Monday, 5 December 2011

Kissing Hands and feet

Kissing Hands and feet

Hadith number 1

Hazrat Zaar'a (Radi Allah ta'ala A'anhu) jo k wafd e A'abd al Qais main shamil thay bayaan karty hain k : 

"Jab hum Madinah Munawwarah hazir huay to tayzi say apni sawariyun say utar kar Rusul Allah (SALLALAHU A'LAIHAY WA ALEHI WASALLAM) k haath mubarik aur qadam mubarik chumnay lagy."
*************************************************
Sayyedina Zari' (Radi Allah ta'ala A'anhu) who was a member of the deputation of AbdulQays, said:

When we came to Medina, we raced to be first to dismount and kiss the hand and foot of the Apostle of Allah (SALLALAHU A'LAIHAY WA ALEHI WASALLAM).

From : Abu Dawud
Book : Al Adab
Chapter : Qadmon ko chumna
Hadith numnber : 5225

From : Bayhaqi
Book : Sunan Al Kubra
Volume : 7
Page : 102
------------------------------------------------------------------------------------

Hadith number 2


Hazrat Al-Wazi Ibn Amir (Radi Allah ta'ala A'anhu) nain farmaya:

"Hum aay aur hamain bataya gaya k yeh RUSUL ALLAH (SALLALAHU A'LAIHAY WA ALEHI WASALLAM) hain , to hum nain un k haathon aur qadmon ko pakraa aur unko chuma."
*******************************************************
Sayyedina Al-Wazi Ibn Amir (Radi Allah ta'ala A'anhu) said,

“We came and were told, ‘That is the Messenger of Allah (SALLALAHU A'LAIHAY WA ALEHI WASALLAM).’ We took his hands and feet and kissed them and kissed them."

From : Bukhari
Book : Al Adab Al Mufrad
Chapter : Qadam chumna
Hadith number : 975
------------------------------------------------------------------------------------

Hadith number 3


Hazrat Suhayb (Radi Allah ta'ala A'anhu) nain farmaya k

"Ali (Alaihis Salaam) nain (apny chacha) Hazrat Abbas (Bin Abdul Muttalib Radi Allah Ta'ala A'anhu) k Haath mubarak aur Qadam Mubarak chumay."
*****************************************************
Sayyedina Shuyab(Radi Allah ta'ala A'anhu) said, 

“Ali (Alaihis Salaam) kissed the hand and feet of Al-Abbas.” (al-Abbas was Ali’s uncle).

From : Bukhari
Book : Al Adab Al Mufrad
Chapter : Kissing Feet
Hadith number : 976
------------------------------------------------------------------------------------

Hadith number 4


Hazrat Safwan ibn `Asal al-Muradi (Radi Allah ta'ala A'anhu) say rawayat hay k

"Yahoodiyun (jews) ki Ek jama'at (group) nain NABI AKRAM (SALLALAHU A'LAIHAY WA ALEHI WASALLAM) k Haath Mubarak aur Qadam Mubarak chumay."
*******************************************************
Sayyedina Safwan ibn `Asal al-Muradi (Radi Allah ta'ala A'anhu) said,

"A group of Jews kissed the Hands and foot of Prophet (SALLALAHU A'LAIHAY WA ALEHI WASALLAM) "

From : Ibn e Majah
Book : Al Adab
Chapter : Ek mard dusry mard k hath chumay
Volume 3
Hadith number : 3705

From : Ibn Abi Shaibah
Book : Al Adab
Chapter : Ek admi ka dury admi ka miltay waqt hath chumna

From : Tirmidhi
Book : Al Adaab wal Istizaan
Chapter : Kissing hands and feet
Imam Tirmidhi declared this hadeeth as Hassan Sahi.
Also from
al-Nasa'i, in his sunan
and al-Hakim in his Mustadrak who declared it sahih.
------------------------------------------------------------------------------------

