Wednesday, 24 December 2014

RADD E BIDDAT

Imam e Ahlesunnat Aur Radde Bid'aat



Bid'at nayi baat ko kehte hen. Shar'yi istilah me bid'at us baat ko kaha jata he. Jiski asal quran o sunnat me na mile. Ya jo kaam quran o sunnat k khilaf ho
Mas'ala ye he k alahazrat par ilzamat lagaye jate hen k unho ne bid'at ko riwaj dya lihaza ek aisa segment me ne chalaya jis me alahazrat ki aisi baatein code krke btayi jarahi hen jis me bid'at ka radd kya gaya ho.
Aur iska name rakha gaya
¤Imam e Ahlesunnat Aur Radde Bid'aat¤
Any other question?

#01
¤Imam e Ahlesunnat Aur Radde Bid'aat¤

Bad Gumani Se Bachna:

"Aye Imaan Walo!!
Buhat Se Gumano Se Bacho Beshak Baaz Guman Gunaah Ho Jata Hai"
(Surah Hujrat Ayat#12 P#26)

Mafhum e Hadees:
"(Bure)Gumaan Se Dur Raho Ke (Bura)Gumaan Sub Se Barh Kar Jhooti Baat He"
(Bukhari 3/117 H#6066)

#02
¤Imam e Ahlesunnat Aur Radde Bid'aat¤

Mazaar Sharif Ko Bousa Dena Aur Tawaf Karna:

"Mazar Ka Tawaf Baneyat Tazem Najaiz Hai,
Tawaf Sirf Kaabe Ke Lye Makhsus He,
Bousa Dene Se Bachna Chahiye,
Ulma Ka Is Masle Mein Ikhtalaf He,
Aastana Bousi Aur Aankho Se Lagana Jaiz He"
(Fatawa Razawiya 4/08)

#03
¤Imam e Ahlesunnat Aur Radde Bid'aat¤

Jab Ke Paish e Nazar Jaliyaan Hon:

"Khabardar Jaali Sharif(Huzoor Ke Mazaar Ki) Ko Bosa Dene Ya Hath Lagane Se Bacho Ke Ye Khilaf e Adab He

Bulkey 4 Hath Faasley Se Zyada Qarib Na Jao,
Ye Un Ki Rehmat Kya Kam He Ke Apne Huzur Bulwaiya"
(Fatawa Razawiya 10/765)

#04
¤Imam e Ahlesunnat Aur Radde Bid'aat¤

"Roza e Anwar Ka Na Tawaf Karo Na Sajda,
Na Itna Jhuko Ke Ruku Ke Barabar Ho, Huzur Ki Tazeem Unki Ita'at Me He"
(Fatawa Razawiya 10/769)

#05
¤Imam e Ahlesunnat Aur Radde Bid'aat¤

Mazaarat Par Chaadar Charhana:

"Mazaar Par Jab Chaadar Mojud Ho,
Kharab Na Hui Ho Badalne Ki Haajat Nahi Tu Chaadar Charhana Fuzul He,
Bulkey Jo Daam Is Me Sarf Karen, ALLAH Ke Wali Ko Esaal e Sawab Karne K Lye Kisi Mohtaj Ko Den"
(Ahkaam e Shariyat 1/42)

#06
¤Imam e Ahlesunnat Aur Radde Bid'aat¤

Urs Ka Din Muqarrar Karne Me Maslihat :

"Auliya Ki Arwah e Tayyiba Ko Unke Wisal Ke Din Quboor e Karima Ki Taraf Tawajju Zyada Hoti He, Chuna Chey
Wo Waqt Jo Khaas Wisaal Ka He, Akhaz e Barakat Ke Lye Zyada Munasib Hota He"
(Malfuzat Sharif P#383)

#07
¤Imam e Ahlesunnat Aur Radde Bid'aat¤

Urs Me Aatish Baazi Aur Niaz Ka Khana Lutana Haraam:

