Naat
@01
Q. Hamd, Naat or Manqabat Kisey Kehte Hen?
A. Teeno Ke Lafzi Ma'na To Taqriban Ek Hen
"Ta'reef o Touseef"
Lekin Majazi Ma'na Juda Hen
Hamd Ka Lafz ALLAH Ki Ta'reef Ke Lye,
Naat RASOOLULLAH Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Ta'reef
Aur
Manqabat Sahaba o Auliya Ki Khoobion Ke Lye Bola Jaata Hey.
Naat
@02
Mehfil E Naat Koi Naya Amal Nahi
Bulkey Ye Quran O Hadees, Sunnat e Shahba Se Sabit He
Ayesha RadiyALLAH Anha :
"Hazrat Hassaan Ke Lye Huzur Alahissalatuwassalaam Masjid Me Mimber Rakhwatey,
Us Per Khare Ho Kar Nabi Paak Se Mutaliq
(Kuffar O Mushrikeen Ke Muqabiley Me Fakhriya Ash'ar Parhtey"
Naat
@03
Q.Kya NAAT Parhna Sunnat e Sahaba He?
A.Jab Hazrat Hassaan Bin Saabit Naat Sharif Parhte, Aaqa Alahissalatu wassalaam Inke Lye Jibreel Ki Madad Ki Dua Krte
(Nisai V1 H#719 P#219)
Naat Parhne Wale K Lye Sarkar Ne Mimber (Stage) Rakhwaya,
Jibreel Bi Inke Sath Hotey
(Abu Daud V3 H#1570 P#570)
Naat
@04
Jab Hazrat Hassaan Naat Pahrte To Sarkar Khush Hokar Farmatey
"Beshak ALLAH Rooh ul Qudus Ke Zarye Hassaan Ki Madad Farmata He,
Jub Tak Woh ALLAH Aur Uske Rasool Ke Muta'alliq Fakhriya Ash'aar Bayan Farmatey Hen"
(Tirmizi-Kitab ul Aadaab
V5 P#138 H#2846)
(Ahmed Bin Hambal)
(Haakim)
(Abu Yaeli)
Naat
@05
Baraa Bin Aazib Raawi Hen Ke Beshak Rasoolullah (Sallallahu Alaihi Waasallam)
Ne Hazrat Hassaan RadiyALLAHu anhu Se Farmaya:
"Aye Hassaan!
Jo Log Be Adab Aur Mere Gustakh Hen
Tum (Naat Me) Unke Gustakhana Kalimaat Ka Jawab Do
(Is Me) Jibrail Bhi Tumharey Madad Gaar Hen"
(Bukhari 4/1512 H#3897)
Naat
@06
Aswad Bin Sarih RadiyALLAHu Anhu Ne Arz Ki:
"Ya Rasool Allah Sallallaho Alaihi Wassallam !!
Beshak Me Ne Ek Qasida Me ALLAH KI Hamd Bayan Ki He Aur Dusrey Qasidey Me Apki Naat Bayan Ki He"
Is Par Aaqa e Do Jahan Ne Farmaya:
"Aao Aur ALLAH Ki Hamd Se Ibtida Karo"
(Ahmed Bin Hambal)
(Tibrani)
Naat
@07
Salma Bin Akwah Raawi Hen Ke Ek Raat Hum Sarkar Sallallahu Alahi Wasallam Ke Humraah Khyber Ki Taraf Ja Rahe The
Ek Shakhs Ne Aamir Bin Akwah Se Kaha Aap Apna Kalam Sunaen
Inho Ne Apna Kalam Sunaya,
Ye Sun Kar Huzoor Ne Farmaya;
"Ye Ountni Chalaney Wala Aur Ye Meri Naat Kahne Wala Koun He?"
Shahba Ne Arz Ki
"Ye Aamir Bin Akwah Hen"
Kush Ho Kar Farmaya :
"ALLAH Taala Us Per Rehmat Naazil Farmaye"
(Bukhari 4/1537)
(Bukhari 5/2277)
(Muslim 3/1428)
Naat
@08
Gazwa e Tabook Se Wapsi Per Hazrat Abbas Kahte Hen:
"Ya RasoolAllah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Me AapKe Madah Karna Chahta Hun
Unke Izhaar e Khushi Per Aaqa (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya:
"Kahye, ALLAH Aapke Daant Salaamat Rakhey"
(Haakim 3/369-370)
(Tibrani 4/213)
(Ibne Jouzi 1/54)
Naat
@09
Hazrat Nabagah Ne Huzur Ki Bargaah Me Taweel Qasida Ke 200 Ash'aar Parhe
Huzoor Ne Khush Hokar Dua Di;
"Allah Tumhare Mun Ke Mohar Na Torey
(Daant Salaamat Rakhey)"
Phir;
"Un Ke Daant Sab Logoun Se Ache They Aur Jab Unka Koi Daant Girta Tu Naya Aajata"
(Asqalani 6/394)
(Ibne Jouzi P#462,463)
Naat
@10
Sarwar e Kaainaat Sallallahu Alaihi Wasallam Jab Makkah Sharif Se Hijrat Farma Kar Madina Munnawrah Tashreef Laaye
To Ansaar e Madina Ki Bachchiyon Ne AapKi Aamad Ke Moqey Par Daff Baja Kar Ek Qaseeda Parha
(Zurqani 4/100)
(Behqui 2/507)
(Ibn e Kaseer 2/583, 3/620)
Tala Al Badru Alaina....
Naat
@11
#Sana Khuwan e Mustafa#
Hazrat Abbas
(Haakim 3/369)
(Tibrani 4/213)
Hazrat Hamza
{Ibn e Ishaq P#212-213)
{Ibn e Hashaam P#503-504)
Abu Taalib
(Bukhari 1/342)
Abu Siddique
(Bukhari 4/1619)
Safiya Bint e Abdul Muttalib
(Hafiz Shamsuddin Damishqi)
Sheema Bint e Haleema
(Asqalani 7/165-166)
Naat
@12
#Sana Khuwan e Mustafa#
Abou Sufyan Bin Haris
(Ibn e Aseer 6/142-143)
Abdullah Bin Rawaha
(Bukhari 1/387, 5/2278)
Ka'ab Bin Maalik
(Ibn e Abi Aasim)
Hassaan Bin Sabit
(Bukhari 1/183)
Zaheer Bin Sard
(Ibn e Aseer 2/325)
Abbas Bin Mardas
(Ibn e Hashaam P#977,949)
Ridwanullahi Alehim Ajmain
Naat
@13
#Sana Khuwan e Mustafa#
Ka'ab Bin Zaheer
(Haakim 3/670-673)
Abdullah Bin Alzabra
(Ibn e Hashaam P#942-943)
Abu Ahmed Bin Hajis
(Ibne Kaseer 2/522)
Naat
@14
#Sana Khuwan e Mustafa#
@Hazrat Abu Bakar Siddique
@Hazrat Umar Farooq
@Hazrat Usman Ghani
@Hazrat Ali
(Abu Zaid Qureshi P#10)
@Hazrat Umro Jini
(Jinn Sahabi)
(Ibn e Hashaam P#419)
@Aamir Bin Akwah
(Bukhari 4/1537)
@Abdullah Bin Haris
(Ibn e Hashaam P#293)
Ridwanullahi Ta'ala Alehim Ajmain
Naat
@15
#Sana Khuwan e Mustafa#
Syeda BiBi Fatima
(Bukhari 4/1419)
Ummul Mo'mineen Syeda Ayesha Siddiquah
(Ibn e Jouzi P#463)
RadiyALLAHu Anhuma
Wagerahum