair Muqallideen Zoor Shoor Se Yeh Propaganda Kar-Rahe Hai Ke Chuke Imam Abu Hanifa Rh. Ne Koi Kitaab Nahi Likhi , Lehaza Unki Taraf Mansoob Fiqh E Hanafi Ke Baad Ulama Ki Gadi Huvi Hai.Isi Ke Saat Ghair Muqallideen Se Guzarish Hai Ke Imam E Azam Abu Hanifa Rh. Ne Yeh Baat Apni Kisi Kitaab Me Tehreer Farmai Hai ? Hawala De.
14. Abu Hanifa Rh. 40 Saal Tak Isha Ke Wazu Se Fajar Ki Namaaz Padhte The. Yeh Baat Taariq Ki Mutabar Kitabo Me Naqal Ki Gai Hai. Anghrez Ke Daur Se Pehle Kisi Muhaddis Ya Aalim Ne Uspar Kabhi Aiteraaz Nahi Kiya. Firqa E Ahle Hadees Ke Nazdeek Agar Imam Abu Hanifa Rh. Ka Yeh Amal Hadees Ke Khilaaf Hai Toh Imam Bukhari Rh.Ke Bare Me Aap Ka Kya Qiyaal Hai Ke Nabi E Karim Sallallahu Alaihi Wasallam Ka Irshaad Hai : Koi Shaks Musibat Ke Waqt Har Ghiz Apni Maut Ki Tamanna Na Kare (Bukhari Jild: 847/ 2) Magar Imam Bukhari Rh. Apni Maut Ke Dua Karte The ( Hadi Us Saari Safa No :680 ) Nabi E Karim Sallallahu Alaihi Wasallam Farmate Hai Ke Hafte Me Ek Quran Khatam Karo Isse Zyada Mat Karo(Bukhari Jild: 2 Safa 756 ) Magar Imam Bukhari Rh. Ramzaan Me Rozana Ek Daur E Quran E Majeed Khatam Karte The( Hadi Us Saari Safa No :666 ).
15. Hadees Me Aaya Hai Ke Har Sadi Ke Aqeer Me Ek Mujadid Paida Hota Hai.Ahnaaf Wa Shawafai Wagaira Me Bahut Saare Mujadid Huve.Maujuda Jamaat Ahle Hadees Me Kaun Sa Mujadid Huva.Wo Kab Aur Kaha Paida Huve ? Barre Sagheer Me Anghrez Ke Daur Se Pehle Aisa Koi Mujadid Ya Ahle Hadees Shaks Ka Pata Milta Hai Jo Na Quraan Wa Hadees Ke Maahir The Na Kisi Mujtahid Ki Taqleed Karte The , Balke Ghair Muqallid The.
16. Nawaab Siddiq Hasan Khansahaab , Syed Nazeer Hussain Dehalwi , Sanaullah Amritsari , Ibrahim Sialkoti , Muhammed Junagadi , Saadiq Sialkoti , Muhammed Raiyez Nadwi , Muhammed Abul Iqbaal Salafi , Waheeduz Zama Khan Wagaira Ghair Muqallid Ulama Ahle Hadees Aap Ki Nazar Me Masoom The Ya Ghair Masoom ? Agar Masoom Nahi The Balke Unse Kai Ghaltiya Huvi Toh Phir Lakho Insaano Ki Hidayat Ka Zariya Banne Wali Kitaab Fazail E Amaal Aur Behasti Zaivar Ki Tarah In Ghair Muqallid Ahle Hadees Hazraat Ki Gumraahi Se Ummat Ko Aagah Karne Aur Bachaane Ke Liye Aap Log Koi Jalsa , Pamphelet , Risala Kitaabcha , Ya Cd Wagaira Kyun Taiyaar Nahi Karre ?