"Aatish Baazi Israaf He Aur Israaf Haraam He, Khane Ka Aise Lutana Be Adabi Aur Be Adabi Mehrumi He, Maal Ka Israf He.
Roshni Agar Masaliha e Shariya Se Khali Ho To Wo Bi Israaf He"
(Fatawa Razawiya 24/112)

#08
¤Imam e Ahlesunnat Aur Radde Bid'aat¤

"Randiyo Ka Naach Be Shak Haraam He, Urson Me Be Qaid Jaahilo Ne Ye Maasiyat Phelayi He"
(Fatawa Razawiya 29/92)

#09
¤Imam e Ahlesunnat Aur Radde Bid'aat¤

"Agar Wajd Saadiq (Sacha) Aur Haal Gaaib Aur Aqal Mastoor Aur Is Aalam Se Door He To Is Par To Qalam Hi Jaari Nhe,
Agar Ba Takalluf Krta He To Haraam, Riya Ke Lye He To Jahannam Ka Mustahiq Aur Saadiqeen Ke Sath Tashbih Ki Niyyat He To Hasan He"
(Malfuzat P#231)

#10
¤Imam e Ahlesunnat Aur Radde Bid'aat¤

Hurmat e Mazaamir:

Mazaamir Yani Aalat e Lahw o La'ab Bila Shuba Haraam Hen
Jin Ki Hurmat Auliya Aur Ulama Key Kalimaat Me Wazeh He.
Unkey Sunn'ney Sunaney Ke Gunah Hone Me Shak Nahi.
Aur Saadaat e Chisht Ki Taraf Unki Nisbat Iftera He.
(Fatawa Razawiya 10/54)

#11
¤Imam e Ahlesunnat Aur Radde Bid'aat¤

"Nasha Haram He, Nasha Ki Cheezen Peena Jis Se Nashe Baazo Ki Munasibat Ho Ye Bi Gunah He"
(Ahkam e Shariat Part2)

#12
¤Imam e Ahlesunnat Aur Radde Bid'aat¤

Tasweer Ki Hurmat:

"Jandaar Ki Taswiren Banana Khuwa Hath Se Ho Ya Aksi Haraam He Aur Ma'abudaan e Kuffaar Ki Taswiren Banana Sakht Haraam He, In Sab Logo Ko Imam Banana Gunah He Aur Inke Peeche Namaz Makruh e Tehrimi Qarib ul Haraam He"
(Fatawa Razawiya 3/190)

#13
¤Imam e Ahlesunnat Aur Radde Bid'aat¤

"Sajda ALLAH K Siwa Kisi K Lye Nhe,
Gairullah Ko Sajda e Ibadat Shirk Aur Tazimi Haraam"
(Azzubdatu zZakiyya... P#5)

#14
¤Imam e Ahlesunnat Aur Radde Bid'aat¤

"Qabro Ki Taraf Shama Lejana Bid'at Or Maal Ka Ziyaa He"
Aage Kuch Soorton Me Jaiz Likha
(AlBareequl Manaar... P#9)

#15
¤Imam e Ahlesunnat Aur Radde Bid'aat¤

TAAZiYA:

"Farzi Mazaar Banana Aur Uske Sath Asal Ka Sa Muamla Karna Na Jaaiz Aur Bid'at He"
(Fatawa Razawiya 9/425)

#16
¤Imam e Ahlesunnat Aur Radde Bid'aat¤

AURAT Aur MAZAAR:

"Jis Waqt Aurat (Mazar Par Jane K Lye) Ghar Se Irada Karti He La'nat Shuru Hojati He Aur Jab Tak Wapis Aati He Malaika La'nat Krte Rehte Hen. Siwaye Roza e Rasool K Kisi Mazaar Pr Jane Ki Ijazat Nahi, K Wo Zarya e Magfirat He"
(Malfuzat P#240)