Hadith number 5






Hazrat Buraidah (Radi Allah ta'ala A'anhu) bayan farmaty hain k

(Ek martaba) jab hum loog AAP (SALLALAHU A'LAIHAY WA ALEHI WASALLAM) k sath ek Ghazwa (war) main thy. EK Arabi AAP (SALLALAHU A'LAIHAY WA ALEHI WASALLAM) k pas aya aur usny AAP SAW say Moojza talab kiya. AAP (SALLALAHU A'LAIHAY WA ALEHI WASALLAM) usy nain moojza dikhaya .
Arabi nain kaha k "YA RUSUL ALLAH (SALLALAHU A'LAIHAY WA ALEHI WASALLAM) mjy ijazat dain k main apko sajda karun."
AAP (SALLALAHU A'LAIHAY WA ALEHI WASALLAM) nain farmaya k
"(ALLAH K siwa) kisi ko bhi Sajda karny ki ijazat nahi hay."
Arabi nain kaha k phir main ap k haath mubarak aur qadam mubarak chumna chahta hun.
Aur AAP (SALLALAHU A'LAIHAY WA ALEHI WASALLAM) nain usy ijazat ata kar di.
*******************************************************
sayyedina Buraidah (Radi Allah ta'ala A'anhum) of Propeht (SALLALAHU A'LAIHAY WA ALEHI WASALLAM) reported that , When we were with Allah's Messenger (SALLALAHU A'LAIHAY WA ALEHI WASALLAM) on an expedition,
a Bedouin came and asked for a miracle. Prophet (SALLALAHU A'LAIHAY WA ALEHI WASALLAM) Showed him a miracle.
The Bedouin said, "let me prostrate to you!.”
Allah's Messenger (SALLALAHU A'LAIHAY WA ALEHI WASALLAM) answered:
"No one is allowed to do that [i.e. it is Haraam].
The Bedouin said, "Then I will KISS YOUR HANDS AND FEET."
and He (SALLALAHU A'LAIHAY WA ALEHI WASALLAM) PERMITTED HIM THAT"

From : Al Qaadee ‘Ayaad
Book : Ash Shifa
Fasl : 15
Chapter : Darakhton ka Kalam karna aur AAP SAW ki nabuwwat ki shahdat aur Dawat par ana.
Volume : 1
page : 272

From : Bazzar
Book : Al Musnad
Volume : 3
Page : 49
------------------------------------------------------------------------------------
Hadith number 6





Hazrat Anas (Radi Allah ta'ala A'anhuu) say pucha gaya k

"Kya Ap nain RUSUL ALLAH (SALLALAHU A'LAIHAY WA ALEHI WASALLAM) ko apny haathon say chua (touch kiya) hy?
Unhoun nain jawab diya
"G han (mana chua hy AAP (SALLALAHU A'LAIHAY WA ALEHI WASALLAM ko)"
To un puchny walun nain Hazrat Anas (Radi Allah ta'ala A'anhu) k haath mubarak chumay.
*******************************************************
Sayyedina Anas (Radi Allah ta'ala A'anhu) was asked,
"Did you touch the Prophet, (SALLALAHU A'LAIHAY WA ALEHI WASALLAM) with your hand?"
He replied, "Yes,"
so they kissed it.

From : Bukhari
Book : Al Adab Al Mufrad
Chaprer : Haathon ko chumna
Hadith number : 974
------------------------------------------------------------------------------------
Hadith number 7


Hazrat Abdullah Bin Umer (Radi Allah ta'ala A'anhuu) say Marwi hy k
Unhoun nain ek waqiya bayan farmaya, Us main farmaya k
"Pas ! hum AAP (SALLALAHU A'LAIHAY WA ALEHI WASALLAM) k qareeb ho gaay aur (AAP SALLALAHU A'LAIHAY WA ALEHI WASALLAM k ) haath Mubarak ko chum liya.
*******************************************************
Narrated Abdullah ibn Umar (Radi Allah ta'ala A'anhuu) that:
He told a story and said:
"We then came near the Prophet (SALLALAHU A'LAIHAY WA ALEHI WASALLAM) and kissed his hand."

From : Abu Dawud
Book : Al adab
Chaprer : Haathon ko chumna
Volume : 3
Hadith number : 1780
------------------------------------------------------------------------------------
Hadith number 8


