Kya Huzoor ﷺ Ne Azan Di Hai?
Yeh Post Bahot Si Bar Facebook WhatsApp Par Share Hota Hai Ki Huzoor ﷺ Ne Kabhi Azzan Nahi Di Warna Saari Kaynat Tham Jati Pedh Aur Pahad Samandar Ek Jagah Jama Ho Jate Yeh Sab Man Ghadat Hadees E Share Ho Rahi Hai Ayse Logo Ko Touba Karni Chahye
Huzoor ﷺ Hadees Hai
Huzoor ﷺ Ne Farmaya Jisne Mujh Par Jaan Bujh Kar Juth Bandha Woh Apna Thikana Jahnnam Me Bana Le (Bukhari)
Ek Aur Hadees Me Aap ﷺ Farmate Hai
Aakhir Waqt Me Dajjaal Aur Jhoote Honge Woh Tumhe Aysi Aysi Hadees E Sunayenge Jinhe Tumne Aur Tumhare Baap Dadaon Ne Nahi Suna Hoga Isliye Unse Apne Aapko Mehfooz Rakhna, Kahin Aysa Na Ho Ki Woh Tumhe Gumrah Kar Den Aur Fitne Me Daal Den.
(Sahih muslim)
Ab Rahi Baat Huzoor ﷺ Ne Azan Di Ya Nahi?
••HADEES••
Huzoor ﷺ Safar Pe The Namaz Ka Waqt Qareeb Aaya, Baarish Barsi To Zameen Geeeli(Gara) Ban Gayi Aap Ne Sawari Par Baithe Hi Azaan Di Phir Iqamat Kahi
(Musnad-e-Ahmed, Hadees 17584. Tirmizi Shareef, Hadees 411)
Jab Imam E Hasan Ibn E Ali Radhi Allaahu Anhu Ki Wilaadat Huvi To Huzoor ﷺ Ne Un Ke Kaan Me Azaan Di.
(Tirmizi Shareef, Hadees#1519)