#17
¤Imam e Ahlesunnat Aur Radde Bid'aat¤

Mazar Pe Haazri Ka Tariqa:

"Paainti (Qadmon) Ki Taraf Se Jaaye,
Kam Az Kam Chaar (4) Haath Ke Faasley Par Mawajeh Pr Khara Ho,
Ba Adab Salam Arz Karey.
3 Baar Alhamd Sharif,
1 Martaba Ayat ul Kursi,
7 Martaba Sura e Ikhlas Tilawat Karey.
(Fatawa Razawiya 9/522)

#18
¤Imam e Ahlesunnat Aur Radde Bid'aat¤

Mazaar Pr Dua Ka Tariqa:

"Fatiha Ke Bad Zaair Sahib e Mazaar Ke Wasiley Se Dua Karey Aur Apna Jaaiz Matlab Pesh Karey.
Phir Salam Krta Hua Wapis Aye.
Mazaar Ko Na Hath Lgaye Na Bosa Dey.
Tawaf Bil Ittefaq Na Jaaiz He Aur Sajda Haraam He.
(Fatawa Razawiya 9/522)

#19
¤Imam e Ahlesunnat Aur Radde Bid'aat¤

TAAZiYA Aur TAMAASHA:

"Na Jaiz Baat Ka Tamasha Dekhna Bi Na Jaiz He Jis Tarah Bandar Nachana...."
(Malfuzat P#286)

#20
¤Imam e Ahlesunnat Aur Radde Bid'aat¤

TAAZiYE Par MANNAT:

"Kisi Ne Agar Taaziye Pr Mannat Maani To Ye Nazar Baatil O Najaiz He.
(Fatawa Razawiya 24/501)

#21
¤Imam e Ahlesunnat Aur Radde Bid'aat¤

BUTH Aur TAAZiYE Ka Charhawa:

"Buth Ka Charhawa (Parsaad) Gair e Khuda Ki Ibadat He Iska Khana Musalmano Ke Lye Haraam Aur Taaziye Ka Charhawa Bi Na Khaye.
Agar Chey Taaziya Daari Bi Haraam He Magar Musalman Ke Nazdik Donu Barabar Nahi"
(Fatawa Razawiya 21/246)

#22
¤Imam e Ahlesunnat Aur Radde Bid'aat¤

Q.Shia Ki Sabeel Se Paani Peena Aur Chanda Dena Kesa He?

"Ye Sabeel Shia Ke Majmae Ke Lye He Jo Tabarra O La'nat Ka Majma He.
Ye Na Jaaiz O Gunah He Aur Unhe Chanda Dena Gunah He.
Aur Un Me Shamil Hone Walon Ka Hashr Unke Sath Hoga."
(Fatawa Razawiya 21/246)

#23
¤Imam e Ahlesunnat Aur Radde Bid'aat¤

"Wafaat Ke Moqey Par Shaadi Ke Se Takalluf Karna, Umda Farsh Bichana Ye Baatein Be Jaa Hen Aur Ye Aqida Bhi Galat K Sawab Teesrey Din Puhanchta He Ya Ek Din Zyada Ya Kam Puhnchey Ga Na Khas Chaney Bantna Zaruri He"
(AlHujjatul Fatiha LitTayyibit Ta'ayyun... P14)

#24
¤Imam e Ahlesunnat Aur Radde Bid'aat¤

SOYAM Ka Khana:

"Ye Cheezen Ghani Na Ley, Faqeer Ley.
Jo Iske Na Milney Se Naraz Ho Uska Qalb Siyah Hota He.
Ye Hukum Aam Fatiha Ka He,
Niyaz e Auliya Tabarruk He, Wo Sab Le Saktey Hen.
Behtar He Ke Chehlam, Barsi Ka Khana Bi Ghani Na Khaye"
(Fatawa Razawiya 4)