Hazrat Usaid bin Hudayr (Radi Allah ta'ala A'anhuu) jo ek Ansari Sahabi hain farmaty hain k
wo apni qoom k sath guftagu kar rahy thy. Un k darmayan apas main Mazaq chal raha tha. Wo naha rahy thy k logun ko RUSUL ALLAH (SALLALAHU A'LAIHAY WA ALEHI WASALLAM) nain unki kookh (under the ribs) main Lakdi (stick) say (halka sa) mara.
Unhoun nain kaha k
"mujhy Badla di jiay."
AAP (SALLALAHU A'LAIHAY WA ALEHI WASALLAM) nain farmaya
"k tm lay lo badla."
Unhoun nain kaha k AAP (SALLALAHU A'LAIHAY WA ALEHI WASALLAM) k Jism mubarak par qamees hay jab k mere jism par qamees nahi thi (jab ap nain mara tha).
To NABI (SALLALAHU A'LAIHAY WA ALEHI WASALLAM) nain Apni qamees uthai to wo (sahabi) us sy lipat gaay aur AAP (SALLALAHU A'LAIHAY WA ALEHI WASALLAM) k pehlu mubarak ko bosah dayny lagy (Yani chumnay lagy) aur Farmaya
"Ya RUSUL ALLAH (SALLALAHU A'LAIHAY WA ALEHI WASALLAM) ! mera yehi maqsad tha (apko chumna). Aur AAP say badla layny ka main to tasawwur bhi nahi kar skta.
*******************************************************
Sayyedina Usayd ibn Hudayr (Radi Allah ta'ala A'anhuu) , a man of the Ansar, said that
while he was given to jesting and was talking to the people and making them laugh,
The Prophet (SALLALAHU A'LAIHAY WA ALEHI WASALLAM) poked him under the ribs with a stick.
He (Radi Allah ta'ala A'anhuu) said: Let me take retaliation.
He (SALLALAHU A'LAIHAY WA ALEHI WASALLAM) said: Take retaliation.
He (Radi Allah ta'ala A'anhuu) said: You are wearing a shirt but I am not.
The Prophet (SALLALAHU A'LAIHAY WA ALEHI WASALLAM) then raised his shirt and the man embraced him and began to kiss his side.
Then he (Radi Allah ta'ala A'anhuu) said: This is what I wanted, Apostle of Allah! (SALLALAHU A'LAIHAY WA ALEHI WASALLAM)
From : Abu Dawud
Book : Al adab
Chaprer : Haathon ko chumna
Volume 3
Hadith number : 1781
------------------------------------------------------------------------------------
Hadith number 9


Allama Ibn e Taymiyah k Jaleel ul Qadr Shagird Hafiz ibn e Kaseer Likhty hain k EK bar HUZUR (SALLALAHU A'LAIHAY WA ALEHI WASALLAM) kisi baat par khafa ho kar jalal main agaay to:

"Hazrat Umer (Radi Allah ta'ala A'anhuu) khary huay uar unhoun nain AAP (SALLALAHU A'LAIHAY WA ALEHI WASALLAM) k Qadam mubarak choom kar arz kiya:
"YA RUSUL ALLAH (SALLALAHU A'LAIHAY WA ALEHI WASALLAM)! Hum ALLAH TA'ALA k honay, AAP k NABI honay aur ISLAM k Deen honay aur Quran k Imam o rahnuma honay par razi hain, Hamain Maaf farma di-jiay. ALLAH TA'ALA AAP say mazeed razi hoga.
Pas ! Hazrat Umer (Radi Allah ta'ala A'anhuu) musalsal arz karty rahy yahan tak k
AAP (SALLALAHU A'LAIHAY WA ALEHI WASALLAM) razi ho gaay.

From : Hafiz Ibn e Kaseer
Book : Tafseer Ibne Kaseer
Sorat : Al Ma-edah
Ayat number : 101
***********************************************
Imam Muslim Kissed Imam Bukhari's Feet


Imam Bukhari Rehmat ALLAH 'alaih k baad Ummat-e-Muslimah k nazdeek thiqah (siqah yani Authentic) tareen muhaddis Imam Muslim Rehmat ALLAH 'alaih k shayhar Nayshapur main jab Imam Bukhari Rehmat ALLAH 'alaih Tashreef laay gaay aur Imam Muslim Rehmat ALLAH 'alaih un k pas Hazir huay to Imam Muslim Rehmat ALLAH 'alaih nain Imam Bukhari Ka Matha (forehead) chuma aur phir unsy Ijazat mangi k:

"Ay Ustadon k Ustad, Sayyed-Al-Muahhadiseen Aur 'ilal-e-Hadees (weakness of hadees) k Tabeeb ! Aap mjy Ijazat dain to main Ap k Qadam chum lun."


From : Imam Zahabi
Book : Sayyir A'alaam al ambaa
Volume : 12
Page : 432


From : Ibn e Nuqtah
Book : At taqyeed al ma'rifah riwayat as Sunan wal Masaneed
Volume : 1
Page :33

From : Imam Nawawi
Book : At tahzeeb al Asma War Rijaal
Volume : 1
Page : 88

From : Hafiz Ibn e Hajar A'asqalani
Book : Fath ul bari
Chapter : Muqadmah Fathul bari
**********************************************************

2 comments:

  1. Mashallah its a great job. May Allah give hidayath and tawfeeq to muslim umma.

    ReplyDelete
  2. Man ke qadam choom na kysa hai

    ReplyDelete