17. Ek Ghair Muqallid Ahle Hadees Sahaab Safar Par The.Dauraan E Safar Unko Ek Ahem Masla Pesh Aagaya.Inhone Ne Phone Karke Apne Ghair Muqallid Aalim Se Masla Pucha.Aalim Sahaab Ne Hadees Padhkar Jawaab Dediya.Ahle Hadees Shaks Ne Aalim Sahaab Par Bharosa Karke Us Masle Par Amal Karliya.Yeh Tehqeeq Nahi Ke Wo Hadees Sahih Hai Ya Zaeef Ya Mauzu Wa Manghadak Hai.Kitne Muhaddiseen Ne Usko Sahih Kaha Hai Aur Kitne Ulama Ne Zaeef Qaraar Diya Hai Aur Kin Ka Qaul Sahih Hai.Ab Wo Ahle Hadees Sahaab Musalmaan Hai Ya Ummati Ki Baat Maanne Ki Waje Se Kafir Hogaye ?
18. Ghair Muqallid Ahle Hadees Kehte Hai Ke Hum Sirf Quran Aur Sahi Hadees Ko Maante Hai Kisi Imam Ki Taqleed Nahi Karte ? Jamaat Ahle Hadees Hi Se Nikla Huva Firqa Jamaatul Muslimeen Wale Bhi Taqleed Ke Khilaaf Hai. Aur Sirf Quraan Aur Sahih Hadees Ko Hi Maanne Ka Dawa Karte Hai.Toh Phir Ghair Muqallideen Ahle Hadees Hazraat Jamaatul Muslimeen Walo Ko Aur Jamaatul Muslimeen Wale Ahle Hadees Ko Gumrah Aur Jahannumi Kyun Kehte Hai ??
19. Maujuda Ahle Hadees Ghair Muqallideen Ke Nazdik Taqleed Shirk Hai. Toh Jo Muqallideen Taqleed Se Tauba Karke Ghair Muqallid Ahle Hadees Ban Jaate Hai Kya Unko Nau Muslimo Ki Tarah Kalime Shahaadat , Imaan E Muffasal Padha Kar Islaam Me Daqil Kiya Jaata Hai ? Agar Nahi Phir Unhe Ghair Muqallid Ka Imaan , Namaz , Roza Wagaira Kaise Qubool Hoge
Firqa E Ahle Hadees Ka Kehna Hai Ke Kisi Imam Ya Ulama Ki Taqleed Ki Zarurat Nahi Hai Kyunke Hadeeso Me Sab Kuch Bata Diya Gaya Hai Lehaza Ulama Se Puchne Ki Kya Zarurat Hai ? Agar Maujuda Ahle Hadees Ghair Muqallid Hazraat Apne Dawa Me Sach-Che Hai Toh Darj E Zeal Sawaalaat Ka Quran Ki Ayaat Ya Saheeh , Sarhi , Marfu , Muttasil , Ghair Mu-Aariz , Ghair Mansookh Hadees Se Jawaab De.
1. Ek Shaks Ke Muh Me Masnui Daath Ka Chaukda Laga Huva Hai Toh Wazu Aur Ghusl Karte Waqt Usko Yeh Daah Nikaalna Zaruri Hai Ya Be-Ghair Nikaale Bhi Uska Wazu Aur Ghusl Hojayega ?
2. Saheeh Hadees Me Hai Ke Jab Imam Ameen Kahe Toh Tum Bhi Ameen Kaho.Agar Kisi Ghair Muqallid Shaks Ne Imam Ke Peeche Sureh Fatiha Shuru Ki , 3 Ayaat Hi Padhi Thi Ke Imam Ne Ameen Kehdiya Toh Wo Bhi Ameen Kahe Ya Us Hadees Ki Muqalifat Karke Khamosh Rahe ?
3. Isi Tarah Agar Ek Shaks Namaz Me Zam Sureh Pehle Padhe Phir Sureh Fatiha Padhe Isi Tarah Dusra Shaks Ek Rakaat Me 3 Sajde Karle Toh Sajde Sahu Se In Dono Ki Namaaz Hojayegi Ya Namaaz Lautaani Padhegi , Ya Dono Ki Zarurat Nahi ?
4. Roza Me Injection Ya Inhailer Lena Ya Cigarette Peene Se Roza Tootta Hai Ya Nahi ? Agar Toot Jaata Hai Toh Injection Wa Gaira Lena Wale Shaks Par Kuf-Faara Bhi Laazim Hoga Ya Sirf Qaza ?
5. Kisi Mareez Ko Tandurust Aadmi Ka Khoon Ya Koi Aazu Dena Durust Hai Ya Nahi ?