#25
¤Imam e Ahlesunnat Aur Radde Bid'aat¤

"Mayyat Par Phoolon Ki Chaadar Daalne Me Shar'an Harj Nahi Bulke Niyyat e Hasan Se Hasan He
Jese
Quboor Par Phool Daalna Ke Jb Tak Wo Tarr Rahen Ge Tasbih Karen Ge Is Se Mayyit Ka Dil Behalta He Aur Rehmat Utarti He.
Fatawa Alamgiri Me He:
Qabro Par Phoolo Ka Rakhna Acha He"
(Fatawa Hindiya 5/351)

Deegar Hawala Jaat:

(Fatawa Imam Qazi Khan)
(Imdadul Miftah)
(Raddul Mukhtar 1/606)
(Fatawa Razawiya 9/105)

#26
¤Imam e Ahlesunnat Aur Radde Bid'aat¤

GYARWEEN Ka In'eqaad:

"Mehbuban e Khuda Ki Yaadgari Ke Lye Beshak Din Muqarrar Karna Jaiz He
Huzur Har Saal Ke Ikhtimam
Par Shuhada e Uhad Ki Qabro Par Tashrif Le Jaatey
(Ibn e Jareer)
Mashaikh Ke Urs Manana Is Hadis Se Sabit He
(Ham'aat 11 By Shah Abdul Aziz)"

#27
¤Imam e Ahlesunnat Aur Radde Bid'aat¤

OONCHi QABAR:

"Oonchi Qabar Banana Khilaf e Sunnat He
(Raddul Mukhtar)
Haan Mashaikh Ki Qabro Par Imaarat Banana Jaiz Taa Key Logg Ziyarat Karen
Sarkar Aur Sahaba Ke Mazaar Pr Agle Zamane Me Qubbey Tameer Kye Gaye
(Kashf ul Gitaa P#55)"
(Fatawa Razawiya 9/418)

#28
¤Imam e Ahlesunnat Aur Radde Bid'aat¤

"Azaan Dene Se Shetan Roha Tak (Madina Se Taqriban 36 Mile Door) Bhaagta He
(Muslim H#388 P#204)
Lihaza Qabr Par Ya Waqt e Tadfin Azaan Keh Saktey Hen Aur Is Se Mayyat Ka Dil Bhi Behalta He Aur Bi Buhat Se Fawaid Hen"
(Malfuzat P#526)
(Fatawa Razawiya 23/374)

#29
¤Imam e Ahlesunnat Aur Radde Bid'aat¤

"Fatiha, Esaal e Sawab Ka Name He Aur Momin Ke Amal e Naik Ka Ek Sawab Uski Niyyat Karte Hi Haasil Ho Jaata He Aur Amal Karne Par Dus Gunaa Milta He,
Khaana Saamne Na Ho To Sawab Na Puhnche Ga, Ye Gumaan Galat He
Sirf Baargah e Ilahi Me Dua Karna Ke Wo Sawab Mayyit Ko Puhnchaye"
(Al Hujja tul Fatiha LitTayyibit Ta'ayyuni Wal Fatiha P#14)

"Apni Zindagi Me Khud Apne Lye Esaal e Sawab Kar Sakta He"
(Malfuzat P#48)

#30
¤Imam e Ahlesunnat Aur Radde Bid'aat¤

Aalahazrat RadiyALLAH Anhu Ne Qur'an Khuani Ke Lye Ujrat Lene Aur Dene Ko Na Jaiz Qarar Dya.
(Fatawa Razawiya 4/318)

#31
¤Imam e Ahlesunnat Aur Radde Bid'aat¤

Rawafiz (Shion) Ki Majalis Me Jana Aur Marsiya Sun'na Haram He.
Unki Niyaz Najasat He.
Aur Unki Majalis Me Haazri Sakht Mal'oon He.
Aur Us Me Shirkat Mojib e La'nat He.
Muharram Me Siyah (Black) Kaprey Sogg Hen Aur Sogg Haraam He.
(Fatawa Razawiya 23/756)

#32
¤Imam e Ahlesunnat Aur Radde Bid'aat¤

"Aatish Baazi o Gaane Jo Shadi Wagera Me Raaij,
Beshak Haraam He, Us Taqrib Me Bi Sharik Na Hon"
(Haadiyun Naas P#3)

#33
¤Imam e Ahlesunnat Aur Radde Bid'aat¤

Nasab Par Fakhar Karna Ya Dusre Musalman Ke Nasab Par Ta'an Karna Jaiz Nahi
(Irada tul Adab Li Faazilin Nasab P#3)

#34
¤Imam e Ahlesunnat Aur Radde Bid'aat¤

Peer Aur Mureeda Ke Darmaiyan Parda:

Aalahazrat Imam Ahmed Raza Farmatey Hen!
"Beshak Har Gair Mehram Se Parda Farz He Jiska ALLAH Aur Uske Rasool Ne Hukam Dya He.
Beshak Peer Mureeda Ka Mehhram Nahee Ho Jaata, Un Se Bhi Parda Laazim He"
(Masail e Sima'a P#32)

#35
¤Imam e Ahlesunnat Aur Radde Bid'aat¤

"Jaali Faal Naamey Jo Awam Me Mash'hur Aur Akabir Ki Taraf Mansub Hen Be Asal O Baatil Hen"
(Fatawa Razawiya 23/327)

#36
¤Imam e Ahlesunnat Aur Radde Bid'aat¤

Anbya Ki Hayaat Haqiqi Hassi Dunyawi He
(Ibn e Maja 2/291 H#291)

Anbya o Auliya Par Mahaz Ek Aan Ko Mout Taari Hoti He Phir Unko Wese Hi Hayaat Ataa Farma Di Jaati He
(Hashya Tafsir Saawi 1/340)

...Auliya Ki Zindagi Dunyawi Zindagi Se Afzal o Aala He (Zurqani 7/364)

...Apni Ummat Ko Dekhte Hen
(Mudkhal 1/252)

Sarkar Haqiqi Jismani Hayaat Se Wese Hi Zinda Hen Jese Wafaat Se Pehle They
(Fatawa Razawiya 10/764)

#37
¤Imam e Ahlesunnat Aur Radde Bid'aat¤

Sarkar Ka Elm e Gaib Ataayi He :

(Sura Takwir Ayat#24 Para30)
Ke Tehat!
Huzur Ko Elm e Gaib Aata He Aur Wo Tumhe Bi Talim Farmate Hen
(Khaazin 4/357)

"ALLAH Aur Huzur Ka Elm Barabar To Darkanar, Agar Tamam Elm Ko Jama Bi Kya Jaye To Bhi Is Elm Ko Elm e Ilahi Se Wo Nisbat Hargiz Nhe Hosakti Jo Ek Qatre Ke Karorwen Hisse Ko Karor Samandar Se He Ke Ye Mutanahi (Mehdood) He Aur Wo Gair Mutanahi He.
(Malfuzat P#93)

#38
¤Imam e Ahlesunnat Aur Radde Bid'aat¤

PEER o MURSHiD:

"Hamesha Sunni Sahih ul Aqeeda Aur Paband e Shariat Peer Sa Bait Ki Jaye,
Jo Masail Jaanta Ho
Aur Us Ka Silsila Huzur Alaihissalatu Wassalaam Tak Muttasil Ho,
Aur Bila Shuba Jaahil Faqeer Ka Mureed Hona Shetan Ka Mureed Hona He"
(Malfozat P#297)

#39
¤Imam e Ahlesunnat Aur Radde Bid'aat¤

"Taanbe o Peetal K Taweez Makrooh Hen, Soney Chandi K Taweez Mard Ko Haraam Jbke Aurat Ko Jaiz Hen"
(Malfuzat P#328)