6. Ramzaan Me Maghrib Ki Azaan Roza E Iftaar Karne Se Pehle Dijaye Ya Iftaar Ke Baad ?
7. Agar Koi Shaks Radio Ya Tv Par Aayaat E Sajda Sune Toh Sunne Wale Ko Sajde E Tilaawat Karna Hoga Ya Nahi ?
8. Aaj Kal Bahut Si Cheezo Qisto Par Baichi Aur Kharidi Jaa Rahi Hai , Jisme Cheez Ki Naqd Aur Aadhaar Qimat Me Bahut Farq Hota Hai Aisa Baichna Aur Qareedna Jayez Hai Nahi ?
9. Share Bazaar Me Rupiya Lagana Jayez Hai Ya Nahi ? Concrete Road Ka Kya Hukum Hai ?
10. Ghair Muqallideen Ki Masjid O Ke Imam Wa Mauzin , Imamat Wa Azaan Ki Ujraat Lete Hai Ya Muft Me Yeh Khidmat Anjaam Dete Hai ? Ahar Ujraat Lete Hai Toh Kya Huzur Sallallahu Alaihi Wasallam Aur Hazrat Bilaal Radhi Allahu Anhu Bhi Ujraat Lete The.
11. Maujuda Daur Me Alcohol Mili Huvi Allopathic Dawaiyo Ka Istemaal Jayez Hai Ya Nahi ?
12. Maujuda Zamane Me Sadqa Fitr Roze Ka Fidya Kis Miqdaar Se Ada Kiya Jaye ?
13. Ek Musalmaan Shaks Ka Inteqaal Hogaya Uske Qareebi Rishte Daaro Me Baap , Ek Haqiqi Maa, Aur Sauteli Maa , Do Biwiya , Teen Ladke , Teen Ladkiya , Chaar Bhai , Do Bhene , Pach Poothre , Teen Bhatije Che Bhaanjiyaa Aur Ek Sautelaa Ladka Hai.Abhi Tarke Taqseem Nahi Huva Tha Ke Baap Aur Bhai Ka Inteqaal Hogaya. Us Shaks Ka Maal Waariseen Me Kis Tarah Taqseem Kiya Jayega. ?
Note: Tamaam Ghair Muqallideen Ahle Hadees Bhaiyo Se Guzarish Hai Ke Apne Dawe Ke Mutabiq Tamaam Sawaalaat Ke Jawaabaat Quran Ki Ayaat Ya Sahih , Sarhi , Marfu , Muttasil Ghair Muariz Hadees Se De. Uiama Se Puche Be-Ghair Khud Padh Kar Tehqeeq Karke De. Qiyaas Ya Rai Se Kaam Na Le , Kyunke Ghair Muqallideen Ke Mashoor Wa Mayanaaz Ulama Ke Kehne Ke Mutabiq Sabse Pehle Qiyaas Karne Wala Iblees Hai.Aqwal E Rijaal , Qiyaas Aur Rai Ke Shirk Ko Muqallid Par Chorde.

3 comments:

  1. Subhanallah, Very Informative Blog. I really appreciated, having the chance to read, what you had to say here and, I’m looking forward to reading what other readers have to share. Deenwise is the most ‘Comprehensive’ Islamic app featuring everything that a Muslim needs in their day to day life.
    Everyone can download it from: Google Play

    ReplyDelete
  2. Asslamu Alikum Bhai,
    Mera manana hai Ki hm sb imaanwale 1 hai jo pahala Kalama pahadhate hai manate hai. Allah aur usake rasul ki baat manate hai.
    aur koi dusari baat nahi jo hm sb immanwalon ko alag alag kare.

    ReplyDelete
  3. BHAIJAN AAPKE IS POST KE 7 NO. LINE ME FAZAIL E AMAAL DEOBANDIYO KI KITAAB KA NAAM DIYA HUA H USE CHANGE KRIYE B

    ReplyDelete