#40
¤Imam e Ahlesunnat Aur Radde Bid'aat¤

Imam Zaamin Ka Jo Nikla He Ke Bazoo Me Kapra Lapet Kar Paisa Bandha Jaata He Iski Kuch Asal Nahi
(Malfuzat P#328)

#41
¤Imam e Ahlesunnat Aur Radde Bid'aat¤

GAiRULLAH Se Madad :

"Huzur Aur Auliya Ko ALLAH Ka Banda Aur Uski Baargah Me Wasila Jaaney.
Unka Madad Karna ALLAH Ke Izn Se Maaney Aur Aetmad Karley Ke Be Hukm e Khuda Zarra Nahi Hil Sakta, ALLAH Ke Diye Bagair Koi Ek Hissa Nhe De Sakta"
(Ahkaam e Shariat 1/4)

#42
¤Imam e Ahlesunnat Aur Radde Bid'aat¤

NAFAL Ya MUSTAHAB Ko FARZ Par Foqiat:

Aalahazrat Imam Ahmed Raza Khan Farmate Hen!
"Agar Farz Ki Adayegi Se Qabl Sunan o Nawafil Me Mashgool Ho To Sunan o Nawafil Qubul Nahi Hoti Balke Mojib e Ihanat Hoti Hen"
(Ayizzul Iktinah Fi Sadaqati Mani'iz Zakaat P#10)

#43
¤Imam e Ahlesunnat Aur Radde Bid'aat¤

JASHN e WiLADAT Ka Charaagaan:

Sura e Furqan Ayat#67 Ke Tehat!
"Israaf Me Koi Bhalayi Nhe, Aur Bhalai Ke Kaamo Me Kharch Karne Me Koi Israaf Nhe
(Tafsir Kashaaf 3/293)"
(Malfuzat P#174)

Imam Ghazali Ki Ahyaaul Uloom Me Bi Is Se Muta'alliq Tazkira Milta He.

#44
¤Imam e Ahlesunnat Aur Radde Bid'aat¤

"Adab Ka Taqaza Ye He Ke Sarkar Ko Aapke Zaati Name Se Na Pukara Jaye Na Hi Naat Me Parha Jaye. Bulke Ya Rasoolallah, Ya Habiballah Keh Kar Nida Di Jaye,
Kahin Masajid, Posters Wagera Me Bi
<Ya Muhammad>
Ki Jaga Alqaabaat Tehrir Karey"
(Fatawa Razawiya 15/171)

#45
¤Imam e Ahlesunnat Aur Radde Bid'aat¤

Un Mardon Par La'nat Farmayi Gayi Jo Aurton Se Mushabihat Karen, Aur Isi Tarah Un Aurton Par Jo Mardon Se Mushabihat Karen.
(Musnad Imam Ahmed 1/727 H#3151)
(Bukhari H#5885 P#4)

"Mard Ko Baal Barhana Jahalat Aur Chotti Rakhna Haraam He"
(Malfuzat P#281, 297)

#46
¤Imam e Ahlesunnat Aur Radde Bid'aat¤

"ALLAH Ko Aashiq Aur Huzur Ko Ma'shooq Kehna Na Jaaiz He.Ye Lafz Shan e Ilahi K Laaiq Nahi"
(Fatawa Razawiya 21/114)

#47
¤Imam e Ahlesunnat Aur Radde Bid'aat¤

"Jo Madina Ko Yasrab Kahey Us Par Touba Waajib He,
Madina TAABA He
Madina TAABA He"
Raawi : Baraa Bin Aazib
Iski Sanad Sahee He
(Masnad Ahmed 4/285)

"Madina Paak Ko YASRAB Kehna Na Jaiz,Mamnu Aur Gunaah He Aur Kehne Wala Gunahgaar He"
(Fatawa Razawiya 21/116)

#48
¤Imam e Ahlesunnat Aur Radde Bid'aat¤

"Maal e Haraam Qabil e Qubool Nahi, Na Isey Raah e Khuda Karna Rawaa Na Is Par Sawab He"
(Fatawa Razawiya 21/105)

#49
¤Imam e Ahlesunnat Aur Radde Bid'aat¤

"Aksar Log Safar Ki Kuch Makhsus Taarikhon Me Shaadi Wagera Nahi Kartey, Ye Sab Be Asal He"
(Fatawa Razawiya 23/272)

#50
¤Imam e Ahlesunnat Aur Radde Bid'aat¤

"Safar Ki Aakhri Budh Ki Koi Asal Nahi Na Is Din Huzur Ki Sehat Yaabi Ka Koi Suboot He"
(Fatawa Razawiya 10/117)

#51
¤Imam e Ahlesunnat Aur Radde Bid'aat¤

"Imam Zainul Abdin Ne Yazid Ko Magfirat K Lye Koi Namaz Nahi Batayi, Ye Riwayat Be Asal He"
(Fatawa Razawiya 10/117)

#52
¤Imam e Ahlesunnat Aur Radde Bid'aat¤

"Daarhi Mundwane Aur Katarwane Wala Shakhs Faasiq e Mo'lin He, Usko Imam Banana Gunaah He"
(Ahkaam e Shariat 2/321)

#53
¤Imam e Ahlesunnat Aur Radde Bid'aat¤

"Dawato Me Log Khare Hokar Khate Hen.
Huzur Ne Beth Kar Aur Jootey Utaar Kr Khane Ka Hukum Dya"
(Fatawa Africa P#38)

#54
¤Imam e Ahlesunnat Aur Radde Bid'aat¤

"Janab Nabi Karim Ne Farmaya!
Be Adabi Aur Bad Tehzibi He Ke Admi Kharey Hokar Peshab Karey"
(Fatawa Africa P#09-10)

#55
¤Imam e Ahlesunnat Aur Radde Bid'aat¤

Imam Ahmed Raza Khan Ne Joota Pehan Kr Qabron Pr Chalne Ko Ahl e Quboor Ki Touheen Qarar Dya
(Fatawa Razawiya 4/107)

#56
¤Imam e Ahlesunnat Aur Radde Bid'aat¤

BIJLI :

"ALLAH Ne Badalon Ke Chalane Ke Lye Ek Farishta Muqarrar Kya He, Jiska Name Ra'ad He, Uska Qadd Buhat Chota He, Uske Haath Me Ek Buhat Bara Koraa He, Jab Wo Koraa Badal Ko Maarta He Uski Tari Se Aag Jharti He Uska Name BIJLI He."
(Fatawa Razawiya 27/23)

#57
¤Imam e Ahlesunnat Aur Radde Bid'aat¤

Q.ZALZALA Aane Ka Kya Baais He?

"Zalzala Aane Ka Asli Baais Aadmiyon Ke Gunah Hen Aur Paida Yun Hota He Ke Ek Pahar Tamam Zamin Ko Muheet He, Iske Raishey Zamin Ke Andar Sab Jaga Pheley Hue Hen Jese Barey Darakht Ki Jaren Door Tak Andar Anadar Phelti Hen, Jis Zamin Par MuazALLAH Zalzaley Ka Hukum Hota He, Pahar Us Jaga Ke Raishey Ko Junbish Deta He Aur Zamin Hilne Lagti He"
(Fatawa Razawiya 27/93)

#58
¤Imam e Ahlesunnat Aur Radde Bid'aat¤

"Ghous e Paak Hamesha Se Hambli They. Jab Mansab e Ijtehad Hasil Hua Aur Mazhab e Hanbal Kamzor Hota Dekh Kar Uskey Mutabiq Fatwa Dya K Huzur Mohiuddin Aur Deen e Mateen Ke Ye Charon Sutoon Hen, Jis Sutoon Me Zouf Dekha, Taqwiyat Farmayi"
(Fatawa Razawiya 2/433)

#59
¤Imam e Ahlesunnat Aur Radde Bid'aat¤

"Taash o Shatranj Donu Na Jaiz Hen Aur Taash Zyada Gunah o Haraam Ke Is Me Tasaweer Bi Hen"
(Fatawa Razawiya 24/113)

#60
¤Imam e Ahlesunnat Aur Radde Bid'aat¤

"Anbya e Karaam Ke Na Sirf Fuzlaat e Sharifa (Jism Se Kharij Hone Wale Zaayed Maaddey Misl e Boul o Baraz Wagera) Paak Bulke Inke Waldain Kareemain Ke Wo Nutfey Bi Paak Hen Jin Se Ye Hazraat Paida Hue"
(Shifa Sharif V1 P#168)
(Zurqani V1 P#194)
(Malfuzat P#456)

#61
¤Imam e Ahlesunnat Aur Radde Bid'aat¤

"Payinche Takhne Se Niche Rakhna Bi Makrooh e Tanzihi He"
Bahawala Bukhari
O Fatawa Alamgiri
(Fatawa Razawiya 27/93)

#62
¤Imam e Ahlesunnat Aur Radde Bid'aat¤

"Mard Ko Anguthi Sirf
Chandi, Ek Nag,
4.5 Masha Se Km Wazan Ki,
Ek Waqt Me Ek Pehana Jaiz He"
(Ahkam e Shariat 2/30)

#63
¤Imam e Ahlesunnat Aur Radde Bid'aat¤

"Zakaat Saadaat e Karaam Par Haraam e Qat'ai He Jis Par Ijmaa He"
(Meezan ul Kubra 2/13)
(Fatawa Razawiya 10/99)

#64
¤Imam e Ahlesunnat Aur Radde Bid'aat¤

"Sheikhen (Abubakr o Umer) Ka Gustakh Mutlaqan Kafir He"
"Siddiqu e Akbar Ki Sahabiat Ka Munkir Kafir He"
(Durr e Mukhtar 1/83)

"Inki Khilafat Ka Munkir Kafir Aur Mola Ali Ko Sab Se Afzal Janne Wala Gumrah He"
(Khazana tul Muftin 1/28)

(Fatawa Razawiya 14/250)

#65
¤Imam e Ahlesunnat Aur Radde Bid'aat¤

"Yazid Beshak Paleed Tha, Isey Paleed Likhna Aur Kehna Jaiz He. Rehmatullahi Alaih Na Kahe"
(Fatawa Razawiya 14/603)

#66
¤Imam e Ahlesunnat Aur Radde Bid'aat¤

"SAHABA Ke Name Ke Sath RadiyALLAHu anhu Aur Baad Wale ULAMA Ke Sath Rehmatullah Alaihi Kehna Ya Likhna Mustahab He Aur Iska Ulat Bhi Jaiz He, Bahijjatul Israr Wa Jumla Tasanif Me Raaij He."
(Tanwirul Absar)
(Durr e Mukhtar Sharah 2/350)
(Fatawa Razawiya 23/390)

#67
¤Imam e Ahlesunnat Aur Radde Bid'aat¤

"Qabar Par Namaz Parhna, Qabar Ki Taraf Namaz, Musalman Ki Qabar Par Paun Rakhna, Qabron Par Masjid Banana Sab Haraam.
Agar Masjid Me Koi Qabar Ajaye To Charo Taraf Thori Diwar Qaim Kar Ke Us Par Chatt Bana Len, Ab Deewar Ki Taraf Bi Jaiz He
(Irfan e Shariat V2)

#68
¤Imam e Ahlesunnat Aur Radde Bid'aat¤

"Moonchein Itni Barhana Ke Mun Me Aayen, Haraam o Sakht Gunaah Aur Mushrikon Ki Mushabihat He"
(Ahkaam e Shariat V2)

No comments:

Post a Comment